Allah Rabbul Izzat Ne Aalami Aman Ke Liye Quraan Me Nuskha Bhi Batla Diya.
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aye Ahle Kitab! Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum’me Yaksa Hai,
Ke Hum Allah Ta’ala Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Kere,
Na Uske Sath Kisi Ko Shareek Banaye,
Na Allah Ta’ala Ko Chor Ker Aapas Me Ek Doosrey Ko Hi Rab Banaye.
Pus Agar Woh Mooh Pher Le Tou Tum Keh Do Ke Gawah Raho Hum Tou Musalman Hai..” – (Surah Al-Imaran; Ayat 64) – @[156344474474186:]
Tou Yaha Allah Rabbul Izzat Ne Ek Usool Bata Diya Ke “Bulao Uss Kalme Ki Taraf Jo Hum’me Aur Tum’me Barabar Hai.” Ab Sawaal Yeh Hai Ke Hum’me Aur Tum’me Baatey Barabar Ho Aur Sabse Pahle Allah Hi Ibadat Ke Layak Hai Tou Jaahir Si Baat Hai Hume Iskey Liye Adiyan(Comparative Religion) Ka Ilm Hasil Karna Hoga,.. Ek Dusrey Se Baat Share Karni Hogi..
* Lekin Jab Bhi Majhab Ka Mu’amla Aata Hai Hum Bilkul Khamosh Rehte Hai Ke Wo Uska Masla Aur Ye Mera Masla ,..
– Lekin Boliye, Baat Kijiye, Dawat Dijiye Similarities Ki Taraf..
– Kyunki Yeh Bohot Nazuk Ghadi Hai! Iss Ghadi Me Humko Kholkar Rakhna Hai Apna Deen Logo Ke Samne… Unsey Puchna Hai Aur Apni Baat, Apna Deen Unke Samne Rakhna Hai,,
• Lekin Aaj Hum Ye Kaha Karte Hai ?
* Kaha Unsey Puchtey Hai ? , Kaha Apna Deen Rakhte Hai? Aur Unse Jan’na Chahte Hai ?
* Aur Kaha Ek Rab Hone Ki Baat Apne Deen Se Ya Unke Deen Se Sabit Karte Hai?
* Hum Apni Mashguliyat Me Masruf Hai Aur Chahte Hai Wo Jo Kar Rahe Hai Wo Unhe Karne Do..
– Fir Jab Unke Taraf Se Sharangezi Hoti Hai, Nuksanat Hotey Hai, Fir Pareshan Hokar Allah Se Dua Karne Lag Jatey Hai Ke Wo Qoume Aisa Kyu Kar Rahi Hai ?
# SABAQ: Lihaja Hume Chahiye Ke Logon Ko Allah Ki Taraf Bulao, Behtareen Daleelo Se, Behtareen Akhlak Se.. Unki Galatfehmiya Jo Islam Ke Baarey Unke Jehan Me Ghar Kar Chuki Hai Usey Door Karne Ki Koshsih Karey.,.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez ..
# Allah Ta’ala Hume Paigaame Haq Logon Me Aam Karne Ki Tauffiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa