Hadith: Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek ataa karta hain
✦ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya :
“Jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain. Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai, ya phir uski koi taklif us se dur farma deta hain.
Sahaba Radi Allahu Anhuma ne farmaya :
phir to hum zyada duayein karenge!
Tou Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya :
“Allah Subhanahu (ke paas ata karne ko) bahut zyada hain.”
📕 Masnad Ahmed, 10749-Sahih
SubhanAllah! Allah Taala hume kehne sunne se jyada amal ki taufik de.. Ameen Ya Rabbul Aalameen.
Related Posts: