Kabira Gunaah - 4 Sabse Badey Gunah [Hadees: Sahih Bukhari 2653]

Kabira Gunaah : 4 Sabse Badey Gunah

Hadees of the Day

Gunah e Kabira : 4 Sabse Badey Gunah

Anas (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) se Badey (Kabira) Gunaahon ke Baarey me pucha gaya:

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya –

1. Allah ke Saath Kisi ko Sharik Karna (Shirk),
2. Waliden(Parents) ki Nafarmani Karna,
3. Kisi ki (Nahaq) Jaan Lena,
4. Aur Jhooti Gawahi Dena.

📕 Sahih Bukhari, Hadith 2653

Allah Rabbul Izzat humey Tamam kism ke Kabira aur Sageera gunaaho se Bachaye,
Ameen Allahumma Ameen

5/5 - (4 votes)

Waqt par Namaz Padhna

Hadees of the Day Waqt par Namaz Padhna Ubadah Ibn As-Samit (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya … Read More

Paani Pilaney ka Sawaab

Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Paani Pilaney ka Sawaab Abu Huraira (R.A) kehte hain ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya – “Ek … Read More

Arfa ke Dia Jahannum se Aazadi hadees

Arfa ke Din Jahannum se Aazadi

Hadees of the Day

Arfa ke Din Jahannum se Aazadi

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Allah Ta’ala Arafa ke Din Jitne Bando ko Jahannam se Azaad karta hai Utna Kisi aur Din Nahi karta.”

📕 Sunan Nasai: 3006 (Sahih)

Aur bhi Dekhe

5/5 - (13 votes)

Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat

Arfa – 9 Zil Hijja ka Roza 2023 (India)

India me 9 Zil-Ḥijjah ka Roza 28 June 2023 ko hoga.

<<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>>

Mafhum-e-Hadees

Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat

Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.

📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367

Read More

4.9/5 - (15 votes)
Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal

Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal

1 se 13 Zul Hijjah ko Sooraj Ghuroob Hone Tak Padhi Jane Wali Takbeeraat

الله اكبر الله اكبر لا اله الا الله والله اكبر الله أكبر ولله الحمد

Allahu Akbar, Allahu Akbar, la ilaha illallah, wallahu akbar, Allahu Akbar, walillahil hamd.

Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, Allah ke Siwa koi Ma’bood nahi, aur Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, aur Allah ke Liye hi Sab Tareef hai.

📕 Musannaf Ibn Abi Shaybah: 5694

Read More

4.8/5 - (6 votes)
Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Hadees of the Day

Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:

Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta’ala ko Jis Qadar Mahboob wa Pasand hain, Dusre dino ke Aamal iss Qadr mahboob nahi.

Sahaba-e-Kiram (R.A) ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Dusre dino ka jihaad bhi ?”

Aap (ﷺ) ne farmaya:

“Dusre dino ka Jihaad bhi iss Qadr mahboob nahi, haan! Mujaahid apni jaan aur maal Allah Ta’ala ke raastey me Qurbaan kar dey tou aisa Jihaad afzal aur pasandeedah ho sakta hai.”

📕 Bukhari, Tohfatul Ahwazi Jild 2 Pg 58,

Read More

5/5 - (3 votes)