🔖 Kya Muharram Gham (गम) ka Maheena hai?
Allama Iqbal ne kaha:
Keh Do Gham-e- Husain Mananey Walon se
Momin Kabhi Shohda ka Matam Nahi Karte.
Hai Ishq Apni Jaan se bhi Zyada Aal-e-Rasol se
Yun Sar-e-Aam Hum Unka Tamasha Nahi Kartey.
👉 Phir baat yeh bhi qabile ghaur hai ki islami tarikh shahaadaton se bhari padi hai. koi din aisa nahi jisme kisi sahabi ki shahaadat na hui ho. jaise ki “Umar Farooq” (RaziAllahu anhu) ki shahadat ka waqiya. agar baad me hone waali in shahadaton ke manaane ki shar’an koi haisiyat hoti to hazrat Umar Farooq RaziAllahu anhu ki shahadat is laaiq thi ki ahle islam iska aitebar karte.
Hazrat Usman RaziAllahu Anhu ki shahadat aisi thi ki iski yadgar manai jati. phir in shahadato ki bina par agar islam me maatam ki ijaazat hoti to yaqinan tarikh-e-islam ki yeh dono shahadaten aisi thi ki ahle islam in par jitna bhi maatam karte kum hota.
👉 Hasan aur Hussain (R.A) ki Shahadat ka waqiya to Nabi Kareem ﷺ ki wafaat se “50 saal” baad pesh aaya.
👉 Yeh bhi khayal rahe ki is mahine ki hurmat sayyidina Hazrat Husain RaziAllahu anhu ke waqiya-e-shahadat se pehle hi sabit chali a rahi hai. jaisa ki upar wazahat guzri. Baaz log yeh samajhte hain ki yeh mahina isliye Qabil-e-Ahtraam hai ki isme hazrat Husain RaziAllahu anhu ki shahadat ka waqiya pesh aya tha. yeh khayal bilkul ghalat hai. Yeh shahadat ka waqiya to Nabi Kareem ﷺ ki wafaat se 50 saal baad pesh aaya aur deen ki takmeel Nabi kareem ﷺ ki zindgi me kar di gai thi.
📚 (Dekhiye Surah Mayda, Ayat No-3)
Aur Matam ko to Nabi ﷺ ne taqeed se mana farmaya tha.
Mayyat ko is par Noha (matam) kiye jane ki wajah se bhi Qabar mai Azab hota hai.
👉Abdullah bin Umar radi allahu taaala anhu ne apne walid se riwayat kiya ki
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke:
“Mayyat ko is par Noha (matam) kiya jane ki wajah se bhi Qabar mai azab hota hai.”
📚 Sahih al-Bukhari:,1292
👉 Lekin ek to islam me maatam ki ijazat nahi, dusre yeh tamaam waqiyaat takmeel deen ke baad pesh aaye hain, isliye inki yaad me majlisen aur mehfil-e-maatam qaaim karna deen me izaafa hai.
👉Rasool Allah ﷺ ne farmaya:-
“Har Bidat (deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.
📚 Sahih Muslim #2005
Allah Ta’ala ne farmaya:
اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا
Mai ne tumhare liye Deen ko mukammal (complete) kr diya hai
(matlab deen ke tariqe me koi bhi cheez joda ya hataya nhi ja sakta hai.)
Quran: Surah Maida 5:3
Muharram gam ka Maheena nahi Ibadat ka Maheena hai.
👉 Muharram me kasrat se nafli roze rakhne chahiye kyunki
Nabi Kareem ﷺ ne farmaya-
“Ramzaan ke baad afzal tareen roze Allah ke mahine Muharram ke hain.”
Abu Dawud-2429, Sahih Muslim-1163, 1123
Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sunne Se Jyada AMal Ki Taufik Ata farmaye,
Ameen Allahu Ameen..