✦ Quran ki Sabse Badi Fazilat:
Quran-e-Kareem Puri Insaniyat ke liye Sabse badi aur Sabse Azeem Nemat hai , Iski ek Sabse badi Fazilat yeh bhi hai ke jis raat ye Kitab nazil hui uss raat ki Ibadat ko Allah Rabbul Izzat ne Hazar(1000) mahino ki ibadat se Jyada Afzal karar diya, Jiski gawahi Allah Rabbul Izzat ne Apni Kitab me di aur farmaya ke –
“ Humne Iss Quraan Ko Qadr Aur Manjilat Waali Raat Me Utaara ”
(Surah Dukhan 44:4)
“ Aye Musalmano kya Cheez hai ke Tumhe bataye Lailatul Qadr kya hai ? ke Lailatul Qadr hazaar mahino se Jyada Afzal hai. ”
(Surah Qadr 97:1-3)
» Tou Andaza Lagayiye ke Jiss Kitaab ke Nazil hone ka ye Sabab ho ke Jis raat ye utaari jaye agar uss raat ki Ibadat ka ye Sawab hai tou Iss Kitab ki Fazilate kya kya ho Sakti hai bus Andaza hi lagaya ja sakta hai. sirf gumaan hi kiya ja sakta hai.
✦ Shabe Qadr ki Raat Kab hoti hai ?Shabe Qadr ki raat hum sab jaantey hai ke Ramzan ke Aakhri Ashre ki taaq raato me se koi ek raat hoti hai. Yaani 21, 23, 25, 27 ya 29.
✦ Quran ke Fazail ke talluk se chand Aahadees:
Iss kitab ke talluk se Aahadees me Itni beshumar Fazilate aayi hai ke tamam fazilato ko bayan karna humare liye bhi mumkin nahi. Lihaja Aayiye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki chand Aahadees ke hawalo se Iss kitab ki Fazilat ko Jan’ne ki koshish karte hai.
♥ Mafhoom-e-Hadees:
1. “Tum me behtareen log wo hai , jo Quran sikhey aur dusro ko sikhaye.”
– (Sahih Bukhari 545)
2. “Quran sikhne ke liye jo shakhs ghar se nikalta hai, Allah Rabbul Izzat uske liye jannat ka rasta aasan kar deta hai.”
– (Sahih Muslim)
3. “Quran padhney aur padhaney waale Allah waale hai, aur ye Allah ke Chahitey bandey hotey hai.”
– (Sunan Ibne Maja)
4. “Quran ko ba-qasarat tialawat karne wala Qabil-e-Rashq hai.”
(Sahih Bukhari)
5. “Quran ki baqasarat tilawat karne wala Qayamat ke roz mukarrab (Khaas) Farishto ke saath saff me khada hoga.”
(Sahih Muslim)
6. “Quran ke padhney aur padhaaney walo par Allah Ta’ala Saqeenat Nazil farmata hai. (yani Suqun aur Itminan nazil karta hai), Farishtey inki majliso ko ahtraam se gher letey hai, aur Allah ta’ala in logon ka zikr faqr ke tour par farishto ke samney karta hai”
(Sahih Muslim)
7. “Quran ka ek seera Allah ke haath me hai aur dusra seera Ahle Imaan ke hath me hai, bus jo isey thamey rakhega duniya me Gumraah nahi ho sakega aur Aakhirat me halaq nahi hoga.”
(Tibrani)
8. “Quran ki tilawat karne wale ko har hurf ke tilawat par 10-10 nekiya milti hai.”
– (Jame Tirmizi)
To be continue …