Allah ke liye Aapas me Mohabbat karne walo ka inaam
Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke,
Allah Ta’ala irshaad farmata hai: “Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge.”
Duniya se Mohabbat ke Nuqsaanat by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=w2W4FIIh4d8 Duniya se Mohabbat ke Nuqsaanat Dunia ki mohabbat aaj insan ke har kism ke Gunaah ka bayeens hai, jabki ye akahirat ke aitbar se bohot khassara uthane wali cheez hai ,.. iske talluk se tafseeli jankari ke liye aayiye is bayan ka muta'ala karte hai. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. - JazakAllahu khairan kaseera !
Jis ne Meri Sunnat se Muhabbat ki Usne Mujh se Mohabbat ki - Roman Urdu - ۞ Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) ka irshade Mubarak hai ke: "Jis ne Meri Sunnat se Mohabbat ki (Yaani Uspar Amal kiya), Tou Usne Mujh se Mohabbat ki aur jis ne Mujh se Mohabbat ki wo Jannat me Mere saath hoga." 📕 Jami at-Tirmidhi 2678 - हिंदी - ۞ हदिस: अल्लाह के रसूल (ﷺ) का इरशादे मुबारक है के : "जिस ने मेरी सुन्नत से मोहब्बत की (यानी उसपर अमल किया), तो उसने मुझ से मोहब्बत…
Ummat ke Behatreen aur Badtareen log ✦ Abu Malik Ashari (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya: "iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain" Al-Silsila-tus-Sahiha-3412 ---------- رسول اللہ صلی اللہ علیہ…
Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,... Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Hai: ♥ Al-Quraan: "Beshaq Momin Aapas Me Bhai-Bhai Hai" - [Surah(49) Hujrat; Ayat-10] - Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Momin Dusre Momin Ka Aaeena (Mirror) Hai, Aur Momin Dusre Momin Ka Bhai Hai. Jo Nuksaan Ko Uss Se Door Karta Hai Aur Uski Gair-Moujudgi Me Uski Hifazat Karta Hai”. – (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith no. 1486) # Subhan'Allah!! - - Kya Wakay me Aaj Hum Me…
Jo Log Rasool'Allah Ki Mukhalifat Karte Hai .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Allah Ta'ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke - "(Aye EmaanWalo!) Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa Khayal Na Karna Jaisa Ki Tum Aapas Me Ek Dusrey Ko Bulatey Ho. Beshaq Allah Ko Ye Malum Hai Jo Tum Me Se Aankh Bacha Kar Chal Detey Hai".. Isi Ayat Me Allah Ta'ala Aagey Farmata Hai - "Tou Jo Log Unke(RasoolAllah Ke) Hukm Ki Mukhalifat Karte Hai Unko Darna…
Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai Hadees: Abdullah Ibne Amr (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‟Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai." 📕 Musnad al-Shihab, Hadees 1280
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur jo log iman laaye, aur Unhone Neik kaam kiye yakinan hum unse unki Buraiyan door kar denge." 📕 Surah Ankabut 29:7
Allah ki Zamanat me Rehne Waale log Allah ki Zamanat me Rehne Waale log Hazrate Abu Umamah Al-Bahili (R.A) se riwayat hain ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Teen (3) Qism ke aadmi aise hain jin ka Zaamin Allah Ta'ala hai: 1. Ek wo jo Allah ke Raaste me Jihaad ke liye nikle, Allah Uska Zaamin hai ya usey wafaat de kar Jannat me dakhil karega, ya Ajar aur Ganimat ke saath wapas lautayega, 2. Doosra wo Shakhs jo Masjid ki taraf chala, Allah uska Zaamin hai ya…
♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza… Roza Chorne ka Azab Kin Logo ko Roza na rakhne ki chooth hai aur bewajah Roza chorne ka azab kitna khatarnak ho sakta hai? tafseeli jankari ke liye is audio clip ka mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫ Roze Chorne se Bacha Kare ♫ Saher…
Log Chahte hai ke Musalman Jaahil Rahe Hadees: Abdullah-Bin-Umro-Bin-Aas (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke,Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hajjatul Wida Ke Din Khutba Diya Aur Farmaya – Pohcha Do Logon Tak ! Agar Ek Aayat Bhi Maloom Ho Tou”📚 SAHIH BUKHARI, JAMI` AT-TIRMIDHI 2669 Subhan’Allah!! Jaahir si baat hai ke Pohchaane ki baat kahi jaa rahi hai tou jab Maloom hoga ya maloom karenge tabhi tou Pohchaya jayega. lekin jab Maloom hi na ho tou kya pohchayenge hum ?. Aur Aaj Hum Dekhtey hai ke log Chahtey hai…
Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab… Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab se acchhe hain Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1162
♥ Mohabbat Ki Haqeeqat Lafz-e-Mohabbat Hum Apni Zindagi Anginat martaba Sun'te Rehte hai , Jabki Iske Haqiki Maane Aur Mafhoom se Hum Bekhabar hai, Tou Lihaja Is Post Ke Waseele Se Aayiye Ek Misal Ke Tehat Ye Wajeh Kar Dete Hai Ke Aakhir me "♥ Hai Kya Ye Mohabbat ?…" *Yaad Rahe Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai "Ita-at ,.." Maslan: Agar Mai Aapse Ye Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya…
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…