Al-Quran: Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai… Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai usme se khao, aur us me hadd se aage na badho, jis ke nateeje me tum par mera gazab nazil ho jaye. [Quran 20:81]
Lout Aao Apne Parwardigaar Ki Taraf aur Uske… Aaj Ummat-e-Muslima Me Jitney Bhi Ikhtelafat Nazar Aa Rahe Hai Uski Asal Wajah Yahi Hai Ke Nauzubillah! Humne Allah Ki Kitaab Aur Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ko Chorr Diya, Natijatan Hum Gumraahi Ke Daldal Me Fanstey Chaley Gaye,.. Aur Zalim Hukumra Humpar Musallat Hotey Rahe ,.. Mere Azeezo! Bhaley Hi Hum Fikri Ikhtelafat Ki Buniyad Par Aaj Firqo Aur Jamato Me Batt Chukey Ho, Lekin Deen Humara Islam Hi Hai, Aur Shariyate Islamiya Bohot Hi Pakiza Shariyat Hai…
Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Har Taraf Phaili hui Qatl-o-Ghaarat giri mein Ibaadat karna Meri taraf Hijrat Karne ki tarah hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2948 (7400)
Allahumma Inni Zalamtu Nafsi | Magfirat ki Dua -Aye… Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Dua Hadees: Abu Bakr Siddique (R.A) ne RasoolAllah (ﷺ) se kaha ki Mujhe aisee Dua sikha dijiye jo Main namaz me parha karu tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke ye parha karo - اللَّّهُمَّ إني ظَلمتُ نفسي ظُلمًاًًً كثيرًاًً. ولا يغفر الذنوبَ إلّّّا أَنْتَ فاغفر لي مغفرةًًًً من عندك. وارحمني، إنّّكَ أنتَ الغفورُ الرّحيم "Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Kaseeran Wala Yaghfiruz-Junuba Illa Anta, Faghfirli Maghfiratan Min Indika War-Hamni, Innaka Antal Ghafur-Ar Rahim." (Aye Allah mainey apni jaan…
Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum'me Yaksa Hai .... Allah Rabbul Izzat Ne Aalami Aman Ke Liye Quraan Me Nuskha Bhi Batla Diya. ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Aye Ahle Kitab! Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum'me Yaksa Hai, Ke Hum Allah Ta'ala Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Kere, Na Uske Sath Kisi Ko Shareek Banaye, Na Allah Ta'ala Ko Chor Ker Aapas Me Ek Doosrey Ko Hi Rab Banaye. Pus Agar Woh Mooh Pher Le Tou Tum Keh Do Ke Gawah Raho Hum Tou…
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Baat Baat par Laanat aur Baddua Karne se Bacho ... Baat Baat par Laanat aur Baddua karne se Bacho Rasool'Allah(ﷺ) ne farmaya "Momin Naa tou Taana dene Wala Hota hai, Naa Lanat karne wala, Naa Fahash Bakne wala Behooda hota hai." 📕 Sunan Al Tirmizi; Hadees :1977 Sahih ۞ Hadees: Ek Shakhs ki Chaadar ko Hawa ke Tez Jhonke Lage tou Usne Hawa par Lanat ki. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Hawa Par Lanat Naa karo ki Wo Allah ki Taraf se Maamoor hai, aur Jo Shakhs Aisi Cheez Par…
Sabko Allah Hi Ki Taraf Loutna Hai Allah Rabbul Izzat Ek Ayat Me Farmata Hai: ♥ Al-Quran: Aye Wo Logon Jo Imaan Laye Ho! Gour Se Suno Ke Allah Aur Uskey Rasool Jis Taraf Tumhe Bulatey Hai Uss Taraf Jao, Jab Ki Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uss Cheez Ki Taraf Tumhe Bulatey Hai Jo Tumhe Zindagi Deti Hai Duniya Aur Aakhirat Ki,.. Agar Tum Aisa Na Karoge Tou Jaan Lo Ke Allah Insan Aur Uskey Dil Ke Bich Me Aad Ban Jata Hai , Usko…
Allah ki Jannat ki taraf daudo Apne Rab ki Jannat ki taraf daudo Allah Taala Quran me farmata hai: "Apne Rab ki Bakhshish aur Jannat ki taraf Daudo, Jiski Chaudaai Aasmano aur Zameen ke Barabar hai jo Parhezgaaro ke liye Muhayya ki gayi hai." 📕 Quran, Surah Aale Imran 3:133
♫ Saher aur Iftar Ka Tariqa aur Kuch Galat Fahmiya Saher Aur Iftar ka Tariqa aur Kuch Ghalat Fahmiya Saher aur Iftar Kaise kare, uska mukammil Tariqa aur uske talluk se Kuch Galat Fahmiyo ka ijala janne ke liye is mukhtsar si audio clip ka jarur mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chhut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫…