Ramzan ki Fazilat: Part 5

6. Roze ka Azr aur Sawab be’hisaab hai:

۞ Hadith: Ek riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai ke:

Roza Dozakh (Hell) se bachne ke liye ek dhaal hai isliye (jo Rozedar ho) wo na tou Biwi se Humbistari karey aur na fahash (Buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shakhs uss se ladey ya usey gaali de tou uske jawaab me sirf ye kehna chaahiye ki mai rozedar hun.”

Uss jaat ki Qasam jiske haath me meri jaan hai, Rozedar ke munh ki bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandeeda aur pakeeza hai.

(Allah farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat mere liye chorrta hai, Roza mere liye hai aur mai hi iska badla dunga aur Nekiyon ka sawaab bhi asal neki ke 10 gunaa hota hai” (dusri hadeeso me 70 guna bhi aaya hai).

Sahih Bukhari, Vol 3, Hadith 1894


7. Rozedaar ke liye Jannat me khaas darwaze se Istekhbaal:

۞ Hadith: Hazrate Sahal Ibne Saad (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) farmate hain: “Jannat ke 8 darwaze hain, unmey ek darwaze ka naam ‘Raiyyan’ hai, uss darwaaze se wohi jaayenge, jo roze rakhte hain.” [ Sahih Bukhari, Vol 3, 1896]

SubhanAllah! ek special darwaza rakhna alamat aur ailaan hai ke Allah ke paas badi Ahmiyat hai Rozedaro ki, isey mamuli mat samjhiye. tou andaza lagayiye roze rakhne walo ki kitni ahmiyat hai ke inkey istekhbaal ke liye khas intezam farmaya hai Allah Rabbul Izzat ne. Subhan’Allah !!

♥ In sha Allah Ul Azeez!!! Allah Ta’ala hume apne rozo ko Khushu aur Khuju ke sath ada karne ki taufiq dey.. ameen …

To be Continued …

  PREV  NEXT  

1 Comment

Leave a Reply