Contents
Aulaad ki Tarbiyat – Part 5
E). Tarbiyat ka 5th marhala:
Aulaad ki Raja’at (doodh pilane ka marhala)
Aulaad paida ho gayi,. uska Aqiqah kiya,. ab usko Doodh pilaney ka jo marhala hai usey raja’at kehtey hai aur “Bachche ko Maa ka Doodh pilane ki muddat 2 Saal hai” – (Al Quran 2:233)
Baccho ka ye Haq hai ke unhe Maa ka Doodh miley, liahaja Bilawajah (bina kisi marj ke) unka ye Haq unsey mat chiniye. warna Aajkal aksar Western Culture se mutaseer hokar khawatin apni Jismani sakth ko banaye rakhne ke liye Apni Aulaad ko apna doodh pilaney ke bajaye (tin ke) dibbo ka doodh pilatey hai.
Yaad rakhiye jo Bacche apni Maa ka doodh nahi pitey (Bahalatey majburi alag baat hai) unhe na aapse waisi Mohabbat hongi aur na wo Mamta ka jasba hoga aur na wo Aapke sath wo Unsiyat rakhenge jo Bacche Apni Maa ka Doodh pitey hai.
Umro bin Abdullah (R.A.) Unki Biwi se humesha kehtey they jab wo bacchey ko doodh pilaya karti thi ke –
“Tu Apne Bacche ko is tarha Doodh na pilana jaisa janwar pilatey hai, balki apne Bacchey ko aisa Doodh pilana ke tu us se Pyaar, Mohabbat, Shafaqqat aur Narmi bartey, humdardi ka muamla rakhey, uspe raham kare aur in tamam se badhkar allah se azr aur sawab talab karey ke allah ki ek makhlookh tujhse rozi paa rahi hai, aur fir yahi Baccha bada hokar Allah ki ibadatey karega, tawheed par chalega, iska azar bhi tujhiko milne wala hai”
Tou ye Niyat karke Aurte agar Doodh pilaye tou Subhan’allah kya unke bacchey honge aur kya ajar milega ke wo Baccha jis par Nashronuma paya hai uss Maa ko bhi uske Bacche Nek amal ka azr milne wala hai.
F). Tarbiyat ka 6th Marhala:
Acchi Baate Bolna Sikhaiye
Ab raj’at ke baad jab Bacchey bolne lage tou unhe Allah ke Naam sikhaiye, Acche Qalam, Acchi Acchi Baatey Sikhaiye.
Lekin Afsos ki baat aaj humare muashre me ye hai ke jab humare Bacche bolne lagtey hai totli Zubaan me tou log unn Baccho ko Gaaliya Sikhatey hai aur fir Gaaliya dene bhi lagatey hai ke: “Dekho MashaAllah mera Baccha kitni Acchi Galiya deta hai totli Zuban me” Subhan’Allah!
Aur fir yahi Baccha jab bada ho kar Sidhi Zuban me waise hi Gaali dene lagta hai tab badi Sharmindagi mehsus hone lagti hai hume. tab Ehsas hota hai ke kya Tarbiyat di thi humne isey jiska natija Aaj humare samney hai.
Tou beharhaal Apne Baccho ko Fizul Cheezo ke bajaye Allah ke Naamo Sifat Sikhaiye, Acche Qalimaat , Acche Alfaz Sikhaiye. ye unka haq bhi hai aur ye uski parwarish me bohot aham Muqam rahta hai yaad rakhiye.
Aur yaha ab asal role aaya Maa ka –
Baap tou Rozi Roti kamane chal deta hai kaam ko, Subha gaya aur Shaam me aaya. Ab Maa Bacche ke Sath Din-Raat hai, tou wo Sikhayegi ke “Beta! bolo Allah”
Apne Rab ka taruf dena hai Maa ne Apni Aulaad ko, hala ke wo baat samjhta nahi uss umr me, lekin yaad rakhiye ye Bacche jo hotey wo boltey nahi aisi umr me lekin dekhtey, suntey aur samjhtey hai , ye 3 salahiyatey inme paidaish se hoti hai, lihaja ye recorder ka kaam karte hai , “ke chaha ki ye fitrat hai, maamu ki ye fitrat hai,.. maa aur baap ki ye fitrat hai.”
Aap dekhiye ke jitna chotaa Baccha Ghar me utna hi hoshiyar hota hai wo. kyunki Pehla Baccha jo hota hai wo Aam taur se badi khamosh tabiyat ka sanjida hota hai, kyunki usne Ghar me sirf 2 logon ko dekha hota hai. (Maa-aur Baap, ya Dada-Dadi ya kuch aur logon ko).
Dusra baccha jab aata hai tou thodey aur logon ko dekhta hai , yaani Maa-Baap, Badey Bhai ko aur apne aapko, Teesra (3rd) baccha jo hota hai wo aur Aqlmand hota hai kyuni wo 4 logon ko Paidaish se dekhta aur Ghurta rehta hai.
✦ Bacche me Naqal karne ki Salahiyat hoti hai lihaja uske samne koi galat harqat na kare.
Tou baccha jo abhi leta hua hai wo recorder ki tarha hota hai , har cheez ko dekh raha hota hai , agar Maa-Baap uske samne Behayayi karenge tou wo Baccha bhi bada hokar Behaya niklega.
Aur yahi wajah hai ke chotey chotey Bacche jinko hum Ahmiyat detey hai unhe wo bhi Ahmiyat detey hai , Baap Mobile ko Ahmiyat deta hai tou Baccha bhi Mobile hi Sabse pahle Mangega , Nakli Mobile dijiye tou fek dega kyuni usko maloom hai ke ye nakli hai , isme Roshni nahi Chamak rahi.
Tou Bacche bachpan se hi badey Zaheen hotey lihaja unki Maa ki yaha jimmedari banti hai ke wo cheezo ka taruf dey , aur sabse Awwal taruf apne Rab ka dey , Bacche ko Acchi-Acchi baate sikhaye , aur nahi bhi sunta hai tou usey boltey rahe kyun ke wo sunta aur khamoshi se samjhta bhi hai.
Lekin Aaj muashre me dekha jata hai ke Maaye aisa rishta jodti nahi apni Aulaad se , isiliye hum dekhte hai humare paas ke Akide ka Muamla bada kamzor nazar aata hai , na Allah se Mohabbat aur na uskey Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Mohabbat ka jasba hai , kyuni wo sikhatey hi nahi baccho ko bachpan se.
Lihaja Maa apna Role Ada karey apne Baccho ko apne Rab ka taruf dey , Isiliye RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke “Deendar ladki ka intkhab karey” yaani wohi marhala jo sabse pahla liya humne.
To be Continue …
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.