Allah Hum se kab Mohabbat karega ?
Aaj Hum Allah se Mohabbat ke liye Tarastey hai ke Allah Humse Mohabbat kare, Hum Uskey Mehboob Ban Jaye, tou Aayiye Dekhtey hai ke Allah se Mohabbat ka Tareeka kya hai ?
Ke Allah Kab Hum se Mohabbat Karega? Allah Khud Quraan me Apne Bando se farmata hai:
“Aye Nabi Kehdo In Ahle Kitaab se, (Mushrikane Makka se, Yahudiyon se, Nassaro se Jo Tamam Ke Tamam Allah se Mohabbat ka Dawa Karte hai) Kehdo In Sabse ! Ke Agar Tum Log Allah Se Mohabbat Ka Dawa Karte Ho Tou Meri Itteba Tum Par Wajib hai.“
Surah Aale Imran: 3:31
Matlab Ke Agar Allah Se Mohabbat Ka Hum Dawa Karte Hai Aur Ye Samjhtey Hai Ke Allah Humse Mohabbat Kare Tou RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Humpar Lazim, Farz Shart Hai Uskey Liye ,…
*Kyunki Mushrikin-e-Makka Bhi Kahte Ke Allah Se Hum Mohabbat Karte Hai,
*Yahudi Uss Zamane Me Boltey Ke Allah Se Hum Mohabbat Karte Hai ,..
*Isayi Aur Majusi Bhi Boltey Ke Allah Se Hum Mohabbat Karte Hai ,..
Lekin Allah Ne Paimana Bata Diya Ke Allah Ki Mohabbat Kab Aur Kisko Milegi ,..
– Koun Saccha Allah Se Mohabbat Karta Hai ?
»1. Ke Yakinan Wohi Allah Ki Mohabbat Ka Mustahik Banega Jo Uskey Rasool (ﷺ) Ki Itteba Karega ,..
»2. Aur Dusra Fayda Yeh Hoga Ke Allah Uss Bandey Ke Gunaaho Ko Muaf Karega… Aur Allah Tou Muaf Karne Wala Reham Karne Wala Hai ,..
*Lihaja Agar Hum Allah Ki Mohabbat Chahtey Hai Tou RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ke Bagair Chara Nahi Yaad Rakhiye Ab ,..
Allah Hum Par Kab Raham Karega ?
Aaj Hum Allah Ke Reham Ke Mohtaj Hai. Aaj Hum Par Zulmo Sitam Ho Raha Hai , Ab Ye Reham Humpar Kab Hoga ? Iskey Taaluk Se Rabbul Izzat Ne Quraan Me Ailaan Kar Diya Ke:
“Ita-at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki Taaki Tum Par Reham Kiya Jaaye”
Surah Aale Imran: 3:132
Agar Hum Chahtey Hai Ke Allah Hum Par Reham Kare, Uska Karam Humpar Ho Tou Allah Aur Uskey Rasool Ki Ita-at Karni Hogi.
Tou Agar Aaj Hum Reham Ki Bheek Mangtey Hai Allah se aur Agar Humpar Reham Nahi Hota Hai Tou Samajh Jayiye Ke Humne Rasool’Allah (ﷺ) Ka Tareeka Chorr Diya.
Lihaja Hum Agar Chahtey Hai Ke Allah Ki Madad Humey Nasib Ho Tou RasoolAllah (ﷺ) Ke Tareeke Ko Apnana Humare Liye Intehayi Jaruri Hai. Khalis Sunnato Par Amal Karna Humare Liye Behad Jaruri Hai.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey !
To be continued …