Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ?
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –
“Meri Ummat 73 Firqon me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere aur Mere Sahaba ke Aqeede par hoga.”
📕 Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255
Aksar Humare Nadaan Musalman Iss Hadeese Mubarak ke Talluk se Galatfehmi me Pad jatey hai aur Jiska Fayda kayi Mafadparast Log Uthatey rehte hai aurur Naa Jaane Shariyat par Kya-Kya Tohmat Lagatey rehte hai ke –
“Dekho Allah ke Rasool ne Khud farmaya ke 73 Firqe hone wale hai, lihaja Firqe bana Lo.” (Maaz’Allah)
*Aise Logon se Humara bhi Ek Sawaal hai ke –
Rabbul Izzat ne Quraan me Jab Bayan kar diya ke –
“Har Nafs Ko Mout ka Maza Chakhna Hai.”
📕 Al-Quran 3:185
Tou phir paida Hotey hi kyu Na Hum Apni Qabr khod ley?
Kyu Na Hum Abhi se Apni Qabro me ja kar let jaye?
Zindagi Jiney ki Itni Saari Mashaqqat karne ki Jarurat hi kya hai Jab Mout tou Aani hi hai ?
Thoda tou Gouro Fiqr karo mere Azeezo!
Yeh 73 Firqo Waali Hadees Bilashuba haq hai, Lekin agar Hiqmat se kaam ley tou Aap bhi Samajh Jaoge ke Wo 72 Firqe Log Jahalat, Gaflat aur Taqabbur me bana lenge.
Is Hadeese Mubarak me Rasool’Allah (ﷺ) ne tou Muslamno ke Jahalat ki taraf Nishandehi ki hai ke –
“Log Kitabo Sunnat se Bebaaq ho Jayenge aur Natijatan Firqo me batt Jayenge.”
Lihaja aise Fitno se bachne ke liye Rab ke Nazdik haq par kehlane ke liye Rab ki Kitab (Quraan) aur Meri Sunnat ko thaam lo, Yahi Mafhoom hai Iss Hadeese Mubarak ka! Kyunki Shariyat har haal me Ittehad chahti hai.
*Aur Uskey Taklluk se Allah Rabbul Izzat ne Aayat bhi Nazil kar di ke –
“Sab Milkar Allah ki Rassi (Hidayat) ko Mazbuti se Thaam lo,
aur Aapas me Phoot naa dalo.”
📕 Aal-e-Imran 3:103
*Lihaja Jaisa ke har Nafs ko Mout ka Maza Chakhna hai Lekin phir bhi Hum Mout se pahle Apni Aakhirat ki tayyari kar rahe hai.
Usi Tarha 73 Firqo Me Ummat Batney waali hai, Unme Se 72 Jahannumi Firqo me wo log Batney wale hai Jo –
*Kitabo Sunnat ke Barkhilaf Apne Nafs ki Tabedari karenge,
*Qurano Hadees ke Bajaye Apne Ulemao ke Fatawe ke Mohtaz ho jayenge,
*Jinki Aql Mar Jayegi aur har Dar Par Jhuk Jayenge,
*Aur Mafadparast Log Ummat ke Inhi Nadan Musalmano ke Lailmi
Aur Jahalat ka fayda Uthakar Inhe Batil Parasti ka jarya bana lenge ,…
Tou Aise Fitno se Bachney ka Rasta bhi Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ne Hume bata diya ke –
“Allah Ki Kitab Aur Rasool’Allah(ﷺ) ki Sunnat ko Thamey Rahoge tou Rab ke Nazdiq Haq par Kehlaoge aur Fitnagaro ke Fitno se bach paoge.”
Lihaja Hume har Haal me Kitabo Sunnat ka hi Mukkallaf hona chahiye –
Ek Rab, Ek Kitab, Ek Nabi,.. tou iska tarjey Amal bhi Ek ho aur purey Dil se bhi Hum sab Ek ho.
Aur jo Log Jahilo ke Fatwo par Chalkar Ummat me Ikhtelaf karna chahtey hai! Wo kartey rahe Allah aur Uskey Rasool ki mukhalifat.
Aur jo Haqeeqat me Allah aur Uskey Rasool ke farmabardar hai Wo In’sha’Allah-Ul-Azeez aise Jahilo ke fareb se Aagah ho Jayenge.
♥ Aakhir me Allah Rabbul Izzat Se Dua hai ke –
Allah Taala Hume Haq Kehne, Sun’ne Aur Samajh Ke Saath Amal ki taufik ata farmaye,
Hum Tamam ko Ek aur Nek banaye ,…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Keyword: 72 फिर्के ईस्लाम मे