Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Jo Allah par bharosa kare toh Allah uske liye kaafi hai ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ 📖 Roman Urdu "Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai"📕 Al-Quran: 65:03 📖 हिंदी अनुवाद "जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह उसके लिए काफ़ी है"📕 कुरान: 65:03 📖 मराठी अनुवाद "जर कोणी अल्लाहवर विश्वास ठेवतो तर त्याच्यासाठी अल्लाह पुरेसा आहे"📕 कुरान: 65:03 📖 English Translation "If anyone puts his trust in Allah, sufficient is (Allah) for him."📕 Quran: 65:03 👉 Lesson / Paighaam:Har mushkil me Allah par bharosa rakhna hi sabse bada…
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Allah se kare door to Taleem bhi Fitna : Dr. Allama Iqbal 📖 Allama Iqbal ka Paighaam Allah se kare Door to Taleem bhi Fitna,Imlaq bhi, Aulad bhi Jagir bhi Fitna. Nahaq ke liye Uthey to Shamsheer bhi Fitna,Shamsheer hi kya Nara-e-Taqbeer bhi Fitna. 📕 Dr. Allama Iqbal ✦ Wajahat (Explanation) Iqbal kehte hain ke jo bhi cheez Allah se door kar de, wo insaan ke liye fitna ban jaati hai. Chahe wo ilm ho jo Allah ki yaad se ghaafil kare, Ya imaalq (khandani rutba) ho, Ya aulad aur jaaydaad hi…
Jo Shakhs Allah ki Hidayat Jaahir Hone ke Baad… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aur Jo Shakhs Raah-e-Raast Jaahir Hone ke Baad Rasool(ﷺ) se sarkashi kare aur momineen ke tareeke ke siwa kisi aur raah par chale to jidhar wah fir gaya hai hum bhi udhar hi fer denge aur (aakhir) usey jahannum me jhok denge aur woh to bohot bura thikana hai." 📕 Al Quran; Surah Nisa 4:115
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai." 📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592
Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne me Deri Karna Zulm aur Zyadati Hai.” - (Sahih Al-Bukhari, 2400) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैरा (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फरमाया, “मालदार की तरफ से क़र्ज़ अदा करने में देरी करना ज़ुल्म और ज्यादती है” - (सही अल-बुखारी, 2400) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Hamesha Apni Zuban se Khair ki baat kare Hadees of the Day Hamesha Apni Zuban se Khair ki baat kare Abu Hurirah (R.A) se riwayat hai ki, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Beshak Ek banda Allah ki Razamandi ke liye ek baat Zuban se nikalta hai usey woh koi Ahmiyat bhi nahi deta lekin iski wajah se Allah iskey darjaat buland kar deta hai. is tarah ek dusra Banda ek Aisa kalma (baat) Zuban se nikalta hai jo Allah ki Narazgi ka sabab hota hai usey woh koi Ahmiyat…
Hadees: Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone… Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai." 📕 Abu Dawood, Hadees 3597
Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo ... Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo " Allah ke Nazdeek Sabse Zyada Izzat wala Woh hai Jo Sabse Zyada (Allah se) Darne wala hai." 📕 Quran, 49:13
Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi ... Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi Abdullah Ibn Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo (Apne) Chehre ko Peete, Ghireban Phadey (Maatam karey) aur Zamana-e-Jahliat ki batain kare (Noha karey) wo hum (Musalmanon) me se nahi hai." 📕 Bukhari Hadees no. 1297 Noha / Matam karna aur Dekhna dono Haram hai ... ✦ Muharram ke Ashre (10 Dinno) me Shia Hazrat Maatam ya Noha karte hain. Jo Quran wa Sunnat Ki Roshni me Haram, Biddat…
Mout ki Tamanna Hargiz Naa kare: Hadees Mout Ki Tamanna Hargiz Na Kare Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se koi Shakhs kisi Takleef ki Wajah se Jo Tumhe Pohanchi ho, Mout ki Aarzoo naa kare." Aur agar (Takleef ki Noeyat aisi ho keh Iss ke bagair) Chara na ho tou ess taraha Dua kare, "Aye Allah ! Tu mujhey ess Wakt tak zinda rakh, Jab tak Zindagi mere liye Behtar ho aur Uss Waqt mujhe fout (die) kar de jab Wafaat mere liye behtar…
Mehman ke Sath Khao, Kyunki Wo Sharmata hai Mehman ke Sath Khao, Kyunki Wo Sharmata hai Hadees: Ummahatul Momineen Ayesha (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Apne Mehman ke Sath khao, kyunki wo tanha khane me Sharm karta hai." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 9633