Jannat me Jaane se Koun Inkaar Karega ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallaho Alayhe Wasallam) Farmatey Hai - "Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaye Uske Jisney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.." Sahaaba (RaziAllahu Anhu) Ne Pucha - "Aye Allah Ke Rasool! Jannat Me Jaaney Se Tou Koi Bad-Bakht Hi Inkaar Karega". Aap (Sallallaho Alayhe Wasallam) Ne Farmaya: "Jisne Meri Ita'at Ki Wo Jannat Me Gaya Aur Jisne Meri Nafarmani Ki Usney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.." - (Sahi Bhukhari, Kitaab Ahkam) ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez!!!…
Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge? Allah ki Madad Qareeb hai "Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ? halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke "Allah ki madad kab aayegi ?"(phir unhe tasalli di gayi ke) Haa! Allah ki Madad Karib hai." 📕 Al Quran…
Logon ke Hisab ka Waqt Qareeb Aa gaya Logo Ke Hisab Ka Waqt Qareeb Aagaya Allah rabbul izzat Quran e Karim me farmata hai. "Logon ke hisab ka waqt qareeb aa gaya fir bhi woh gaflat me moohn phere hue hain." 📕 Surah Anbiya 21:01
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)
Jannat Mein Le Janewale Aamaal by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=fuDiLe6YE4w Jannat Mein Le Janewale Aamaal What is jannah, Concept of Jannah in islam, levels of jannah, Jannah As Defined in Islam, How Is Heaven, All about jannah, paradise, garden of eden , jannat ka bayan, jannat ki naimat, pleasures of paradise in islam jannat mein jane ki dua
Ramadan Day 5 : Ramzan me Jannat ke Darwaze khol diye jatey 05th Ramzan Hadith : ❝ Ramzan ke Mahine me Jannat ke Darwaze khol diye jatey hai, Jahannum ke darwaze band kar diye jatey hai aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai.❞📕 Ṣahih al-Bukhari 1800
Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Namaz Jannat ki Chaabi hai Jannat ki Chabi Namaz hai Hadees: Jabir Bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya – “Jannat ki Kunji ( Key / Chaabi ) Namaaz hai aur Namaaz ki Kunji Wuzu hai.” 📕 Jami at Tirmidhi, Hadees-04 (Sahih) Ek aur riwayat me Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhas Namaz padhne ko zaruri samjhe woh Jannat me dakhil hoga." 📕 Muntakhab Hadees Safa :135 in sha Allah ul Azeez! Allah Taala Hume kehne Sun'ne se jyada amal…
Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool'Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: "Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? " hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: "Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui…
Jannat ka Khazana: La Houla Wala Quwa'ta Illa Billah… Jannat ka Khazana ۞ Hadees: Abu Musa Ashari (R.Au) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Kya Main tumhein Jannat ke khazano mein se ek khazana batlaau ?” Maine kaha (Zarur) batalaiyye. Aap (ﷺ) ne farmaya , ‘Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa Billah‘ (Allah ki Madad ke bagair Gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki Quwwat nahi.) 📕 Sahih Muslim, Jild 6, Hadees 6868 Ek aur riwayat me aata hai ke:“Ye Kalma 99 Bimaariyo ki Dawa hai.’ Jis me se halki…
Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki… Main Allah ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar Hadees: Ummul Momineen Juwairiyah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) subah ko unke pass se nikle, wo apni Namaz ki jagah me subah ki Namaz Ada kar rahi thi, Aap (ﷺ) wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap (ﷺ) ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone…