Allah se Magfirat aur Aafyiat mangne ki Dua ✦ Mafhum-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanahu Ta'ala se Magfirat aur Aafyiat manga karo, kyuki Yaqeen ke baad Aafiyat se behtar koi cheez kisi ko nahi di gayee." 📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1482-Sahih ✦ Mafhum-e-Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Subah aur Shaam ko ye Dua maangna kabhi nahi chorha, yaani rozana Subah aur Shaam mein isko padha karte they: ❝Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah.❞ (Ya Allah…
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees:…
Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho "Aur Un Aurto (Apni Biwiyoun) ke Sath bhale andaaz me Zindagi basar karo." 📕 Surah An-Nisa 4:19
Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai "Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare tamam kaamo se poori tarah ba khabar hai." 📕 Surah Maidah 5:8
Allah ka hukum sirf Mujhse Mango / Allah says that… !!! Bismillah hir-Rahman nir-Rahim !!! ♥ Hadith-Qudsi: Allah Subhanahu ne farmaya Mujhse Raah mango, Mujhse khana mango, Mujhse kapda Maango, Mujhse bakshish Maango Abu Dhar (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihey wasallam) se suna ki Allah taala ne farmaya: "Aye Mere Bando! mainey Zulm ko apney upar Haram kiya hai aur tum par bhi Haram kiya, Tou Mat Zulm karo aapas mein ek dusrey par, Aye mere bando! tum sab Gumraah ho magar jisey main raah batlauu…
Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle ijajat ۞ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‟Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo, agar ijaazat mil jaye tou thik hai, warna wapas laut jao 📕 Muslim, Hadees : 5753
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 671 Beshaq Allah ko aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat par Dars ho. Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek aisi Masjid bhi Todney ka Hukm diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me…
Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitho Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitha karo." 📕 Mustadrak, Hadees 7947
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Khayaanat karne walo ke saath kya kare? Khayaanat karne walo ke saath kya kare ? Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Tumhare saath Khayanat (Dhoke ka muamla) kare, tou tum uss ke saath Khayaaat na karo." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 3535
Jab Jannati Bandey Allah ka Deedar Karenge: Allah ka… Hadees: Suhaib (R.A) se Riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: "Jab Jannati Jannat me paunch jayenge, To Allah Ta'ala Unse Irshad farmayenge: "Kya Tum Chahte ho ki Mai Tumko Mazeed Ek Cheez Ata karun Yaani Tumko jo kuch ab tak Ata hua hai us par Mazeed Ek khaas Cheez Inayat karun ?" Wo Kahenge: "Kya Aap ne Humare Chehre Roshan nahi kar diye aur kya Aapne Hume Dozakh se Bacha kar Jannat me Dakhil nahi kar diya ? (Ab…
Lout Aao Apne Parwardigaar Ki Taraf aur Uske… Aaj Ummat-e-Muslima Me Jitney Bhi Ikhtelafat Nazar Aa Rahe Hai Uski Asal Wajah Yahi Hai Ke Nauzubillah! Humne Allah Ki Kitaab Aur Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ko Chorr Diya, Natijatan Hum Gumraahi Ke Daldal Me Fanstey Chaley Gaye,.. Aur Zalim Hukumra Humpar Musallat Hotey Rahe ,.. Mere Azeezo! Bhaley Hi Hum Fikri Ikhtelafat Ki Buniyad Par Aaj Firqo Aur Jamato Me Batt Chukey Ho, Lekin Deen Humara Islam Hi Hai, Aur Shariyate Islamiya Bohot Hi Pakiza Shariyat Hai…
Aye Imanwalo! Ek Ho Jao ! Nek Ho Jao ... Allah Rabbul Izzat Apney Mukkadas Qalaam Quraan Me Farmata Hai – ♥ Al-Quraan: Beshaq Jo Log Apne Deen Ke Tukde Tukde Kar Chukey Hai Aur Firqo Firqo Me Taqsim Ho Chukey Hai Unn Logon Ke Sath (Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Aapka Koi Ta’alluq Nahi, Unka Mu’amla Tou Sirf Allah Ke Hawale Hai, Fir Jo Kuch Bhi Wo Duniya Me Kiya Karte They Allah Unhey Bata Dega. – [Surah(6) Al-Aan’aam: Ayat-159] Iss Aayte Mubarak Ki Tafseer Allah Ke Rasool…
Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Hadees: Hazrate Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "1 Shakhs raste mein chal raha tha ke usey Shiddat ki pyaas lagi usey Ek Kunwa(Well) mila aur usne isme utar kar paani piya. jab bahar nikla tou wahan Ek Kutta dekha jo haanp raha tha aur Pyaas ki wajah se tari ko chat raha tha. is Shakhs ne kaha ke yeh Kutta bhi itna hi Ziyada…