Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Jo Shakhs Apne Betey ko apni Beti par Tarjeeh nahi dega ♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai: "Jo Shakhs Apne betey ko apni beti par tarjeeh (badhawa) nahi dega tou woh jannat me dakhil hoga" - (Abu Dawood: Hadith no. 5146) » Jannat ke liye Iman shart hai. ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: रसूलअल्लाह (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है: "जो शख्स अपने बेटे को अपनी बेटी पर तरजीह(बढ़ावा) नहीं देगा तो वो जन्नत में दाखिल होगा" - (अब दावुद, हदीस 5146) » जन्नत के लिए ईमान शर्त है. For more Islamic messages…
Hadees: Iman ka Sabse kam Darja Iman ka Sabse kam Darja Abu Saeed Khudri (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Mein se jo Shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo Shaksh (zimmey se) bari ho gaya, Agar usmein itni Taqat na ho aur wo Zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi Taqat na ho to wo Dil se bura Samjhey to wo bari ho gaya ye imaan ka Sabse…
Gareebi ki wajah se Hajj na karne walo ke liye Hajj ka Sawab ✦ Mafhum-e-Hadees: Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ne farmaya Gareeb log (Sahaba) Nabi (ﷺ) ki khidmat me hazir huye aur kaha ki: Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahne waali Jannat haasil kar chuke halanki jis tarah hum Namaz parhte hain wo bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin Maal wa Daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte…
Khayaanat karne walo ke saath kya kare? Khayaanat karne walo ke saath kya kare ? Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Tumhare saath Khayanat (Dhoke ka muamla) kare, tou tum uss ke saath Khayaaat na karo." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 3535
Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool'Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: "Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? " hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: "Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui…
Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish ke Milti tou ۞ QAUL-E-MUBARAK ۞ Umar Bin Abdul Aziz (R.A.) farmate hai, "Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish aur Takleef Ke Hoti tou Duniya hi Jannat hoti." 📕 Bujurgo ke Aqwal
Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha deti hai Allah Taala farmata hai: "Jab Allah Taala ki Aayatein un Imanwalo ko padh kar sunayi jaati hai tou wo Aayatein un ke iman ko aur badha deti hai." 📕 Quran, 8:2
Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta ... Jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye. 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5660
Baaz log Allah ke barey me bagair ilmo hidayat ke… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ "Baaz log Allah ke barey me bagair ilm ke aur bagair hidayat ke aur bagair Roshan Kitab ke Jhagartey hain. Jo apni pehloo Modney wala bann ker iss liye ke Allah ki raah se behka dey usse duniya mein bhi ruswaee hogi aur Qayamat ke din bhi hum usey jahannum mein jalney ka Azab chakhayenge" - (Quran 22:8-9) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ "और लोगों मे कोई ऐसा है जो किसी ज्ञान, मार्गदर्शन और प्रकाशमान किताब के…
3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega:… 3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega: Hadees e Qudsi | (1). Ek tou wo shakhs jis ne mere Naam par Ahad (Waada) kiya aur phir waada khilafi ki ...
Haq par hote hue Jhagda chor do Haq par hote hue Jhagda chor do Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Mein Ek Mahel Ka Zimmedar Hun Jo Haq Par Hote Hue Zagda Chhod De.” 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 4800 (Sahih)
Sood khane walo ka Anjam - The Punishment for… ✦ Hadith Roman Urdu: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne irshaad farmaaya ke: ❝Jis Raat mujhe Meraj hui mera guzar ek aise giroh par huwa jin ke pait Gharon ki tarah hain aur un mein Saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, Mai ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise Azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh Sood khor log hain.❞ (Sunan Ibn Majah 2273) ✦ Hadith English:…
Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye 01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183
Allah ka Fazl hai Maalo Doulat - Allah jise Chahta… ✦ Hadith: Maal-O-Daulat Allah ka Fazl hai, Wo jise chahta hai ata karta hai. Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas kuch Sahaba-e-kiram (RaziAllahu Anhu) aatey hai jo Gareeb they, RasoolAllah (ﷺ) se arz karte hai "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! yeh Maaldaar Sahaba Namaz padhtey hai, Roza rakhtey hai, Hajj karte hai, Zakaat detey hai, tamaam kaam karte hai, uskey bawajud Allah ki Raah me maal kharch karke Nekiyon me humse aagey nikal jaate hai. Lihaja Aap hume koi aisa Amal (solution) de…