» JAWAAB: Log Allah Ki Hidayat Se Door Rahe Isliye Mafadparsto ne Shariyate Islamiya me Beshumar Tawhaam Gadhey , in me se Ek Ye Bhi hai Ke Quraan Bohot Mushkil Kitab hai, Lihaja Aam Log Isey Samjh nahi Saktey ,..
Tou Aayiye Dekhte Hai Ke Allah Rabbul Izzat Is Talluk Se Kya Wajahat Farma Raha hai ,..
# Ek Misaal Deta Hu ke –
– Aapka Ek Bacha Hai Jo Har Roz School Se Fatkey Kha Kar Aata Hai,.. Aap Jakar School Ke Teachers Se Vajah Puchtey Ho Ke – “Kyu Marte Ho Mere Bacche Ko Har Roz..”
*Tou Wo Teacher Kehta Hai Ke – “Ye Bacha Padhke Hi Nahi Aata Kuch,. Kal Humne Physics Padhaya, Chemistry Padhaya, Botany Padhaya Fir Bhi Isey Kuch Nahi Samjhta ,..”
*Aap Kahoge – “Ye Tou K.G. Me Admission Dilaya Maine Isey Teacher! … Aur Aap Tou College Ke Subjects Padha Rahe Usko ,..”
Aap Uss Bewakuf Teacher Ko Fatkey Dekar Aaoge,.. Ke Wo Log Baccho Ko Aisa Syllabus Padhatey Hai Jo Unki Umr Ke Liye Hai Hi Nahi ,..
*Ab Mera Ek Buniyadi Sawal Hai Ke –
“Allah Rabbul Izzat Apne Bando Ke Liye Ek Kitab Bana Raha Hai ,..
Agar Wo Kitab Bando Ko Hi Samajh Na Aaye Tou Koun Bewakuf Hua Usme ,.. ? ”
♥ Subhan’Allah !!! Allah Rabbul Izzat Tou Hikmat Wala Hai,.. Wo Ye Kaam Nahi Kar Sakta Ke Aisi Kitab De Dey Uske Bando Ko,.. Jisko Wo Padhna Farz Karey , Jispe Amal Ko Farz Karey Aur Ye Kahe Ke Tumko Samjh Me Nahi Aayegi ..
*Jabki Ye Samhjh Aati Hai Siway Iske Ke Humne Isey Samjhna Na Chaha Aur Kuch Mafadparsto Ne Hume Samjhne Na Diya,..
*Aur Jaahir Si Baat Hai Ke – Jab Sabke Liye Qalam Hai Tou Kaise Hum Nahi Samajh Saktey Isey ?
*Allah Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai – [Surah (54) Qamar] me Aayat 17, 22, 32, 40 Aisi 4 Baar Ye Aayat Repeat Hoti Hai –
Ke Humne Iss Quraan Ko Nasihat Ke Liye Aasan Kar Diya Hai! Tou Hai Koi Padhney Wala Aur Is Se Nasihat Hasil Karnewala ,…” – (Al-Quran: 54:17) – @[156344474474186:]
… Allah Keh Raha Hai Aasan Hai Aur Baaz Log Keh Rahe Hai Mushkil Hai ,.. Subhan’Allah!!
*Lihaja Hume Chahiye Ke Mafadparsto Ke Behkaawe Se Bahar Nikley Aur Allah Ki Kitaab Par Gour Kare,. Uska Muta’ala Karey Aur Uspar Amal Ki Koshish Karey ,..
* * * * *
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..