Contents
♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥
(Allah ke Naam se Shuru Jo nihayat meherban aur reham wala hai)
Hum sab Jantey hai ke koi bhi ek Musalman Chahe Imaan ke Aitbaar se Jis bhi Darje ka ho, har Shakhs ke Nazdik Iss kitab ki badi ahmiyat hai.
Ye Kitaab Badi Mohataram aur Mukaddas hai, aur Tamam ke Tamam Iski Fazilate aur Barkaat kamobesh jantey hai. lekin fir bhi dekha Jata hai ke wo Kitab jiske Fazail, Barkaat Itney saare hum jantey hai, Uske bawajud bhi Iss kitab se Jo Beragbati hai, jo doori hai, ya Iske Ilm ki jo kami hai, ya mu’ashre me jo ispar amal na karne ka jo rawaiya hai ye dekhkar lagta hai ke Fazail ek taraf reh gaye aur logon ne fir usko ahmiyat hi na di.
*Ya fir Fazail ko suna tou sahi, lafazan le liya aur baaki uska mana (meaning) aur uspar amal chorr diya. tou beharhaal Iss kitab ki kya Fazilate hai In’sha’Allah-ul-Azeez ! chand baatey uske talluk se Iss unwan me hum parts ki shakl me rakhne ki koshish karenge.
✦ Quran Ilhami kitab hai :
Quraan wo Ilhaami kitab hai jo tamam kitabo me sabse jyada Izzat Sharf rakhti hai, Allah ne Kayi Kitabe Nazil ki hai, lekin unn tamam Kitabo me Jo sabse jayda Izzat aur Sharf Waali Kitab hai wo “Quraane Majid” Hai.
✦ Quraan Khair-o-Barqat se Malamal Kitab hai :
Isko jisne padha usko khair hasil hua, jisne Isspar amal kiya usko khair haasil hua, aur usney apni dunia aur aakhirat sawar di.
✦ Quran Hidayat aur Hikmat Wali Kitab hai :
Isi Tarha Quraane Majid Hidayat aur Hikmat Wali Kitab hai.. Jo Logon ko Gumraahiyo se Bahar Nikaalti hai, Logon ko Hikmat sikhati hai… Unhe Duniya me Jiney ka tareeka sikhati hai.
✦ Quran Shaq aur Shubey se Paak Kitab hai :
Isi tarha yeh Shaq aur Shubey se Paak Kitab hai,,.. Yaani Ismey kisi kism ka shaq aur shuba nahi hai , Jiski Gawahi Khud Allah Rabbul Izzat ne Dusrey hi Surah ke andar de di “Zalikal Kitab Ul Rawaifi” (Al-Quran 2:2) Yaani Iss Kitab ke Andar koi shaq aur shuba nahi hai.
✦ Quran Sahih aur Galat me Fark karne batane Kitab hai :
Isi tarha Haq aur Baatil me Fark karne wali Kitab hai Quaane Majid.. Ye sach aur Jhuth, Sahi aur Galat , Halaal aur Haraam me Farq karti hai, Isiliye Is Kitab ka ek naam “Furqan” bhi hai. Yaani farq karne wali kitab.
Jis Qoum ne, Jin Logon ne Isko thama Jahalat ke Andhere Unse Hatt gaye aur Imaan ke Noor se unki Zindagiya Munawwar ho gayi.
To be continue ….
Related Posts: