Geebat Ki Ta’arif – What is Backbiting ?

“Kisi Shakhs Ka Koi Zaahiri Aib Ho Ya Baatini, Uska Paidaishi Aib Ho
Ya Uska Apna Paida Kiya Hua Aib Ho, Usey Bayan Karna Geebat Hai,..”
(Ahyaul Uloom J:3 S:141)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Allah Ta’ala Ke Bad’tarin Bande Woh Hai Jo Logon Me Chugli Kharte Firte Hai
Aur Doston Ke Darmiyaan Judaai Daalte Hai,..”
(Baihaqi Sharif)

∗ Geebat Emaan Ko Iss Tarah Kaat Deti Hai, Jis Tarah Charwaha Darakht Ko Kaat Deta Hai.
(Attargib Wattarhib J.3, S.332)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Geebat Ka Kaffara:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki,
“Jis Shakhs Ki Tumne Geebat Chugli Ki Ho Uska Kaffara Ye Hai Ki
Tum Uske Liye Bakhshish Ki Dua Karo,..”
(Miskat Sharif)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: