۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo
❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞
📕 Al-Quran; Surah: Aale-Imran 3:92
“Jo Bhalayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa(Sawaab) Payega aur Jo Burayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa (Sazaa) Ppayega”.
📕 Surah Nisa 4:85
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Meri Sifarish ka fayda har Uss Shakhs ko pahunchega Jo Shirk se bach bachakar zindagi guzarega.”
📕 Muslim Sharif
❝ Apne Ilm pe amal na karna, Neamaton pe shukr na karna aur Gunaaho se taubah na karne se Bhalai ka darwaza band ho jata hai.
📕 Yahya Bin Muaz
❝ Agar koi tum se Bhalaai ki Ummid rakhe tou usey mayoos na hone dena kyunke logon ki zaruraton ka tumse wabasta hona tum per Allah ka khaas karam hai.
📕 Bujurgo ke Aqwal
❝ Jiske sath bhalai ka muamla kiya gaya, usne Bhalai karne wale ko Jazakallahu Khair kaha usne Shukriya ka haq ada kar diya.
📕 Hadith: Jamia Tirimizi, Jild 1, 2101
❝ Tumhari niyat ki paimaish uss waqt hoti hai, jab tum kisi aise shakhs ke sath Bhalai karo jo tum ko kuch bhi nahi de sakta.
📕 Bujurgo ke Aqwal
❝ Acche logon ki Sohbat(dosti) se Bhalaai hath aati hai, jaise hawa jab khushbudar cheez ke paas se guzre tou khushbudar ho jaati hai.
📕 Bujurgo ke Aqwal
❝ Kisi ke ehsaan ka badla chukane ki agar taaqat na ho tou Zubaan se hi Shukriya adaa kar diya karo.
📕 Bujurgo ke Aqwal