RasoolAllah (ﷺ) ki ba’asat ka maksad:
RasoolAllah (ﷺ) ka mu’amla dusre Ambiya (Alaihi Salam) se mukhtaleef hai, kyunki Aapka paigaam aapki ba’asat se lekar Qayamat tak hai. Jabki digar Ambiya (Alaihi Salam) ka paigaam unke Zindagi unki Hayat ek makhsus Wakt tak hua karta tha, Jab tak ke dusra Nabi na aajaye, aur jab dusra Nabi aata tou pahle ki shariyat khatm dusre ki laagu ho jati.
Lekin kyun ke RasoolAllah (ﷺ) aakhri Nabi hai! Insaniyat ki taraf aur tamam Aalam ki taraf bheje gaye, ab aapke baad koi Nabi nahi aaney wala lihaja Aapki ita’at sirf musalmano par hi nahi balki tamam insano par farz aur wajib hai. Aur iski wajahat me Allah Rabbul Izzat ne Quraan me farmaya –
“Aye Rasool! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu.”
Quran: Surah Araf 7:158
Tou RasoolAllah (ﷺ) insaniyat ki taraf mabus kiye gaye aur Insaniyat ka kaam hai ke wo RasoolAllah (ﷺ) ki itteba karey, farmabardari karey aur Aap par imaan laye aur Aap par Allah ki Nazil karda kitab(Quran) par Imaan laye aur Aapke tareeke par chaley.
Tou jab insaniyat ko ye hukm Aa raha hai ke RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at karo tou yaha Musalmano par tou badh-chadhkar ye baat jyada laagu hoti hai kyunki humne imaan ka dawa kiya lihaja humpar ye baat jyada wajib hoti hai.
Sunnat kya hai ?
Ab Sunnat kya hai ye jaan lijiye ke: RasoolAllah (ﷺ) ka Qoul, (Yaani jo Aapne kaha) ,
Aap (ﷺ) ka Fayl (Yaani jo Aapne kiya) ,
Aur Aapki Takreer (Yaani Aapne logon ko karte hue dekha aur khamoshi ikhteyar ki) ,
Aur Aap (ﷺ) ke Akhlaaq-e-Mubarak, Aadab, Ausaaf, Aapki Seerat ye tamam milakar Sunnat-e-Rasool kehlaati hai.
Tou Sunnat! ka Aam Lugat ka matlab hota hai tareeka, lekin Sharayi Istehla me matlab hota hai RasoolAllah (ﷺ) ka tareeka. Lihaja Nabi (ﷺ) ne jo kiya, Nabi ne jo kaha! Ummat ke liye wajib aur Farz hai ke usi amal ko har mu’amle me Zindagi ke har Shobey me ikhtiyar karey.
Tou Nabiyo ke bheje janey ka maksad hai ke unki Iata’at aur farmabardari ki jaye, isliye kyunke Rab ne unhe Munttakhib kiy hai ke hum log unki baat maney.
Aur Rasool’Allah (ﷺ) Kyunki Saare Aalam ke Nabi hai, Saare Aalam ke liye bheje gaye hai aur Rasool’allah (ﷺ) ko Hum tamam ke liye Usma-Tun-Hasna (Misaal/Ideal aur Role Model) banaya gaya hai.
Tou RasoolAllah (ﷺ) ke Ba’asat ka maksad tha ke Hum unki Ita’at kare, Itteba kare aur Aap (ﷺ) ki farmabardari kare jiske talluk se Quraan ne youn farmaya jiska mafhoom hai ke:
Aye Musalmano ! Allah ke Rasool (ﷺ) Tumhare liye behtareen Misal (Ideal Aur Role Model) hai, jo iman rakhta hai Allah par aur youme Aakhirat par aur Allah ko qasrat se yaad karta hai tou aise shakhs ke liye jaruri hai ke Allah ki aur uske Rasool (ﷺ) ki Ita’at kare aur Rasool’Allah (ﷺ) ko Ideal Aur Role Model Maaney.
Mafhoom: Surah Ahzab 33:21
Ab Gour Karte Hai Ke:
– Kya wakay me Aaj hum RasoolAllah (ﷺ) ko Apna Role Model maan rahe hai ?
– Kya wakay me Aapke ita’at ke mutabik humari zindagi guzar rahi hai ?
– Kya wakay me humari zindagi ke tamam shobo me RasoolAllah (ﷺ) ka tareeka chalkata hai?
* Agar “ha”! tou fir muamla bohot accha hai aur agar “Naa” tou fir mumle me jabardast bigad hai, usko badalne ki jarurat hai hume ab.
To be Continued…