Quran padhne Wale ki Fazilat Quran padhne Wale Nek Farishto ke Sath Honge Hadees: Aisha (R.A) se riwayat hai kiRasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho,tou wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga. jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain. Aur Jo Shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai touusko Dohra (double) Ajar milega." 📕 Jami'at Tirmidhi, Hadees 813 ♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki…
Logo ke Darmiyan Sulah Karna Hadees Logo ke Darmiyan Sulah Karna Hadees Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Kya Mai Tumhe Aise Amal Par Aagah Na Karoon Jiska Darja Roze Namaz Aur Sadqe Se Afzal Hai." Farmaya! 'Do Logo ke Darmiyan sulah kara dena.' Saath Hee me yeh bhi farmaya ke "Do Logo ke Darmiyan Fasaad karana Emaan ko Moondhkar(Barbaad kar) rakh deta hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 4919
Jab Gussa aaye tou kya kare? Gusse ka Ilaj Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum me se kisi ko Gussa aaye to usey chahiye khamoshi ikhtiyar kare." 📕 Musnade Ahmed, Hadees: 2136
Fazail-e-Quran: Part 8 ✦ Fazail 2: Quran Shifa hai Ruhani aur Jismani Nafsiyati Bimari ka Ilaj : ♥ Allah Rabbul Izzat farmata hai – Aye Logo! Tumhare pass Tumhare Rab ki taraf se Ek Aisi Cheez aayi hai jo Naseehat hai aur Dilo me jo Rog hai Unn ke liye Shifa hai aur Rehnumaee kerney waali hai aur Rehmat hai Eman Walon ke liye.- Surah Yunus 10:57 ... Yaha Dilo Ke Bimariyon Se Muraad Hai - Qina, Hasad , Bugz, Takabbur, Dikhawa, Jhuth…
Fazail-e-Quran: Part 7 ✦ Waqia 4: Musabbir-Bin-Umair (R.A) ke iman lane ka waqia Aayiye Ek aur Waqie par gour karte hai Musabbir-Bin-Umair (R.A) jo Muballig-e-Rasool they jab Ansar ne Aap (ﷺ) se Gujarish ki "Ke Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Kuch Logon ko Aap Humare Paas bheje taaki Hume Islam sikhaye. " *Rasool’Allah (ﷺ) ne "Musabbir-Bin-Umair (Razi’Allahu Anhu)" ko Madina bheja. ye jab Madina gaye aur waha Dawat-e-Islam dene lagey tou “Usaid Bin Hujair” Naam ka shakhs waha aaya jo apni Qoum…
Quran ke Nuzool ka Asal Maqsad aur Humara Haal Quran ke Sath Humara Sulooq Aaj ilm ki kami ki wajah se hum Qur'an ke Nuzool ke Asal maksad se mehroom reh gaye, aur sirf Sawab ke Lalach me Quraan ka istemaal karne lag gaye. Jaise missal ke tour per humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai aur padhte hue Surah Nisa ki aayat 3 aati hai jaha Allah Ta’ala fermata hai ke "Aye Musalman Mard Aadmi tum 2,3,4 biwiyo se nikah kar sakte ho.”…
Quran Se Faal Kholna Kaisa Hai by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=HpbPnLPEhJ8 Quran se faal nikalna kaisa hai? islam me faal kholna kaisa hai, faal kholne ka gunaah, does tarot card permitted in islam ? fortune telling in islam hadith, Islam and fortune telling, quran se faal nikalna
Allah Subhanahu 60 Saal se upar wale logo ka koi… ✦ Hadith: 60 Saal se jyada umar wale logo ka koi bahana Qubul nahi hoga ✦ Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu ne us insan ke liye uzar(excuse,bahana) ke silsile mein hujjat tamam kar di hai jiski maut ko usne rok kar rakha yaha tak ki wo 60 saal ki umar ko pahuch gaya." (yani kisi insan ki umar 60 ki ho gayee to phir Allah subhanahu ke waha uska koi bahana nahi chalega…
Logo ki Zaroorat poori karne wale Allah ke Azab se… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Ta'ala ne Kuch Bando ko Logon ki Zaroorate poori Karne ke liye Paida Farmaya, Log unke Paas Apni Jarurat Le kar Jaate hai, Logo ki Zaroorat poori karne wale Yeh Log Allah ke Azab se Mehfooz rahenge." - (Tabraani Kabeer, 13334) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ अब्दुल्लाह इब्ने उमर (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने…
Logo par Reham karne ke Fayde ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ghussa Control aur Maafi ki Fazilat (Islamic Quotes) "Jo Ghusse ko Pee Jaate hai aur Doosro'n ke Kasoor Muaf kar dete hain, aise log Allah ko bohat pasand hain." (Surah-Al-Imran 3:134) Muafi aur Reham ki Hadees 1️⃣ Hadees:"Jo Shakhs Kisi ko Muaf kar deta hai, Usse Allah Ta'ala Izzat se Sarfaraz karta hai." (Muslim Sharif) 2️⃣ Mafhoom-e-Hadees:Wo Shakhs Jannati hai Jo Raat ko Soney se Pehle sab ko Mua’af kar ke soye. 3️⃣ Mafhoom-e-Hadees:Ek Roz Sayyiduna Musaa…
Dunia me 4 Qisam ke Logo ki Niyato ka badla: Hadees Hadees: Abu Kabshah Anmaari (R.A) se kehte hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Mai tum se ek Hadees bayan karta hoon usey yaad rakhna:1). Sadqa karne se kisi ke maal me kami waqai nahi hoti",2). Jis kisi par Zulm hua ho aur woh Sabr kare tou Allah uski Izzat me Izafa farmata hai",3). Jo Shakhs (logon se) mangna shuru kar de tou Allah uss par Fikr aur tangi ka darwaza khol deta hai (aur woh har qisam ke…
Fazail-e-Quran: Part 10 2) Quraan me BARZAQ ki (Qabr ke Zindagi ki) Rehmat - - Aayiye Dusri Reham par Gour Karte Hai Jab Insan Mar Jaata hai aur Qabr me Pohoch jata hai. Hadees: “Insan Jab Mar Jata hai tou Munkeer Nakeer 3 Sawaal kartey hai. Man Rabbuka (Tera Rab Koun), Man Nabiyuka (Tera Nabi Koun Hai), Maa Dinuka (Tera Deen Kya Hai)” Jab Nek Insan Sahih Jawaab de dega tou Chautha (4th) Sawaal farishtey Karenge. Jo Sawaal ki Shakl me nahi hoga.…
Yahood Wa Nasara Ki Tarha Apne Ulema Ki Ibadat Na Karna Allah Rabbul Izzat Yahudiyo aur Nasraniyo ke Hathdharmi ke Sabab Ummat-e-Muslima ko Nasihat karte hue Farmata hai ke: ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Inn Logon Ne Allah Ko Chor Ker Apne Aalimon Aur Darweshon Ko Apna Rab Banaya Hai Aur Mariyam Ke Bete Maseeh Ko Halaan Ke Unhe Sirf Ek Akele Allah Hi Ki Ibadat Ka Hukm Diya Gaya Tha Jiss Ke Siwa Koi Mabood Nahi Woh Paak Hai Unkey Shareek Muqarrar Kerne Se." - (Surah Tauba, Aayat: 31) Iss Aayat…
Fazail-e-Quran: Part 9 ✦ Fazail 3: Quran Remat hai Momeenin ke liye Ab Rehmat ko Humne 3 Hisso me Taqseem kiya hai. Rehmat Duniya ki, Rehmat Barzakh(Qabr Ke Zindagi) ki, Rehmat Aakhirat ki. Allah Rabbul Izzat Quraan me Iskey talluk se farmata hai: Ye Quraan Aye Nabi Momineen ke liye Hidayat aur Rehmat hai.- Surah Nehal 16:77 Ye Quraan Nekokaro ke liye Rehmat hai.- Surah Luqmaan 31:3 Aayiye Iska Pahla Marhala Letey Hai Ke Duniya Me Kya Rehmat Hai .. 1) Quraan me…