Contents
Islamic Quiz 330
Wo Kaunsi Qaum thi jin par Tiddi (Locusts), Juyein (lice), Mendak (frog) aur Khoon ka Azab nazil hua tha?
A. Qaum-e-Aad
B. Qaum-e-Samud
C. Qaum-e-Firaun
D. Qaum-e-Nooh
Islamic Quiz 330 : Wo Kaunsi Qaum thi jin par Tiddi (Locusts), Juyein (lice), Mendak (frog) aur Khoon ka Azab nazil hua tha?
Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Qaum-e-Firaun
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Taala Quran me farmata hai:
“Aur beshak humne Firaun ke logon ko barson se kehat aur phalon ki kum paidaawar (ke azaab) mein girftaar kiyaa taaki wah ibarat haasil kare, toh jab unhen koi rahat miltii toh kehne lagte ki ye toh humaare liye sazaawar hi hai aur jab unhen koi musibat pahuchtii toh Musa aur unke saathiyon ki badshaguni samajhte dekho unki badshaguni toh khudaa ke yahaa (likhii jaa chuki) thi magar bahut se log nahi jaante hain aur Firaun ke log Musaa se ek martabaa kehne lage ki tum hum par jadoo karne ke liye chaahe jitnii nishaaniyaa laao magar hum tum par kisi tarah emaan nahin laayenge tab humne un par (paani ko) Tuphaan aur Tiddiyaa aur Juen aur Mendhkon aur Khun kaa azaab bhejaa ki sab judaa judaa (humaari kudrat ki) nishaaniyaa thi us par bhi wah log takabbur hii karte rahen aur wah log gunehgar toh the hii”
Related Posts: