Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-14

Qayamat ki Nishaniyan Series Part14

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-14

74. Aman o Amaan ka Sunehra dour hoga

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaa:
“Isa bin Maryam A.S hakim aur aadil ban kar nazil hongey, Saleeb tod dalenge, khanzeer ko qatal karenge, sulah lota denge, talwaren darantian hongi, har zaher alooda cheez ka zaher khatam ho jayega, aasman apna rizq utarega, zameen apni nabataat ugayegi hatta ke baccha azdahey se khailega magar wo bacchey ko nuqsan nahi dega, bhediya bakrion ke sath charenge magar inhe nuqsan nahi denge aur sher gaye ke sath charega magar isey nuqsan nahi pohanchayega.”

📕 Masnad Ahmad 638/2, Sunan ibne maja 4129, Sunan tirmizi 2233

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya: “is (Hazrat Isa A.S) ke dour mein Allah Ta’ala maseeh Dajjal ko halak farmayenga aur zameen par aman o amaan ka dor dora hoga hatta ke Uoont aur sher, cheetey aur gaayian, bhediye aur bakriyan sab ek sath charenge aur bacchay saanpon se ke sath khailenge magar koi kisi ko nuqsan nahi pohanchayega.”

📕 Masnad Ahmad 576/2

۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umar (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“phir Allah Ta’ala Isa ibne Maryam A.S ko nazil farma denge goya ke wo urwa bin Masood hai wo dajjal ko dundh kar qatal kerenge phir log 7 saal tak zamen par (zinda) rahenge aur 2 bandon ke darmayan bhi adawat nahi hogi.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2940

۞ Hadees: Hazrat Abu saeed (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri ummat ke aakhri (dour) mein Mehdi R.H kharij hoga. Allah Ta’ala isey barish se sairabi ata farmayega, Zameen apne nabataat ugayenge, wo maal ko Sahih Sahih taqseem karega, Muwaishi bakasrat hongey, Ummat azmeen ho jayegi aur wo 7 ya 8 saal tak zinda raheyga.”

📕 Mustadrak hakim Kitab ul Fitan 557/4, Silsala al saheeha 236/2

۞ Hadees: Hazrat Abu saeed (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Qayamat qayem nahi hogi hatta ke Roo-e-Zameen Zulm o na insafi se bhar jayegi phir meri nasal se ek aadmi zahir hoga jo Zameen ko isi tarah adal o insaf se munawar kar dega jis tarah yeh zulm o jor se tareek ho gayi thi.”

📕 Abu Dawood 2485, Sunan tirmizi 2232, Sunan ibne maja 4134

Note: Imam Mehdi (R.H) ke Zahoor se pehle roo-e-zameen zulm o udwaan se tareek hogi phir Allah Ta’ala isey Imam Mehdi R.H. jaisey Aadil hakim ke sath adal o insaf aur aman o amaan se munawar farma denge.

1. Imam Mehdi, Dajjal akbar aur Hazrat Isa A.S. ka dour mushtarik hai. Imam Mehdi R.H aur Hazrat Isa A.S. mil kar dajjal aur is ke lashker ka muqabla karenge aur inhe teh taigh kar denge.

2. Imam Mehdi R.H ka dour sunehra aur khushhaali wala hoga.

3. Is dour mein koi janwar doosre ko nuqsan nahi pohanchayega. insan janwaron se khelenge lekin wo inhe nuqsan nahi pohanchayenge. kyon ke Allah in ka zaher khinch lega.

4. Mazkora Aahadees hiss o aqal ke khilaf bhi nahi kyon ke humare mushahdey mein hai ke paalto kutta ahle khana ko nahi katta khuwah wo kitna hee mozi aur zahreela kyon na ho. palto billi ghar ke cheezon par hamla awar nahi hoti balkay yeh janwar ghrailo ashya ke muhafiz ban jaatey hai lihaza jab juzvi tour par humare samne aisi misalein mojod hai tou Qayamat ke qareeb aisi alamaat ke zahoor se inkar nahi kia ja sakta.

5. Qayamat ki mazkora nishani tahaal zahir nahi hoi aur is ke zahoor ka khatmi ilm sirf Allah Ta’ala ke paas hai. albata Aahadees ke mutabiq aur dajjal aur is ke lashker ke khatmey ke baad ek sunehra dour doura hoga.


75. Mashriq, Maghrib aur jazeera tul Arab mein zameen ka phatna

۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) humarey paas tashreef laye aur hum muzakra kar rahey they. Aap (ﷺ) ne farmaya: kya guftugu kar rahe ho? logon ne kaha ke hum Qayamat ke baarey mein guftugu kar rahe hain. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Qayamat hargiz qayem nahi hogi hatta ke tum is se pehle 10 nishanian na dekh lo tou Aap (ﷺ) (inhe) Shumar kia, Dhuwan, Dajjal….. aur 3 khasaf (Zameen mein logon ka dhansaya jana) ek khasaf mashriq mein ek maghrib mein aur ek jazeera arab mein.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2901

۞ Hadees: Hazrat Umme Salma (R.A) farmati hai ke mein ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suna ke
“Mere baad Mashriq, Maghrib aur Jazeera Arab (3 jaga) me khasaf hoga. main ne kaha ya Rasool Allah (ﷺ) kya hume zameen mein dhansaya jayega jab ke humare darmayan neik log bhi hongey? Aap (ﷺ) ne farmaya (haan) jab Ahle zameen khabasat mein badh jayengi.”

📕 Majma al zawaid 11/8

۞ Hadees: Hazrat  Baqeera Qa’qaa (R.A) ki biwi farmati hai ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) se suna jabkey Aap (ﷺ) mimber par bayan farma rahey they. jab tum ek lashkar ke baarey mein suno jisey kaheen qareeb hi zameen mein dhansa diya gaya hai tou (yaad rakho ke) Qayamat aya chahti hai.”

📕 Masnad Ahmad 325/6, Masnad hameedi 170/1, Silsala al saheeha 340/3

۞ Hadees: Hazrat Umme salma (R.A) farmati hai ke mein ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suna aap (ﷺ) farmatey thay ke ek aadmi baitullah mein panah leyga jis ki taraf ek lashker paishqadmi kare ga aur jab wo (Madina ke qareeb) baidaa ke muqam par aayega tou zameen mein dhansa dia jaye ga. mein ne kaha aye Allah ke Rasool (ﷺ) is bandey ka kya hukam hai jo (is khurooj ko) na pasand karta tha? Aap (ﷺ) ne farmaya ke “isey bhi lashkar ke sath dhansa dia jayega lekin Roz-e-Qayamat wo apni niyat ke mutabiq uthaya jayega.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2882

Note: Mashriq, Maghrib aur Jazeera tul Arab 3 muqamaat par Zameen ka phatna aur logon ka Azab mein mubtala ho kar zameen doz hona Qayamat ki badi badi nishanion mein se ek hai.

Qayamat ki mazkura Nishani tahaal zahir nahi hui lekin Zameen mein logon ke dhansaye janey ke kai ek waqyaat juzvi taur par kai martaba ronuma hotey rahey hain.

۞ Hafiz Ibne Hajar R.H farmatey hai ke “khasaf kai muqamat par paya gaya hai lekin mazkura 3 muqamaat ka khasaf is ke ilawa hai aur mumkin hai ke yeh sabqa khusoof se bada aur zabardast ho.

📕 Fatah Al Bari 84/13

Allah Ta’ala hume apne har tarah ke azab se mehfoz rakhey. aameen


76. Har taraf dhuwan chaa jayega

۞ Irshad e Bari Ta’ala hai: “Tou is din ka intzar karo ke aasman se sareeh dhuwan niklega. jo logon par chaa jayega. yeh dard deney wala azab hai.”

📕 Surah Dukhan 10,11

۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne jab kuffaar quresh ki sarkashi dekhi tou Aap (ﷺ) ne bad dua ki, ya Allah 7 baras ka qahat in par bhejh jaisey Yusuf ke waqt mein bhejha tha chunache aisa qahat pada ke har cheez tabah ho gai aur logon ne chamdey aur murdar tak kha liye. bhook ki shidat ka yeh alam tha ke aasman ki taraf nazar uthai jati tou dhuwain ki tarah maloom hota tha aakhir majboor ho kar Abu Sufyan Hazir khidmat huwey aur arz kiya aye Muhammad (ﷺ) Aap logon ko Allah ki itaat aur Silarehmi ka hukam detey hain. Ab tou Aap hee ki Qoam halakat se dochar hai, is liye Aap Allah se in ke haq mein dua kijiye.”

Allah Ta’ala ne farmaya ke: “is din ka intzar karo jab aasman saaf dhuwan nazar aayega… neez jab hum sakhti se inki giraft karenge.”

Sakhat giraft badar ki ladai mein huye. dhuwain ka muamla bhi ghuzar chuka (jab sakhat qahat pada tha) jis mein pakad aur qaid ka ziker hai ya surah room ki aayat mein jo zikar hai wo sab ho chuka hai.

📕 Sahih Bukhari; Kitab al Istasqa 1007

۞ Masrooq R.H (tabee) farmatey hai ke ek aadmi ne qabeela kunda mein wa’az bayan kerte huwey kaha ke Qayamat ke din ek dhuwan utheyga jis se munafiqon ke kaan, aankh bilkul bekar ho jayenge lekin momin par is ka asar sifr zukam jaisa hoga. hum is ki baat se bohat ghabra gaye phir main Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) ki khidmat mein hazir huwa (aur inhe in sahib ki yeh baat sunai) wo is waqt taik lagaye bathey they isey sun kar ghussey mein aa gaye aur seedhey baith kar farmaney lagae agar kisi ko kisi baat ka khatmi ilm hai tou phir isey bayan karna chahiye lekin agar ilm nahi hai tou keh dena chahiye ke Allah ziada janney wala hai, yeh bhi ilm hi hai ke aadmi apni la ilmi ka iqrar kar ley aur saaf keh dey ke main nahi janta. Allah Ta’ala ne Apne Nabi (ﷺ) se farmaya tha ke “Aap keh dein ke Main apni Dawat o Tableegh par tum se koi ujrat nahi chahta aur na main takaluf (banawat) karta hoon.”

Darasal waqia yeh hai ke quresh kisi tarah islam nahi laatey they is liye Aahazrat  (ﷺ) ne in ke haq mein bad dua ki ke aye Allah in par Yusuf A.S ke Zamaney jaisa qahat bhejh kar meri madad kar phir aisa qahat pada ke log tabah ho gaye aur murdar aur hadian khaney lagey, koi agar faza mein dekhta tou (faqa ki waja se) isey dhuwan sa dikhayi deta phir Abu Sufyan aaye aur kaha ke aye Muhammad (ﷺ) Aap hume Sila Rehmi ka hukam detey hai lekin Aap ki qoam tabah ho rahi hai, Allah se dua kijiye (ke in ki yeh museebat door ho) is par Aahazrat  (ﷺ) ne yeh aayat perhi: “is din ka intezar karo jab aasman zahir duwan layega.”

Ibne Masood (R.A) farmatey hai ke qahat ka yeh azab Hazoor (ﷺ) ki dua se khatam ho gaya.

📕 Sahih Bukhari; Kitab ul tafseer 4774

۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Qayamat hargiz qayem nahi hogi hatta ke tum is se pehle 10 Nishanian na dekh lo phir Aap ne (inhe) zikr kiya. (in mein se ek yeh hai k) Dhuwan (Zahir hoga).

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2901

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “jab 3 alamaat zahir ho jayengi tou phir kisi nafs ko is ka iman lana faidamand na hoga ke jo pelhe iman nahi laya tha ya is ne apne iman mein koi neki hasil nahi ki. “Suraj ka maghrib se taloo hona, Duwan (nikalna) aur zameen ke janwar (ka nikalna).”

📕 Masnad Ahmad 5882, Sunan Tirmizi 3072, Ibne abi Sayba 669/8

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “6 cheezon se pehle neik amal kar lo. dajjal
duwan (kharij hone se pehle)……”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2947


77. Sooraj maghrib se taloo hoga

۞ Irshad bari Ta’ala hai: “kya yeh log sirf is amar ke muntazir hai ke in ke pas farishtey aayen ya in ke paas Aap ka Rab aye ya aapke Rab ki koi (badi) nishani Aaye? jis Roz Aap ke Rab ki koi badi nishani aa pohanchegi tou kisi aise shakhs ka iman is ke kaam na aayega jo pehle iman nahi rakhta ya is ne apne iman mein koi nek amal na kiya ho. Aap farma dein ke tum muntazir raho hum bhi muntazir hain.”

📕 Surah al Anaam 158

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: ‘Qayamat qayem nahi hogi yahan tak ke Suraj (Mashriq ki bajaye) Maghrib se taloo hoga pas jab aisa hoga aur log isey maghrib se taloo hota dekhenge tou sab iman ley aayenge phir Nabi (ﷺ) ne yeh aayat tilawat farmayi: “Yani is waqt iman lana kisi ko nafa nahi day ga jo is se qabal iman na laya hoga.”

📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Tafseer Surah Anaam 4636

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “6 alamaat se pehle neik amaal ki taraf jaldi karo: Suraj ka maghrib se taloo hona.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2947

۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin umro (R.A) se marvi hai ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) se hadees suni jisey maine aaj tak yaad rakha. Aap (ﷺ) farmatey they ke alamat (qayamat) me sab se pehle Suraj Maghrib se taloo hoga phir bawaqt chasht ek janwar logon ki taraf aayega. in dono (badi) alamton me se jo bhi pehle ronuma hoye doosri is ke fouri baad waqia hogi.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2941

۞ Hadees: Hazrat Abu Zar ghafari (R.A) farmatey hai ke Suraj ghuroob howa tou Nabi Kareem (ﷺ) ne in se pucha ke tumhe Ilm hai ke yeh Suraj kahan jata hai? Main ne arz kiya ke Allah aur iske Rasool (ﷺ) ko hi ilm hai. Aap (ﷺ) ne farmaya ke “yeh Arsh ke neeche pohanch kar pehle sajda karta hai phir (dubara aaney ki) ijazat chahta hai aur isey ijazat di jati hai aur wo din bhi qareeb hai jab yeh sajda karega tou is ka sajda qabool na hoga aur ijazat chahega lekin ijazat na milegi balkey iasey kaha jayega ke jahan se aaya hai waheen wapis chala ja chunache is din maghrib hi se nikleyga is aayat: “Aur Suraj apne muqarar raastey par chalta rehta hai yeh ghalib aur dana ka muqarar kia huwa andaza hai.” Surah Yaseen 38 Main isi taraf he ishara hai.

📕 Sahih Bukhari; Kitab bada al khalq 3199

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Jis shakhs ne suraj ke maghrib se taloo hone se qabal touba kar li tou Allah Ta’ala is ki touba qabool farma lega.”

📕 Sahih Muslim; Kitab al Ziker wa Dua 1292

۞ Hadees: Hazrat Muawiya (R.A) ne irshad farmaya: “Hijrat is waqt tak jari rahegi jab tak touba ka darwaza khula hai aur touba is waqt tak qabool hoti rahegi jab tak ke Suraj, Maghrib se tuloo na ho jaye.”

📕 Masnad Ahmad 138/4
📕 Abu Dawood; Kitab ul Jihad 2479
📕 Al Maujam al Kabeer 378/19

۞ Hadees: Hazrat Abu musa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Allah Ta’ala raat ko apne hath kushada karta hai ta ke din ka gunahgar touba kar le aur Allah Ta’ala din ko waqt hath khula rakhta hai taa ke raat ka gunahgar touba kar ley (aur yeh amal mutwatar jaari rehta hai) hatta ke suraj maghrib se taloo ho jaye.

📕 Sahih Muslim; Kitab ul toba 2759

۞ Hadees: Hazrat Safwaan bin Asaal (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah azza wa jal ne maghrib ki taraf ek darwaza bana rakha hai jis ki choraai 70 Saal (ki musafat) ke barabar hai. yeh touba ka darwaza (baab al toba) hai jo band nahi kiya jayga hatta ke suraj maghrib se taloo ho jaye phir Aap (ﷺ) ne yeh Aayat tilawat farmayi: is waqt kisi nafs ko is ka iman qabool karna nafa-mand nahi hoga ke jis ne pehle iman qabool nahi kia tha.”

📕 Sunan Tirmizi; Kitab al Dawaat 3535
📕 Masnad Ahmad 328/2, Ibne Maja 4121

۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat hargiz qayem nahi hogi hatta ke tum is se pehle 10 nishanian dekhoge. Suraj ka Maghrib se taloo hona.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2901

Note: Suraj ka maghrib se talooo hona Qayamat ki ek badi nishani hai. 

  • Suraj ke maghrib se taloo hone ki nishani dekh kar tamaam ahle zameen Allah Ta’ala par iman le aayenge magar in ka iman qabool nahi kiya jayega illa ke jo koi is nishani se pehle iman ley aaya ho isey is ka iman faida dega.
  • Mazkora nishani tahaal zahir nahi hui.
  • Allah Ta’ala ne apni kamal Rehmat ka muzahra karte huwey touba ka darwaza khula rakha hai hatta ke koi shakhs jitna bhi kuffar o Isyaan mein dooba ho agar saans band honey (maut ke aakhri lamhaat) se pehle aur Suraj ke maghrib se taloo hone se qabal Allah ke hazoor sacchi touba kar ley tou Allah Ta’ala yuk-janbish is ke tamaam sabqa sagheera o kabeera gunahon ko muaaf kar ke isey jannat mein dakhla ata farma denga.
  • Suraj ke Maghrib se taloo hone ke baad touba ka darwaza band ho jayega aur phir ta Qayamat isey khola nahi jayega.
  • Dunia mein kisi jagah Suraj ghuroob hota hai tou doosri jaga taloo ho raha hota hai lekin is doraniye mein Suraj bila nagha Allah Ta’ala ko sajda karta hai aur dubara taloo hone ki ijazat talab karta hai. Suraj ko har roz ijazat mil jati hai lekin Qayamat ke qareeb Suraj ko mashriq se taloo hone ki ijazat nahi milegi balkey isey maghrib ki taraf wapis gardish ka hukam hoga chunachey Suraj maghrib se wapis taloo hoga.
  • Suraj ke sajda raiz hone aur dubara taloo hone ki ijazat talab karne ko baaz log khilaf-e-aqal samajhtey huwey radd kia hai halankey aisa iqdam insan ke iman ko kufr se badal deta hai lihaza Allah Ta’ala ki qudrat kamla par iman rakhte huwey is ghaibi aur mawara al tabiyaat (metaphysics) umoor par iman rakhna chahiye.

78. Daaba tul arz

۞ Irshad e Bari Ta’ala hai: “Aur jab in ke baarey mein (azab) ka wada pura hoga tou hum zameen mein se in ke liye ek janwar nikalenge jo in se baatein karega. (yeh) is liye ke log humare aayaton par iman nahi laatey they.”

📕 Suran Namal 82

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Jab 3 alamaat (qayamat) zahir ho jayengi tou phir kisi aisey shakhs ko is ka iman lana faida nahi dega jo pehle iman nahi laya tha ya is ne apne iman mein koi naiki ka kaam nahi kiya tha. Suraj ka maghrib se taloo hona, dajjal aur zameen se janwar ka nikalna.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul iman 249

۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat hargiz qayem nahi hogi yahan tak ke tum is se pehle 10 nishanian na dekh lo phir Aap ne (inhe) shumar kiia, Eik janwar niklega………..”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2901

۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) se marvi hai ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) se ek hadees suni jo aaj tak muje azbar hai. Aap (ﷺ) ne farmaya: ke alamaat (qayamat) mein sab se pehle Suraj Maghrib se taloo hoga phir bawaqt chasht ek janwar niklega. in dono (nishanion) me se jo bhi pehle zahir hoye, doosri is ke bilkul fouri baad ronuma ho jayegi.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2941

۞ Hadees: Hazrat Abu Amama (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Janwar (daabba) niklega jo logon ki peshanion par nishaan lagayega aur wo (nishan zada log) bakasrat ho jayenge hatta ke ek aadmi oont khareedeyga tou wo puchega ke kis se yeh khareeda hai? wo jawab dega ke main ne yeh (oont) kisi nishan zada se khareeda hai.”

📕 Masnad Ahmad 332/5, Silsala al Saheeha 639/1
📕 Majma al Zawaid; Kitab ul Fitan 12573

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“6 cheezon se pehle amaal (saleh) me sabqat karo. ……… janwar nikalne se pehle.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2947

Note: Qabal az Qayamat ek janwar niklega jo logon se baatien karega. yeh Qayamat ki aakhri badi nishanion mein se hai. 

  • Yeh ek bohat bada chopaya hoga. is ki shakal o soorat wagaira Quran o Sunnat mein mazkoor nahi lihaza is ke baarey mein bahes karna beyma’ani hai.
  • Touba ka darwaza band ho jaaney ke baad Allah Ta’ala is janwar ko zahir kareinge jo logon mein tameez o tafreeq karte huway logon ki pashanion par Musalman ya kafir ki muhar lagayega.
  • Ya Allah hume iman par zinda rakh aur Iman par maut dey. aameen

79. Har Momin Bande ki rooh qabaz kar li jayegi

۞ Hadees: Hazrat Nawas bin sam’aan (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“……. phir Allah ke Nabi Hazrat Isa A.S. aur in ke sathi Allah Ta’ala se dua karenge tou Allah Ta’ala in ki gardano mein keedey paida kar ke inhe aan wahid mein ek nafs ki maut ki tarah halak kar denge phir Allah ke Nabi Hazrat Isa A.S. aur in ke sathi zameen par utrenge magar zameen mein har jaga in ki saraand aur badboo phaili hogi.

phir Hazrat Isa A.S. aur in ke sathi Allah Ta’ala se dua karenge tu Allah Ta’ala bakhti Unton ki gardan ke barabar (chiryon jaisay) parindey bhejenge jo inhe wahan se le ja phankenge jahan Allah ka hukam hoga phir Allah Ta’ala barish barsayenge jo har matti aur khaimey wale ghar me pohanchege aur is ke zariye Allah Ta’ala zameen ko is tarah paak saaf kar denge jis tarah koi houz ya bagh (ya khubsurat Aurat) ho.

phir Zameen ko hukam hoga ke apne phal uga, barkatein nikal, is din ek anar puri jamat khaa sakegi aur is ke chilkey se wo saya hasil karenge. ek gabhan untni ki doodh kai jamaton ke liye kaafi hoga, hamla gaay ka doodh ek qabeelay ko kifayat karega aur bakri ka doodh ek khandan ko kafi hoga.

log is haal mein hongey ke achanak Allah Ta’ala ek hawa bejhega jo in ki baghlon ke neeche se asar karti huwe guzregi aur har momin o muslim ko faut kar degi phir sirf badtareen log baaki reh jayenge jo gadhon ki tarah baham jhagrenge (ya badkarian karenge) aur inhi per Qayamat qayem hogi.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
📕 Masnad Ahmad 248/4, Sunan Abu Dawood 4321

۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin umer (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“phir Allah Ta’ala Isa Ibne Maryam A.S. ko nazil farma denge goya ke wo Urwa bin Masood (R.A) (Sahabi) hai aur wo Dajjal ko dundh kar qatal karenge phir log 7 saal tak zinda rahenge hatta ke 2 shakhson ke darmayan bhi adawat nahi hogi phir Allah Ta’ala shaam ki taraf se ek thandi hawa bhejhenga jo har is aadmi ki rooh qabaz kar legi jis ke dil mein raai barabar bhi khair ya iman hoga aur agar koi shakhs kisi pahaad ki surang mein bhi ghus jayega tou yeh hawa wahan pohanch kar is ki rooh qabaz kar legi.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2940

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Beshak Allah Ta’ala yaman ki taraf se ek hawa bejhenge jo resham se ziada naram o malayem hogi aur kisi aise banday ko foat kiye bagair na choray ge jis ke dil mein rayi barabar bhi iman hoga.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul Iman 117

۞ Hadees: Hazrat Ayaash bin Abi Rabia (R.A) se mairvi hai ke maine Nabi Kareem (ﷺ) se suna Aap (ﷺ) ne irshad Farmaya: “Qayamat ke qareeb ek hawa chalegi jis mein har momin ki rooh qabaz kar li jayegi.”

📕 Hakim; Kitab ul Fitan 8503
📕 Masnad Ahmad 538/3

۞ Hadees: Hazrat Abdullah (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“……. phir Allah Ta’ala ek hawa bhejheinge jis ki khushbo kastoori jaisi aur latafat resham jaisi hogi jo har is shakhs ko faut kar legi jis ke dil mein raayii barabar bhi iman hoga.”

📕 Sahih Muslim; Kitab ul imara 1924

Fir Maidaine Hashr Qayam hoga.


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *