Islamic Quiz 357
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Wo hum mein se nahi jo kya nahi karta?
A. Apni moonchon ke baal na kaate
B. Roz miskeeno ko khana na khilaye
C. Juma ka khutba na sune
D. Jamat ke saath namaz na padhe
Islamic Quiz 357 : RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Wo hum mein se nahi jo kya nahi karta?
Sahih jawab hai : Option ( A )
✅ Apni moonchon ke baal na kaate
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hazrat Zaid bin Arqam (RA) se rivayat hai:
“RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Jo shakhs moonchon ke baal na kaate, wo hum mein se nahi.”
📕 Sunan Nisai, Vol 1, Hadees 13 (Sahih)
Abdullah bin Umar (RA) se rivayat hai:
“RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Moonchon ko achhi tarah qatarwao aur dadhiyo ko badhao.”
📕 Sahih Bukhari, Vol 7, Hadees 5893