Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jab Tum me se koi Dua kare to Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare, Phir Nabi ﷺpar Durood bheje, Uske baad jo chahe Dua mange." 📕 Abu Dawood, Hadees: 1481-Sahih
Allahumma Inni Zalamtu Nafsi | Magfirat ki Dua -Aye… Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Dua Hadees: Abu Bakr Siddique (R.A) ne RasoolAllah (ﷺ) se kaha ki Mujhe aisee Dua sikha dijiye jo Main namaz me parha karu tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke ye parha karo - اللَّّهُمَّ إني ظَلمتُ نفسي ظُلمًاًًً كثيرًاًً. ولا يغفر الذنوبَ إلّّّا أَنْتَ فاغفر لي مغفرةًًًً من عندك. وارحمني، إنّّكَ أنتَ الغفورُ الرّحيم "Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Kaseeran Wala Yaghfiruz-Junuba Illa Anta, Faghfirli Maghfiratan Min Indika War-Hamni, Innaka Antal Ghafur-Ar Rahim." (Aye Allah mainey apni jaan…
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 3645
Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul… ✦ Hadith : Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge RasoolAllah (Sallallahu Alalhi Wasallam) ne farmaya: "Namaz teen hisso mein taqseem hai Pakeezgi ek tihayee hai aur ruku ek tihayee hai aur sajde ek tihayee hai Jisne Iss tarha adaa kiya to uski namaz qubul ki jaegi aur uske sare aamal qubul honge aur jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge." 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha - 643
Mayyat ki Pukar Insan ke siwa Saari Makhlooq sunti hai ? Roman Urdu ? RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jab Mayyat char payi par rakha jaata hai aur mard usey kaandho (Shoulders) par Uthate hain tou agar woh Nek ho tou kehta hai ke Mujhe Aage (Jaldi) le chalo. Lekin agar Nek nahi ho tou kehta hai'haaye barbadi ! Mujhe kaha le ja rahe ho?' Uss awaz ko insan ke siwa Allah Ta"ala ki tamam Makhlooq sunti hai. Agar insan kahin sun le to behosh ho jaye." - (Sahih al-Bukhari 1314)…
Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Hadees: Muaz bin jabal (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Dunia mein jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou, Jannati hooron mein se uski Biwi kehti hai: "Allah tujhe barbaad kare! usey takleef na de. Ye tou tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh kar hamare paas pahunch jaye." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha, Hadees 2012📕 At-Tirmidhi; Book 1, Hadees 287
Dikhawe ki Qurbani Allah ko Qubool nahi Allah ko Qurbani ke Janwar ka Gosht Nahi Pohochta ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Beshaq Allah Ta'ala ko na tou tumhare Qurbani ka Gosht pohochta hai aur naa hi khoon ! magar haa uss tak tumhari Parhezgaari pohochti hai.❞ 📕 Al-Quran; Surah Hajj 22:37 ✦ SABAQ: Dikhawe ki Qurbani Allah ke yaha Qabool nahi Aaj Humare Qurbaniyo ka kya aalam hai beharhaal bataney ki jarurat bhi nahi, Log Qurbani ka jaanwar bhi laatey hai tou uske saath photos khichwatey hai. Allah Reham…
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah Hadees: Hazrate Jundub (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: "Jo Shakhs Shohrat ke liye koi Kaam karega tou Allah Taala uske Aib Mash'hoor kar dega." 📕 Bukhari, Hadees 7152
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bhugz (nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 1467(3645)
Jab koi Khana khaye aur Niwala Gir jaaye ... Jab koi Khana khaye aur Niwala Gir jaaye Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum Mein se Koi Khana Khaye aur Niwaala Gir Jaye tou Us Mein se Jo na Pasand Samjhe Us Hisse ko hata de phir Woh Baaqi Niwala Khaa Le, Usey Shaitaan Ke Liye Na Chhode." 📕 Tirmizi, Hadees: 1802 Sahih
Kya Allah Sidhey Nahi Sunta? Aaj Hum'me Se Kayi Musalman Apne Rab Ki Rehmato Se Itne Gafil Ho Gaye Hai Ke Wo Yaaha Tak Keh Detey Hai Ke Allah Humari Dua Ko Sidhey Nahi Sunta,, Bich Me Marhale Chaahiye.. Subahn Allah .. Agar Rab Sidhey Nahi Sunta Tou Koun Sidhe Sunta Hai ? * Wo Rab Jiske Talluk Se Hum Khud Kehte Hai Ke Wo Humare Dil Ke Khayalat Ko Janta Hai, * Burey Khayalat Par Hum Us'sey Tauba Karte Hai .. Kya Wo Rab…
Jab koi khana khaye to Ungliya Chaat le Jab koi khana khaye to Ungliya Chaat le Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya – "Tum me se koi Shakhs Khana Khaye to Apni Ungliyon ko Chaat le, Kyunki woh Nahi Janta ke In me se Barkat kis me hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 2035