Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-6
44. Naukrani Apne Malik ko janam degi
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ek din logon ke samne tashreef farma they ke ek aadmi aaya aur arz karne laga: “Ya Rasool Allah ﷺ! Qayamat kab aayegi?”
Aap (ﷺ) ne farmaya: “jis se sawal kiya gaya hai wo bhi sawal karne wale se ziada nahi janta, albata main tumhe wuqoo e Qayamat ki kuch nishanian batata hoon. Jab londi apni malika ko janegi (tou Qayamat qareeb hoge).”
📕 Sahih Bukhari kitab ul iman 50
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“jab londi apne malik ko janam degi tou yeh Qayamat ki nishanion mein se hai.”
📕 Sahih Muslim kitab ul iman 97
Note:
Londi ka apne Malik ko janam dena Qayamat ki ek nishani hai.
Baaz riwayat mein malik aur baaz mein malika ko janam dene ka zikar hai albata lekin mafhoom dono ka ek hai.
Hafiz Ibne Kasir R.H aur Hafiz ibne Hajar R.H isey baeed az qayaas qara detay huwey farmatey hai ke is qoal mein nazar hai kyon ke jab yeh paishgoyi ki gaye tou is waqt mazkoora sourat mojod thi jab ke Aap (ﷺ) ki murad koi aisi soorat hai jo is waqt moujood nahi thi balkey Qayamat ke qareeb ronuma hogi.
jangien ba kasrat honge aur londi ghulam ba kasrat hongey. londion ki bakasrat khareed o farokht honge jabkey bacchay malikon ke hongey phir wohi aulad apni he maon ko londion ki hasiyat se khareed layengey lekin aulad aur maa ko haqeeqat e haal ka ilm nahi hoga.
londi malik ko janegi ka mafhoom yeh hai ke aulad ma ka hukam nahi manege balkay nafarman aulad maan ke sath londion ka sa salook karenge. halankay maon ki nafarmani bhi Nabi Kareem (ﷺ) ke dour mein moujood thi jis se Aap (ﷺ) ne mana farmaya hai.
Raje’e Mafhoom:
is jumlay ko haqeeqat per mahmool kiya jaye ke filwaqye londi apne malik ko janam degi aur aaj ke scienci dour me yeh sab kuch sabit ho chuka hai. log kiraye per aurtein hasil kar ke apne nutfay is ke rahem mein rakhwa dete hai phir wo is Aurat ke raham mein parwarish pa ker janam leta hai halankay Aurat ki hasiyat mulazma ki si hote hai jab ke janam paney wala is ke malik ka bacha hone ki waja se Aurat ka bhi malik hota hai.
45. Duniya se Muhabbat aur mout se Nafrat hogi
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne Hazrat Soban (R.A) se kaha Aye Soban! is waqt tumhara (Musalmano ka) kya haal hoga jab (kafir) ummatein tum per is tarah toot padengi jis tarah tum khane ke bartan per toot partey ho?
Soban (R.A) ne kaha: Mere Ma Baap Aap per qurban ya RasoolAllah ﷺ! kya is waqt hum Qillat mein hongey?
Farmaya: Nahi balkey tum kasrat mein hogey lekin Allah Ta’ala tumhare dilon mein wahan daal dega. Sahaba (R.A) ne pucha ya Rasool Allah ﷺ! Wahan kya hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: Duniya se Muhabbat aur jihad se nafrat.”
Ek riwayat mein hai ke
“Duniya se Muhabbat aur Moat se nafrat.”
📕 Masnad Ahmad 473/2
📕 Abu Dawood Kitab ul Fitan wal malahim 4297
Note:
Dunia se mohabbat aur moat se nafrat Qayamat ki ek nishani hai. is nishani ka zahoor waqoo pazeer hai.
Musalmano ki shikast o Zillat ka bunyadi Sabab duniya se Muhabbat aur aakhirat ki fikr se nafrat bataya gaya hai. jo ke aaj sab ke samne hai.
46. Nek Log madoom(fout) ho jayenge
Hazrat Mardas Aslami (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Naik log yakayak rukhsat hotey jayenge aur fazool log baki reh jayenge jis tarah jo ka bhoosa ya raddi baki reh jati hai aur Allah Ta’ala in (fazool logon) ki kuch parwah nahi karenga.”
📕 Sahih Bukhari kitab ul riqaq 6434
Hazrat Umro bin Shoaib apne baap se aur wo apne dada (Abdullah R.A) se riwayat karte hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “logon par ek aisa waqt ayega ke jab in ki khoob chatni, safai ki jayegi tou fizool log baki reh jayenge (jabke naik log madoom ho jayenge) phir Aap (ﷺ) ne apne dono hathon ki unglion ko baham mila ker farmaya: is tarah in ke wadey aur Amanatein khalat malat ho ker reh jayenge aur wo ikhtalafat ka shikar ho jayengey.”
isi tarah ki ek riwayat Abdullah bin Umro (R.A) se bhi mairvi hai aur is mein ye izafa hai: Ya Rasool Allah ﷺ! phir (aisey waqt) hume kya karna chahiye?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum Allah se daro, Naiki ka kaam karo, burayi se door raho aur logon ko chor ke bilkhusoos apni fikar karo.”
📕 Masnad Ahmad 289/2
📕 Sunan Abu Dawood Kitab ul Fitan wal malahim 4342
📕 Sunan ibne maja 4005
Hazrat Zainab bint Jahash (R.A) farmati hai ke ek martaba Nabi Kareem (ﷺ) neend se bedaar hoowey tou Aap ka chehra surakh tha aur Aap ne la ilaha illallah padh kar farmaya: “Arab ke liye is sharr se halakat hai jo qareeb aan pohancha hai.” Aap (ﷺ) se pucha gaya: kya hum halak ho jayenge jab ke hamare darmayan saleh log bhi moujood hongey? farmaya: “haan jab khabasat bohat badh jayegi.”
📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7059
Hazrat Umar bin Khatab (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat ki nishanion mein se hai ke dunia par zaleel ibne zaleel (logon) ka ghalba ho jayega.”
📕 Masnad Ahmad 535/5
📕 Majma al zawaid 630/7
📕 Musanif abdul razaq 316/11
Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: “Qayamat qayem nahi hogi magar sirf bad tareen logon par. (qayem hogi jab ke naik log madoom hongey).”
📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2949
Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: “Wo log sab se badtareen hai jin ki zindagi mein Qayamat barpa hogi.”
📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7067
Note:
Naik logon ka madoom ho jana Qayamat ki ek nishani hai. Moujooda halat mein yeh nishani khoob wazeh ho chuki hai.
Nnaik log aahista aahista duniya se rukhsat ho rahey hain.
Fazool logon ki nishani yeh zikr ki gayi hai ke wo dayanat o amanat, ahad o wafa, sachai aur rast goye jaisey osaf kareema o ikhlaq e hasna se mehroom hongey.
Qayamat ki mazkoora nishani barhaq hai magar hume apne rawiye se naik saleh afrad ka namona paish karna chahiye aur naiki ka naam o nishan zinda rakhne ke liye hume chahiye ke apni nasalo ko deeni taleem o tarbiyat ki sa’adat se aarasta karein.
47. Deen ajnabi ho jayega
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“islam ajnabi (halat mein) shuru hua tha aur anqareeb isi tarah ajnabi ho kar reh jayega jis tarah shuru huwa tha pas ajnabi logon (Musalmano) ke liye khushkhabri hai.”
📕 Masnad Ahmad 512/2
📕 Sahih Muslim 145/6
Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“islam ka aaghaz ajnabi (halat me) huwa tha aur esi tarah is ka ikhtatam bhi ajnabi (halat me) hoga lihaza ajnabi logon (Musalmano) ke liye khushkhabri hai.”
Aap (ﷺ) se pucha gaya ke ajnabi koun hai? farmaya: “jo qabail (aur watno) se (bagharz e hijrat) nikal gaye hon.”
📕 Masnad Ahmad 498/1
📕 Sunan tirmizi 2629
📕 Darmi 402/2
Hazrat Abdul Rehman Aslami (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“islam ajnabi shuru huwa aur ajnabi halat par loat jayega lihana ajnabi logon ke liye khushkhabri hai.” pucha gaya: ajnabi kon hain?
Farmaya: “jo logon ke fasad ke waqt islah ka kaam karte hain. is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai iman sailaab ki tarah Madina ka rukh kar lega. Qasam is zaat ki jis ke hath mein meri jaan hai islam in do masjidon (kaaba aur Masjid e nabvi) ke darmayan is tarah sukad aayega jis tarah Sanp apni bil mein ja sukadta hai.”
📕 Masnad Ahmad 104/4
📕 Majma al zawaid 535/7
Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne 3 martaba ajnabi (ghuraba) logon ke liye basharat farmai tou Aap (ﷺ) se pucha gaya ke ya Rasool Allah (ﷺ) ghuraba koun hain?
farmaya: “Kaseer al tadaad badkaron mein rehne waley Qaleel al tadaad saleh (Naik) log, jahan nafarmanian ziada hon aur itaat guzar thodey hon. (tou wo itaat guzar ajnabi hain).”
📕 Masnad Ahmad 235/2
📕 Tibrani kabeer 122/10
📕 Majma al zawaid 535/7
Note:
Deen islam aur ahle islam ka ajnabi ho jana Qayamat ki ek nishani hai.
Ajnabi ki mukhtalif Aahadees mein mukhtalif tareefaat ki gayi hain. maslan Hijrat karne wale, fitna o fisad ke waqt logon ke sahih deen per islah kerne wale kaseer al tadaad fasadi aur shareer logon mein qaleel al tadaad shareef o saleh aur pakeezah kirdad log.
Magar mazkoora tamaam tareefat ka malkhas mushtarik hai yani ghuraba wo log hai jo Ummat mein fitna o fisad aur amli bey raah ravi ke waqt logon ki sahih rehnumai ka bera uthayenge. go is naik maqsad ke liye inhe apne ilaqay, qunbey qabeelay aur ghar baar qurban ker ke hijrat jaise sa’adat se bahramand kyon na hona padey. aur aise log dusre Musalmano ke muqablay mein nihayat qaleel tadad me hongy is ke liye inhe ajnabi ke khitab se nawaza gaya hai.
islam ba waqat aghaz ajnabi tha yani islam qabool karne wale aqliyat mein they magar ahisata ahista yehi islam nisaf se ziada dunia per cha gaya aur aaj esaion ke baad Musalman aksariyat me hai magar qabal az Qayamat islam dobara ajnabi ho jayega hatta ke wo chand ek log hee Musalman reh jayengey jo Hazrat Esa A.S ke sath mil kar Dajjal ke khilaf jihad karenge phir Yajooj Majooj se bachney ke liye ek pahad (koh e toor) par panah leinge.
48. Log badal jayenge
Hazrat Mardas (R.A) bayan karte hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Naik log yakayak baad deegrey guzarte chale jayenge aur fazool log baki reh jayenge jis tarah jo ka bhoosa ya raddi khajoor baki reh jati hai. Allah Ta’ala in ki kuch parwah nahi karenga.”
📕 Sahih Bukhari kitab ul maghazi 4156
Hazrat Abu saeed (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“bilashuba tum pahle logon ke taur tareekey is tarah ikhteyar karogey jis tarah balisht balisht ke aur hath hath ke barabar hota hai hatta ke agar wo goh (saandey) ke bill mein dakhil huwe tou tum bhi in ki pairvi karogey.”
📕 Sahih Bukhari kitab ahadees al ambiya 3456
Hazrat Huzaifa (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat is waqt tak qayem nahi hogi jab tak tum apne imam (khalifa, ameer) ko qatal na karogey aur apni talwaron ke sath aapas mein hee ladogey aur tumhare badtareen log tumhare dunia ke waris ban jayengey.”
📕 Sunan tirmizi Kitab ul Fitan 2170
Zubair bin Adi (R.A) farmatey hai ke hum Hazrat Anas (R.A) ke paas hajjaj bin yusuf ke muzalim ki shikayat le ke hazir huwey tou unhone farmaya: “Sabar karo! tum jis dour se guzar rahey ho is ke baad aaney wala dour is se bhi ziada bura hoga kyon ke yeh baat maine Nabi Kareem (ﷺ) se suni hai.”
📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7068
Note:
Logon ki aadaat o sifaat, hasiyat o kaifiyaat aur ihwaal o kirdar ka badal jana Qayamat ki ek nishani hai. moujuda dour mein is nishani ka Zahoor waqoo pazeer hai.
Logon ke badalney me is baat ki taraf ishara hai ke in ki sifaat hasana sifaat e saiya se badal jayengi aur in ke ikhlaq o kirdar badnuma aur daghdar hongey, Yahood o Nasara ke tabe’e aur Islam se baghi hotey jayenge.
49. Barish bakasrat hogi magar khaimey mehfooz rahiengey
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke logon per ek aise barish aayegi jis se her matti garey ka (pukhta) ghar tou (bheegney se) mehfooz nahi raheyga magar balon waley ghar (yani khaimey) is (barish) se mehfoz raheinge.”
📕 Masnad Ahmad 262/2
📕 Majma al zawaid 639/7
📕 ibne hibban 6770
Note:
Qurb e Qayamat ki ek nishani yeh hogi ke puri kurra arzi per ek hee waqt mein musladhaar barish hogi magar is barish se dunia ke ghareeb, faqeer, ya musafir aur mujahid logon ke khuley aasman taley gadhey huwey balon (oon) ke khaimey mehfuz rahenge jabke badi badi mazboot aur mehfooz imartien is barish se mehfooz na reh sakeingi.
Qayamat ki mazkoora nishani abhi tak zahir nahi hui.
Mazkoora peshangoyi bila shuba insani ilm o aqal aur tajurbe se ma wara maloom hote hai ke kisi jaga ek he barish ho magar khaimey mehfuz rahien aur makanaat bheeg jayen lekin Allah Ta’ala ki Qudrat se koi cheez bahir nahi wo har cheez par Qadir hai aur hume batour Musalman aamanna wa sadqna ke siwa chara nahi.
Kai martaba dekhne mein aaya hai ke shaher ke ek hissey mein khoob barish ho rahi hai magar dusra hissa mehfooz hai. agar aisa mumkin hai aur filwaqe is ka jawab musbat hai tu phir mazkoora peshangoyi ke waqoo me tajjub ka shikar nahi hona chahiye.
50. Barish bakasrat hogi magar paidawar nahi hogi
Hazrat Anas (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem honey se pehle (puri roohe zameen par) ek Aam barish hogi magar (barish ke bawjood) zameen kuch nahi ugayegi.”
📕 Masnad Ahmad 1773/3
📕 Majma al zawaid 638/7
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Qahet saali yeh nahi ke barish ruk jaye balkey qahet sali tou yeh hai ke baar baar barish ho magar zameen nabataat uganey se inkar kar de.”
📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2904
Note:
Qayamat ki ek nishani yeh hai ke musaladhar barish ke bawjood zameen se paidawar nahi hogi.
Qayamat ki mazkoora nishani abhi tak zahir nahi hui. jis tarah barish na hone ki wajah se qahet paida hota hai isi tarah Qayamat ke qareeb qahet paida hoga magar barishen qahet se nijat na deingi kyon ke yeh Allah Ta’ala ki taraf se ek imtihan hoga.
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega