Contents
Nijat / Najat / Najaat ka Matlab
۞ Hadees: Uqba Bin Aamir (R.A.) farmate hai, Maine Arz kiya
“Ya Rasool’Allah (ﷺ) ! Najaat kya hai?” Aap (ﷺ) ne farmaya :
“Apni Zubaan ko Boori Baato se Roke Rahna Nijat hain.”
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hain:
“Jo (boori baaton se) Khamosh Raha Usne Nijat Paai.”
SABAQ: Yaani ki Jis Shakhs ne boori aur fizul bato se Zubaan ko Rokey rakha,
Usey Duniya aur Aakhirat ki bahut si Aafto, Musibato aur Nuksano se Nijat mil gayi.
kyonki aam taur par Insan jin Aaftho se Mubtla hota hai, unme se Aksar ka Sabab Zuban hi hoti hai.
Related Posts: