Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia)

Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia)

Ashab-e-Feel ka Waqia

Huzoor Akkadas RasoolAllah (ﷺ) ki Paidaish se kuch hi din pehle yaman ka badshah “Abraha” Hathiyon ki fouz lekar Kaaba dhane ke liye makka par hamla aawar hua tha. Abraha ne yaman ke Darool Saltanat “San’aa” me ek bahut hi Shandar aur Aalishan “Girja Ghar” banaya aur yeh koshish karne laga ki Arab ke log bajay Kaaba Sharif ke yaman aakar uss Girja Ghar ka Hajj kare.

Jab Makka walo ko yeh maloom hua toh Kabila-e-Kinana ka shakhs Gaij-o-Gajab me jal-bhun gaya aur waha ke Girja Ghar ki behurmati ki.

Jab Abraha ne yeh wakiya suna toh woh taish me aape se bahar ho gaya aur Kaabe Sharif ko dhane ke liye hathiyon ki fouz lekar makka walo par hamla kar diya aur uski fouj ke agle daste ne makka walo ke tamam untho aur dusre maveshiyon ko chin liya. isme 200 ya 400 unth Abdul Muttalib ke bhi they. [Jurkani Jild 1 , Safa 85] © www.ummat-e-nabi.com/home]

Aap (ﷺ) ke Dada Abdul Muttalib ko is wakiya se pahle bada ranj pohcha, chunache Aap is muamle me guftagu ke liye Abraha ke lashkar me tashrif le gaye. jab Abraha ko maloom hua ke Quraish ka Sardar uss se mulakat karne ke liye aaya hai toh usney aapko apne kheme me bula liya aur apne barabar bitha kar daryaft kiya ke: “Kahiye Sardar-e-Quraish yaha aapki tashrif aawri ka kya maqsad hai ?”.

Abdul Muttalib ne jawab diya ki “Humare Unth aur Bakriya wagaira jo aapke lashkar ke sipahi haank laye hai Aap unn sab maweshiyon ko hamare supurd kar dijiye.”

Yeh sunkar Abraha ne kaha ke – “Aye Sardar-e-Qurasih! mai toh yeh samjhta tha ki aap bohot hi Houlamand aur Shaandar Aadmi hai, magar Aapne mujhsey Apne Untho ka sawal kar ke meri nazar me apna wakar kum kar diya. Unth aur bakri ki haqikat hi kya hai ? mai toh Aapke Kaaba ko tod-fodkar barbad karne ke liye aaya hu. aapne iske baare me guftagu hi nahi ki ?.”

Abdul Muttalib ne farmaya “Mujhe toh Apne Untho se matlab hai, Kaaba mera ghar nahi balke woh Allah ka Ghar hai. wo khud apne Ghar ko bacha lega, mujhe Kaaba ki jara bhi fikr nahi hai.”

Yeh sunkar Abraha apne firouni lahje me kahne laga ke “Aye Sardar-e-Makka sunn lijiye! Mai Kaaba ko dha kar uss ki eth se eth baja dunga aur Roo-e-Zameen se uska namo-nishan mita dunga. kyunki Makka walo ne mere Girjaghar ki badi behurmati ki hai. isliye mai uska inteqam leney ke liye Kaaba ko barbaad kar dena jaruri samjhta hu.”

Abdul Muttalib ne farmaya ke “fir Aap jaane aur Allah jaane, Mai Aapse Sifarish karne wala koun?

is Guftgu ke baad Abraha ne tamam janwaro ko wapas kar dene ka hukm de diya aur Abdul Muttalib tamam Untho aur bakriyon ko sath lekar apne ghar chale aaye aur Makka walo se farmaya ke tum log Apne-Apne Maal, Maveshiyon ko lekar Makka se nikal jao aur pahadiyon ki chotiyo par chdhkar aur darro me chupkar panah lo.

Makka walo se yeh keh kar aur fir khud apne khandan ke chand Aadmiyon ko sath lekar Khana-e-Kaaba me gaye, aur darwaza ka halka pakad kar intehayi be’karari aur giriya wajari ke sath Darbar-e-Bari Ta’ala me Dua mangney lage ki “Aye Allah beshak har shaksh apne-apne ghar ki hifazat karta hai, lihaja tu bhi apne ghar ki hifazat farma.”

Abdul Muttalib ne yeh Dua mangi aur apne khandan walo ko pahad ki choti par lekar chadh gaye aur Allah ki Qudrat ka jalwa dekhne lagey.

Abraha jab subah ko kaabe ko dhaane ke liye Apne Lashkar-e-Jarrar aur Hathiyon ki sath aage badha aur Makaam-e-Mugammas me pahuncha toh khud uska hathi jiska naam “Mahmood” tha wo ekdum baith gaya. har chand maara aur baar-baar lalkara magar hathi nahi utha,

isi halat me Qehar-e-Ilahi Ababeelo (chotey parindo) ki shakal me namudaar hua aur Nanhe-Nanhe parinde zhund ke zhund jin ki chonch aur panjo me tin-tin kankariya thi. samundar ki janib se Kaaba Sharif ki taraf aane lage.

Ababilo ke in dal-badal lashkro ne Abraha ke lashkaro aur fouzo par is zor-shor se Sangbari shuru kar di ke Abraha ke lashkar aur uske hathiyon ke parkhacche udd gaye. Ababilo ki sangbari Allah ke kehar ki aesi maar thi ki jab koi kankari kisi feel(hathi) sawar ke sar par padti thi toh woh uss aadmi ke badan ko chedti hui hathi ke badan se paar ho jaati thi. (Allahu Akbar)

Abraha aur uske hathiyon samet is tarha Halaq-wa-barbad ho gaye ki unke jismo ki botiya tukde-tukde hokar Zameen par bikhar gayi, chunache Quraan-e-Kareem ki Surah Feel me Allah ta’ala ne is wakiya ka Zikr karte hue farmaya ki

♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥

❝Aye Rasool (ﷺ)! kya Aapne na dekha ki Aap ke Rab ne uss hathi walo ka kya haal kar daala? aur unn parindo ki tukdiya bheji taaki unhe kankar ke patthar se maare. toh unhe chabaye hue bhoos jaise bana daala.❞

      📕  Surah Feel 105

✦ Wajahat:

Aayiye is Surat me Rabbul Izzat hume kya Naseehat kar raha hai is par Mukhtasar sa gour karte hai.

Allah Rabbul Izzat chahta tou apne Ghar ke hifazat ke liye farishto ko tak bhej sakta, Untho aur Hathiyo ke lashkar ke sath Apne Ghar ki hifazat kar sakta tha, lekin Usney aisi Haqeer chudiya bheji jis se darrne ka tasawwur bhi nahi hota.

Yaani Allah Rabbul Izzat kisi ka mohtaz nahi balki wo hume Aagah kar raha hai ke “Aye insano mere ghar aur mere Deen ki hifazat ke liye mujhe tumhari ratti barabar bhi jarurat nahi, Mai chaahu tou Haqeer-se-Haqeer janwaro se bhi apne ghar ki hifazat kar lu, lekin Aye insano! ye tumhari hi khush-kismati aur sharf hoga ke tum Aakhirat ke liye kuch kaar-e-khair karo.”

Aaj hum tadad me qaseer hotey hue bhi Dushman-e-Deen se shikast kha rahe hai, isiliye kyunki humne Allah ke Deen ke liye koi Mashaqqat na ki,  Natijatan Zalim hukmra hum par musallat hotey rahe. Allah reham kare.

✦ Sabaq:

Lihaja jo log ye kehte hai ke Islam khatrey me hai.. wo bhul jaiye ke Islam ko kabhi khatra tha na kabhi hoga , balki Khatre me wo Musalman hai jo is deen ko chorkar apne nafs ki tabedari kar raha hai. jabki is Deen ki Fitrat hai ke ye har haal me insaniyat tak pohoch kar rahega.

Aur isi baat ko Allah ke Rasool (ﷺ) ne wajeh farmaya aur kaha:

❝ Ye Deen tou har Ghar me Dakhil hokar rahega, chahe kaccha makaan ho ya pakka, ya band kiley ho, ya khuli waidya ho. Deen-e-Islam saare Aalam-e-Insaniyat tak pohochkar rehne wala hai.❞

📕  Masnad Ahmed; 16998

Ab hume tay ye karna hai ke hume sath rehna hai ya nahi rehna, jabki Allah ne tou apna kaam karna hai, Apne Deen ko insano par wajeh karna hai, Deen ke sath chalne walo ko Aazmana aur uska badla dena hai aur Deen ko chorne walo ko Duniya aur Aakhirat me ibrat banana aur Azaab dena hai.

❝Yaad rakhiye Islam ki Pehchan Musalmano se nahi, balki Musalman ki Pehchan Islam se hai❞

Tou behaarhaal hume chahiye ke Allah ke Deen ko thaam le, Allah Kitaab aur Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki itteba ko lazim aur farz jaaney. Agar ye hum karenge tou duniya me bhi surkhuru honge aur Insha’allah-ul-Azeez Aakhirat me tou jarur Surkhuru honge ,.. Allah ke paas kaamiyab kehlayenge Aur khub ajar payenge apne aamal ka.

♥ In’ sha’ Allah-ul-azeez !!!
– Allah Rabbul izzat hume Qurano Sunnat ka paband banaye,
– hume ‘amr bil maroof wa nahi anil munkar’ par amal ki taufik dey,
– jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhey,
– khatma humara imaan par ho.
!!! wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

0 thoughts on “Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *