Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah se kis cheez ne gafil kar diya? Allah Taa'la Quraan-e-Kareem me farmata hai: “Aye Insan! Tujhe Apne Kareem Parwardigaar se Kis Cheez ne Behka diya?” 📕 Surat Ul Infitar Ayat No 6
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon Ke Darmiyaan Sulah ke… Wo Shakhs Jhoota Nahi jo Sulah ke liye Jhuth bole RasoolAllah(ﷺ) ne farmaya: "Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon ke Darmiyaan Sulah karwaane ke liye Jhoot boley." 📕 Abu Dawood 4920 (Sahih) Sabaq: Logon ke darmiayan Sulah karwaneki niyat se bola gaya jhuth muaf hai.
Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul… ✦ Hadith : Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge RasoolAllah (Sallallahu Alalhi Wasallam) ne farmaya: "Namaz teen hisso mein taqseem hai Pakeezgi ek tihayee hai aur ruku ek tihayee hai aur sajde ek tihayee hai Jisne Iss tarha adaa kiya to uski namaz qubul ki jaegi aur uske sare aamal qubul honge aur jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge." 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha - 643
Kyu Hum par Zaalim Hukumra Musallat hai ? ... Kya Sahaba ke dour me bhi yahi haal tha? Moujuda Haalat me Ummat-e-Muslima par Dushmane Deen jis tarah Zulmo-Sitam kar rahi hai, kya Sahaba ke dour me bhi yahi haal tha, Kya Sahaba bhi humesha magloob rahe? Aayiye Sahaba ki tareekh par gour karte hai. Sahaba (RaziAllahu Anhu) ko Allah Rabbul Izzat ne Quraan me farmaya ke: "Walaqad Qatabna fil zaburi, (zaboor ki misaal dekar kaha tha ke) “humne zaboor me ye cheez likh di thi ke 'hum zameen ko…
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Ek doosre ki pehchan aur ek doosre ka ta’arruf ho isliye Allah ﷻ ne insano ko mukhtalif ansaab (khandano) me baant diya hai. Agar koi Shakhs Iman na laye, Naik Amal na kare, Roza, Namaz ki pabandi na kare aur kahe ke mai Aala Nasab (Khandan) ka hu, Mai Quraishi/Sayyed Khandan se ta’alluq rakhta hun tab bhi uska ye kehna Allah ke yahan usey koi fayda pohchane wala nahi. Allah ke samne koi ye uzr nahi pesh kar…
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom." Tou ek shakhs ne pucha "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke "Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai." 📕 Sahih…
Jo log Sood khate hai woh Qayamat me pagal ho kar uthenege Jo log Sood khate hai woh Qayamat me pagal ho kar uthenege Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo log Sood khate hai woh (Qayamat me) uthenge tou uss Shakhs ki tarah uthenge, jisey shaitan ne chhu kar pagal bana diya ho." 📕 Surah Baqraah 2:275
Aadmi ne Pait se jyada Bura koi Bartan nahi bhara Hadees: Mikdam Ibn Madikarab (R.A) se riwayat hai ki, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh farmate huye suna ki - "Aadmi (Insan) ne Pait se Jyada Buraa koi Bartan nahi bhara. Ibne Aadam ko Chand Luqme Kaafi hai Jo Uski Peeth Ko Sidha Rakhe Agar Jyada Khana Zaruri ho tou Tihaai Pait Khane ke liye, Tihaai Paani Ke Liye aur Tihaai Saans Ke Liye.." 📕 Tirmizi, Hadees 2380
Allah ke siwa koi Ghaib nahi janta Allah ke siwa koi Ghaib nahi janta Allah Taala Quran me farmata hai: "Keh Dijiye Aasman walo me se aur Zameen wale me seAllah ke Siwa koi Gaib nahi Jaanta." 📕 Surah Naml, 27:65
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Allah kisi Shakhs ko uski Taqat se Zyada nahi Aazmata ... ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ALLAH kisi Shakhs ko uski Taqat se Zyada nahi Aazmata "ALLAH kisi Shakhs ko uski Taqat se Zyada nahi Aazmata, Achche kaam karega tou usko uska fayda milega aur Burey karega tou usiko iska Nuqsan hoga." 📕 Surah Al-Baqara 2:286 Har Bhalayi Allah ki taraf se hai "Aur tum par Jo Museebat aati hai wo tumhare hi haatho ke kiye huye Kaamo se aati hai aur wo (Allah) bahut se Gunaah muaf farma deta hai. Aur tum…