Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-13
73. Yajooj o Majooj
1. Yajooj o Majooj Quran majeed ki roshni mein
Irshad e Bari Ta’ala hai:
“Phir is (Zulqurnain) ne ek aur (Safar ka) samaan kiya. yahan tak ke 2 deewaron ke darmiyan pohancha tou dekha ke in ke is taraf kuch log hai jo baat ko samajh nahi sakte. in logon ne kaha Zulqurnain! Yajooj aur Majooj zameen mein fasad karte rehte hai bhala hum aap ke liye kharch (ka intzam) kar dein ke aap humare aur in ke darmiyan ek deewar khainch dein. Zulqurnain ne kaha ke kharch ka jo maqdoor Allah ne mujhe bakhsha hai wo bohat accha hai. tum mujhe quwwat (bazzo) se madad do. main tumhare aur in ke darmayan ek mazboot oat bana doonga.”
tou tum lohey ke (badey badey) takhtey laao (chunache kaam jaari kar dia gaya) yahan tak ke jab is ne dono pahadon ke darmayan (ka hissa) barabar kar dia. aur kaha ke (ab isey) dhonko. yahan tak ke jab is ko (dhonk dhonk) kar aag kar dia tou kaha ke (ab) mere paas tanba lao is par pighla kar daal don.
phir in me yeh qudrat na rahi ke is per charh sakien aur na yeh taqat rahi ke is mein naqab laga sakien.
bola ke yeh mere parwardigar ki meharbani hai. jab mere parwardigar ka wada aa pohancheyga tou is ko (dhaa kar) hamwar kar dega aur mere parwardigar ka wada saccha hai.
(iss roz) hum in ko chorr denge ke (roo-e-zameen par phail kar) ek doosre mein ghuss jayenge aur soor phonka jayega tou hum sab ko jama kar leingey.”
Yahan tak ke Yajooj Majooj khol diye jayen aur wo har bulandi se doud rahe hon.
“Aur (Qayamat ka) saccha wada qareeb aa jaye tou nagahan kafiron ki ankhein khuli ki khuli reh jayen (aur kehne lagien ke) haaye shamat hum is (haal) se ghaflat me rahey balkey (apne haq me) zalim they.”
2. Yajooj Majooj Aahadees ki roshni mein
۞ Hadees: Hazrat Zainab bint Jahash (R.A) farmati hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ek roz ghabraye howay in ke pas dakhil howey, Aap (ﷺ) farma rahay thay:
“Tabaahi hai arbon ke liye is burai se jo qareb aa chuki hey, aaj Yajooj Majooj ki deewar se itna khul gya hai Aap (ﷺ) ne apne angothay aur sath wali ungli se ek halqa bana lia. yeh sun kar Hazrat zainab (R.A) ne pucha: aye Allah ke Rasool (ﷺ)! tou kya hum halak ho jayengey jabkey humare darmiyan neik saleh log hongey? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Jab khabasat hadd se tajawuz kar jayegi.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7135
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se mairvi hai ke ek din hum Qayamat ke baarey mein guftugu kar rahey they ke Nabi Kareem (ﷺ) tashreef laaye aur pucha: Kya guftugu chal rahi hai? logon ne kaha: Qayamat ke baarey mein muzakra kar rahe hain. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Qayamat hargiz qayem nahi hogi hatta ke tum 10 nishanian dekh lo tou (in mein se ek) Yajooj Majooj ka zikr kiya.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2901
3. Yajooj Majooj ki masroofiyat
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Bilashuba Yajooj Majooj (Zulqurnain badshah ki tameer karda) deewar ko khodtey hai hatta ke wo suraj ki shua’a (deewar tod kar) dekhne ke qabil ho jaatey hai tou in ka nigran kehta hai wapis chalo baki kal khodengey tou (kal tak) wo deewar pehle se bhi mazboot ho chuki hoti hai (aur yeh silsala roz jaari rehta hai) yahan tak ke jab in ke khurooj ki muddat puri ho jayegi aur Allah Ta’ala inhe chorney ka irada kar lega tou phir wo ek din isey intahai aakhir tak khod chukey hongey.
Tou in ka nigraan kahega chalo baaki kal khodengey insha Allah (agar Allah ne chaha is se pehle wo insha Allah nahi kahengey) kal jab wo aayengey tou deewar isi tarah hogi jis tarah khodi huye wo chor kar gaye they.
phir wo isey khod ksr logon psr nikal aayengey, saara paani pee jayengey, log qala band ho jayenge tou Yajooj Majooj aasman ki taraf apne teer phankenge jinhe Allah Ta’ala khoon aalooda halat mein neechey girayega tou wo kahenge ke hum aasman aur zameen walon (sab par) ghalib aa gaye hain.
Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya: is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai zameen ke janwar in ka khoon aur gosht kha kar khoob motey taazey ho jayenge.”
📕 Masnad Ahmad 510/2
📕 Sunan Tirmizi; Kitab ul Tafseer 3153
📕 Sunan Ibne Maja 4131
4. Yajooj Majooj ka Khurooj
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“(taweel hadees)……… (yaani jab wo Dajjal aur is ke lashkar ke qala qama se farigh hi huwey hongey) ke Main(Allah) apne aisey bandey nikalney wala hoon ke jin ka muqabla koi nahi kar sakta lihaza aap mere (musalman) bandon ko koh-e-toor par le jayen aur Allah Ta’ala Yajooj Majooj ko nikal denge jo har ghati se dodtey huwey aayengey.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
5. Yajooj Majooj ka fitna fasaad
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ)) ne irshad farmaya:
“Phir wo deewar tod kar logon par nikal aayengey, saara paani pee jayenge, log qala band ho jayenge tou wo (Yajooj Majooj) apne teer aasman ki taraf phainkenge jinhe Allah Ta’ala khoon laga kar neeche phankenga tou wo kahenge ke hum ne aasman walon par bhi ghalba pa lia hai jis tarah hum ahle zameen par ghalib hain.”
📕 Masnad Ahmad 510/2
📕 Sunan Tirmizi Kitab ul Tafseer 3153
📕 Sunan Ibne Majah 4131
۞ Hadees: Hazrat Nawas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“……. phir Allah Ta’ala Yajooj Majooj ko nikal denge aur wo har teeley se baghtey huwey aayengey in ke agley afrad Baheera Tibriya se guzrengey tou is ka saara pani pee jayengey aur in ke aakhri afrad jab wahan se guzrenge tou kahengey ke kabhi yahan pani huwa karta tha aur Hazrat Isa A.S aur in ke sathi mahsoor ho kar reh jayengey hatta ke bail ka sir tumhare mojoda 100 deenar se ziada qeemti ho jayega.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
📕 Masnad Ahmad 248/4
📕 Sunan Abu Dawood 4321
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“…….phir Yajooj Majooj niklienge aur har teelay se doudtey huwey aayengey wo in (logon) ke shahar ko rond dalienge. har cheez ko tabah o barbad kar denge, jis pani (samandar ya darya) se guzrenge isey pee jayengey. phir log mere (Isa A.S) ke paas shikayat lekar asyenge tou main Allah Ta’ala se Yajooj Majooj ke liye baddua karunga aur Allah Ta’ala in sab ko halak kar dalienga.”
📕 Masnad Ahmad 469/1
📕 Sunan Ibne Majah; Kitab ul Fitan 4132
📕 Hakim 534/4
6. Deewaar e Zulqurnain me Suraakh
۞ Hadees: Hazrat Zainab bint Jahash (R.A) farmati hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Arbon ke liye is Sharr se tabahi hai jo qareeb aa chuka hai. Aaj Yajooj Majooj ki deewaar mein itna surakh ho chuka hai Aap (ﷺ) ne apne angoothey aur angasht shahadat ko mila kar ishara kiya.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Ambiya 7135
Ek riwayat mein hai ke:
“Yajooj Majooj ki diwaar mein ek dirham barabar surakh ho chuka hai.”
📕 Masnad Ahmad 478/6
7. Yajooj Majooj ki Shakal o Soorat
۞ Hadees: Hazrat Umme Habeeba (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasoo (ﷺ) ne farmaya:
“Tum log kehtey ho ke dushman baaki nahi rahey halankey tum humesha dushmano se qital karte rahogey hatta ke Yajooj Majooj nikal aayenge jin ke chehrey chorey hongey, aankhein choti hongi, surkhi mayel sir ke baal hongey, har teelay se dodtey huwey aayenge goya in ke chehrey teh ba teh (kooti huye) dhaal ki tarah chaptey hongey.”
📕 Majma al Zawaid; Kitab ul Fitan 12570
📕 Masnad Ahmad 341/5
8. Yajooj Majooj ki Kasrat
۞ Hadees: Hazrat Abu saeed khudri (R.A) ne bayan kia ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya ke:
“Allah Ta’ala (Qayamat ke din) farmayega, Aye Aadam! Adam A.S arz kahenge main itaat ke liye hazir, must’adi hoon, saari bhalaiyan sirf tere hee hath mein hain. Allah Ta’ala farmayega, jahannum me jaaney walon ko (logon mein se alag) nikal lo.
Hazrat Aadam A.S arz karenge, Aye Allah! jahanmion ki tadaad kitni hai?
Allah Ta’ala farmayega ke har ek hazar mein se 999. is waqt (ki holnaki aur wahshat se) bacchey boodhey ho jayenge aur har hamla Aurat apna hamal gira degi is waqt tum (khauf o dahshat se) logon ko madhoshi ke aalam mein dekhoge halankey wo behosh na hongey. Lekin Allah ka azab bada hee sakht hoga.
Sahaba (R.A) ne arz kia ya Rasool Allah (ﷺ) wo ek shakhs hum mein se koun hoga?
Hazoor (ﷺ) ne farmaya ke tumhe basharat ho wo ek aadmi tum mein se hoga aur ek hazar dozakhi Yajooj Majooj ki qoam se hongey phir Hazoor (ﷺ) ne farmaya:
“is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai, mujhe umeed hai ke tum (ummat-e-muslimah) tamam jannat walon ke 1/4 hongey.
phir hum ne Allah hu akbar kaha tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke: mujhe Umeed hai ke tum tamam jannat waalon ke 1/3 hongey.
phir hum ne Allah hu akbar kaha. phir Aap (ﷺ) ne farmaya ke mujhe umeed hai ke tum Jannat walon ke aadhey hongey.
phir hum ne Allah hu akbar kaha tou Aap (ﷺ) ne farmaya: ke (mehshar mein) tum log tamam insano ke muqabley mein itney hongey jitney kisi safaid bail ke jism par ek sayah baal, ya jitney kisi sayah bail ke jism par ek Safaid baal hota hai.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Ambiya 3348
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Iman 379
📕 Hakim 82/4
9. Yajooj Majooj ki Halakat (Mout)
۞ Hadees: Hazrat Nawas bin Sam’aan se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“….. phir Allah ke Nabi Hazrat Isa A.S aur in ke sathi Allah Ta’ala se dua karenge tou Allah Ta’ala in ki gardano mein keedey paida kar ke inhe aan wahid mein ek nafs ki maut ki tarah halak kar dega phir Allah ke Nabi Hazrat Isa A.S aur in ke sathi zameen par utiengey magar zameen mein har jaga in ki sraand aur badboo phaili hogi.
Phir Hazrat Isa A.S aur in ke sathi Allah Ta’ala se dua karenge tou Allah Ta’ala bakhti Unton ki gardan barabar (chidiyon jaisey) parindey bejhienga jo inhe wahan leja phenkenge jahan Allah ka hukam hoga.
Phir Allah Ta’ala barish barsayengey jo har matti aur khaimey waley ghar mein pohancheygi aur is ke zariye Allah Ta’ala zameen ko is tarah paak saaaf kar dega jis tarah koi houz ya bagh (ya khoobsurat Aurat) ho.
Phir zameen ko hukam hoga ke apne phal uga, barkatien nikal, is din ek anaar puri jamat khaa sakeygi aur is ke chilkey se wo saya hasil karenge. ek ghaban Untni ka doodh kai jamaton ke liye kaafi hoga, hamla gaye ka doodh ek qabeeley ko kifayat karega, aur bakri ka doodh ek khandan ko kafi hoga.
log is haal mein hongey ke achanak Allah Ta’ala ek hawa bejhega jo in ki baghlon ke neechey se asar karti huye guzreygi aur har momin o muslim ko faut kar dega phir sirf badtareen log baaki reh jayengi jo gadhon ki tarah baham jhagrenge (ya badkarian karenge) aur inhi par Qayamat qayem hogi.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2937
📕 Masnad Ahmad 248/4
📕 Sunan Abu Dawood 4321
10. Yajooj Majooj ke Baare me kuch Aham Baatein
Note: Yajooj Majooj Noo e Insan aur Hazrat Adam A.S ki Aulad se hain. insan se mawara koi aur mehlooq nahi.
1. Yajooj Majooj Zulqarnain badshah (539 b.c) ke dour se leker aaj tak kurra arzi par mojood rahi hai aur qabal az Qayamat bahukam ilahi logon par khurooj karenge.
2. Yajooj Majooj Roz e Awal se fisadi rahey hai aur bowaqt khurooj yeh Ahle Dunia par Fitna o Fasad barpa kar dengey goya fitna fasad in ki ghutti mein para huwa hai.
3. Yajooj Majooj jin pahadon ke peeche hai in ke aagey Zulqurnain ne lohey aur tanbey se band bandha huwa hai.
4. Yajooj Majooj bila nagha is deewar ki khudai me masrof hai aur her shaam isay bilkul giranay ke qareeb kar ke chor atay hai magar bahukam ilahi wo dewar her subah pehle se ziada mazboot ho jati hai. lekin Qayamat se pehle jab on ke khurooj ka waqt aye ga tu wo dewaaron ke insha Allah kehne ki waja se waise ki waisi rahegi jaisi wo chor ke gaye hongey.
5. Nabi (ﷺ) ke zamanay mein Unho ne us deewar mein dirham barabar surakh kar lia tha. Qayamat se pehle jab Allah Ta’ala ka hukam hoga tou Yajooj Majooj deewar tod kar logon per khurooj karenge.
6. Yajooj Majooj Hazrat Isa A.S ke nazool aur Dajjal ke khatmey ke baad khurooj karenge.
7. Dunia ki koi jamaat Yajooj Majooj ka muqabla nahi kar sakti hatta ke Hazrat Isa A.S bhi in ke muqabley se aajiz hongey.
8. Yajooj Majooj ki Shakal o Soorat aise batai gai hai jaise turkon ki mazkoor hai yaani bareek ankhon waley surkhi mayel balon waley aur choray chehron waeay ke goya wo teh ba teh dhalon jaisay (chaptey ya motey) hai lekin turkon ko ya kisi aur Qoam ko Yajooj Majooj qarar dena drust nahi kyon ke in ki tamaam sifaat o alamat mojooda aqwaam o milal me se kisi ek par bhi chispan nahi hoti.
9. Yajooj Majooj ki tadad bohat ziyada hai hatta ke is ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke wo aam logon se 99 % ziada hain.
10. Yajooj Majooj sab khait khalyaan tabah kar denge, samandron daryaon aur nadi nalon ka pani dakar jayengey aur har taraf oodham macha dengey.
11. Yajooj Majooj dunia par tabahi phailaney ke baad aasman ki taraf teer chalayenge jinhe Allah Ta’ala kohon laga kar neeche daliengey tou wo kahiengey.
12. Humne Dunia walon ko bhi tabah kar dia aur aasman walon per bhi ghalba pa liya.
13. Yajooj Majooj ka khurooj Hazrat Isa A.S. ke baad hoga aur is se pehle koi inhe dekh nahi sakega.
14. Hazrat Isa A.S ki Dua se yeh sab ek beemari se aan wahid mein halak ho jayengey.
15. Bahukam e Ilahi chotey chotey parindey inhe utha kar kisi namaloom muqam par le jayengey halankey in ki lasheen Roo-e-Zameen par isqadar phaili honge ke tal dharney ko jaga na hogi.
16. Yajooj Majooj aazmaish ke liye paida kiye gaye hai aur in mein se koi ek bhi islam qabool na karega.
17. Yajooj Majooj ki halakat ke baad dunia par sirf aur sirf musalman hai baaki rahiengey phir in Musalmano mein badamli, Kufar o Shirk phailna shuru hoga tou Allah Ta’ala naik logon ko utha leingey aur burey logon par Qayamat qayem kar denge.
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega