Aaj Ummat-e-Muslima Me Jitney Bhi Ikhtelafat Nazar Aa Rahe Hai Uski Asal Wajah Yahi Hai Ke Nauzubillah! Humne Allah Ki Kitaab Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ko Chorr Diya, Natijatan Hum Gumraahi Ke Daldal Me Fanstey Chaley Gaye,.. Aur Zalim Hukumra Humpar Musallat Hotey Rahe ,..
Mere Azeezo! Bhaley Hi Hum Fikri Ikhtelafat Ki Buniyad Par Aaj Firqo Aur Jamato Me Batt Chukey Ho, Lekin Deen Humara Islam Hi Hai, Aur Shariyate Islamiya Bohot Hi Pakiza Shariyat Hai ,..
Yaad Rahe ke Isme Humey Manmani Nahi Karni Chahiye ,..
– Kyunki Islam Wohi Hai Jo Allah Ki Kitab Aur Nabi-e-Rehmat (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Mukaddas Sunnato Me Hai ,..
– Iss Sey Hatkar Koi Alag Aqeeda Pesh Kare Tou Allah Ke Liye Unsey Kinaara Kar Lo !
– Fir Chahe Bolne Wala Kitna Hi Bada Allama Kyu Na Ho, Kitabo Sunnat Se Takraane Wali Uski Har Baat Kabile-e-Mazammat Hogi ,..
*Aaj Hum Kaise Bhul Gaye Ke Hum Log Uss Nabi Ke Ummati Hai Jo Tamam Aalam Ke Liye Rehmat Hai, Fir Hum Aaj Kaise Itney Bereham Ho Gaye Ke Chand Mafadparsto Ke Fareb Me Aakar Apne Aap Se Ladne Lag Gaye ,..
*Allah Ke Liye Mere Azeezo ! Ek Ho Jao , Nek Ho Jao.
– Jahilo Ke Fareb Me Aakar Aisi Koi Harqat Na Karo Ke Koi Gairmuslim Humari Jahalat Aur Bad’akhlakhi Dekhkar Humare Nabi Ki Mukaddas Sirat Par Ungli Uthaye ,..
– Warna Allah Ka Azab Jab Aa Gherega Tab Koi Kisika Madadgaar bhi Na Hoga ,..
Isi Baat ko Allah Rabbul Izzat ne Quraan me Youn Farmaya aur kaha –
“Lout Aao Apne Parwardigar Ki Taraf Aur Uske Farmabardaar Ho Jao, Isse Pehle Ki Tumpar Azab Aajaye Aur Fir Tumhari Madad Bhi Na Ki Jaye Aur Pairvi Karo Is Behtareen Kitab(Quraan) Ki Jo Tumhare Rab Ki Taraf Se Tumhari Taraf Nazil Ki Gayi Hai Is Se Pehle Ki Tum Par Achanak Azab Aajaye Aur Tum Samjh Bhi Na Sako”
– [Surah (39)Zumar; Ayat 54-55]
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Taala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Taufiq Dey ,..
# Hum Tamam Ko Ek Aur Nek Banaye,..
# Hume Sirate Mustakim Par Chalaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!