♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
*Aasman Se Farishte Aate-Jaate Rehte Hai, Kuch Farishte Raat Ke Hai Aur Kuch Din Ke Hai
– Aur Ye Sab Fajar Aur Asar Ki Namaz Me Jama Ho Jaate Hai
– Phir Wo Farishte Jo Tumhare Yahan Raat Me Rahe They Wo Allah Ki Baragah Me Jaate Hai.
*Allah Ta’ala Unsey Daryaft Farmata Hai Halanki Wo Sab Jaanne Wala Hai Ki:
‘Tumne Mere Bando Ko Kis Haal Me Chhora ?’
*Tou Farishte Arz Karte Hai Ki: ‘Jab Humne Unhe Chhora Tou Wo (Fajar Ki) Namaz Padh Rahe They
Aur Isi Tarah Jab Hum Unke Yahan Gaye They Tab Bhi Wo (Asar Ki) Namaz Padh Rahe They’.
– (Sahih Bukhari)