Janaze ki Duayein | Janazah ki Dua Quran wa Sunnat ki Roshni mein

Mayyat aur janaza ki dua

Mayyat ki ankhen band karte waqt ki dua

 ((اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِفُلاَنٍ (بِاسْمِهِ) وَارْفَعْ دَرَجَتَهُ فِي الْمَهْدِيِّينَ، وَاخْلُفْهُ فِي عَقِبِهِ فِي الْغَابِرِينَ، وَاغْفِرْ لَنَا وَلَهُ يَا رَبَّ الْعَالَمِينَ، وَافْسَحْ لَهُ فِي قَبْرِهِ، وَنَوِّرْ لَهُ فِيهِ)).

(Allahummagh-fir li-name the dead- warfaAA darajatahu fil-mahdiyyeen, wakhlufhu fee AAaqibihi fil-ghabireen, waghfir lana walahu ya rabbal-AAalameen wafsah lahu fee qabrih, wanawwir lahu feeh.)

Ae Allah! fulan (mayyat ka naam) shakhs ko maaf farma aur hidaayat
yafta logon mein is ka darja buland farma aur is ke
baad is ke peechay reh jane walon mein is ka
jaanasheen ban aur hamein aur isay maaf farma! ae
Rabbul alameen! aur is ke liye is ki qabr mein
kushadgi farma aur is ke liye is mein roshni kardey

  1. Sahih Muslim (920, lafz is ke hain),
  2. Abu Dawud (3118)

Janaza ki Duayein

Janaze ki Dua 1

اللهُـمِّ اغْفِـرْ لَهُ وَارْحَمْـه ، وَعافِهِ وَاعْفُ عَنْـه ، وَأَكْـرِمْ نُزُلَـه ، وَوَسِّـعْ مُدْخَـلَه ، وَاغْسِلْـهُ بِالْمـاءِ وَالثَّـلْجِ وَالْبَـرَدْ ، وَنَقِّـهِ مِنَ الْخطـايا كَما نَـقّيْتَ الـثَّوْبُ الأَبْيَـضُ مِنَ الدَّنَـسْ ، وَأَبْـدِلْهُ داراً خَـيْراً مِنْ دارِه ، وَأَهْلاً خَـيْراً مِنْ أَهْلِـه ، وَزَوْجَـاً خَـيْراً مِنْ زَوْجِه، وَأَدْخِـلْهُ الْجَـنَّة ، وَأَعِـذْهُ مِنْ عَذابِ القَـبْر وَعَذابِ النّـار

Allaahum maghfir lahu, warhamhu, wa ‘aafihi, wa’fu
‘anhu, wa akrim nuzulahu, wa wassi’ mudkhalahu,
waghsilhu bil maa-i wath thalji wal baradi, wa
naqqihi minal khataayaa, kamaa naqqaytath
thawbal abyadha minad danasi, wa abdilhu daaran
khairan min daarihi, wa ahlan khairan min ahlihi, wa
zawjan khairan min zawjihi, wa adkhilhul Jannata,
wa a’idh hu min ‘adhaabil qabri, wa ‘adhaabin naar

Ae Allah! isay bakhsh day, is par rahem farma aur
isay aafiat day, is se dar guzar farma is ki maheman
nawazi acchi kar aur is ki qabr farakh kardey aur isay
pani, barf aur olon ke sath ghusl de, aur isay
gunaaho se saaf kardey jaisay Tu ne safaid kapday ko
mael kuchail se saaf kardiya hai aur isay badlay mein
aisa ghar day jo is ke ghar se ziyada behtar ho aur
ghar walay jo is ke ghar walon se ziyada behtar hon
aur biwi jo is ki biwi se ziyada behtar ho aur isay
jannat mein daakhil farma aur qabr ke azaab [aur
aag ke azaab] se bacha

  • Sahih Muslim (963, lafz is ke hain),
  • Ibn Majah (1500), Sunan
  • Tirmidhi (1025)

Janaze ki Dua 2

اللهُـمِّ اغْفِـرْ لِحَيِّـنا وَمَيِّتِـنا وَشـاهِدِنا ، وَغائِبِـنا ، وَصَغيـرِنا وَكَبيـرِنا ، وَذَكَـرِنا وَأُنْثـانا . اللهُـمِّ مَنْ أَحْيَيْـتَهُ مِنّا فَأَحْيِـهِ عَلى الإِسْلام ،وَمَنْ تَوَفَّـيْتََهُ مِنّا فَتَوَفَّـهُ عَلى الإِيـمان ، اللهُـمِّ لا تَحْـرِمْنـا أَجْـرَه ، وَلا تُضِـلَّنا بَعْـدَهُ

Allaahum maghfir li hayyinaa wa mayyitinaa, wa
shaahidinaa wa ghaa-ibina, wa sagheerinaa wa
kabeerinaa, wa dhakarinaa wa unthaanaa,
Allaahumma laa tahrimnaa ajrahu wa laa
tudhillanaa ba’dahu

Ae Allah! hamaray zindah aur faut shuda ko hamaray
haazir aur gayab ko, hamaray chotey aur baray ko,
hamaray mard aur hamari aurton ko maaf farmade,
ya ilahi! ham mein se jisay Tu zindah rakhay, usay
Islam par zindah rakh aur ham mein se jisay Tu faut
kare, usay iman par faut kar. Ae Allah! hamein is
(maiyat) ke ajr se mahroom na karna aur hamein is
ke baad gumraah na karna

  • Sahih. Abu Dawud (3201),
  • Ibn Majah (1498, lafz is ke hain),
  • Tirmidhi (1024), Nasai (1986)

Janaze ki Dua 3

الَّلهُـمِّ إِنَّ فُلانَ  بْنَ فُلانٍ في ذِمَّـتِك ، وَحَبْـلِ جِـوارِك ، فَقِـهِ مِنْ فِتْـنَةِ الْقَـبْرِ وَعَذابِ النّـار ، وَأَنْتَ أَهْلُ الْوَفـاءِ وَالْـحَقِّ ، فَاغْفِـرْ لَهُ وَارْحَمْـهُ ، إِنَّكَ أَنْتَ الغَـفورُ الـرَّحيم

Allaahumma inna fulaan bin fulaan fee dhimma tika
wa habli jiwaarika faqihi min fitnatil qabri wa
‘adhaabin naari wa anta ahlul wafaa-i wal haqqi
faghfir lahu war hamhu innaka antal ghafoorur
raheem

Ae Allah! be shak falan bin falan(yaha us mayyat ka naam lein)
tairay zimmay aur teri panah mein hai, pas Tu isay fitna e qabr aur
aag ke azaab se bacha aur Tu wafa aur haq wala hai
pas Tu isay maaf farma aur is par rahem farma,
yaqeenan Tu bahot ziyada maaf karne wala nihayat
rahem karne wala hai

  • Sahih. Ibn Majah (1499, lafz is ke hain),
  • Abu Dawud (3202),
  • Awsat by Ibn Mundhir (5:441, Waleed ne samaa e musalsal ki
  • sarahat kardi hai); Albani ne ise Sahih kaha hai: Ahkaamul Janaa-iz

Janaze ki Dua 4

اللهُـمِّ عَبْـدُكَ وَابْنُ أَمَـتِك، احْتـاجَ إِلى رَحْمَـتِك، وَأَنْتَ غَنِـيٌّ عَنْ عَذابِـه، إِنْ كانَ مُحْـسِناً فَزِدْ في حَسَـناتِه، وَإِنْ كانَ مُسـيئاً فَتَـجاوَزْ عَنْـهُ

Allaahumma ‘abduka wabnu amatikah taaja ilaa
rahmatika, wa anta ghaniyyun ‘an ‘adhaabihi, in
kaana muhsinan fazid fee ihsaanihi, wa in kaana
musee-an fatajaawaz ‘anhu

Ae Allah! tera bandah (yeh) teri kaneez ka beta, teri
rehmat ka mohtaaj ho gaya hai aur Tu isay azaab
dainay se be niyaz hai, agar yeh naik tha to is ki
nekiyon mein izafah farma aur agar gunah gaar tha
to is ki buraiyon se dar guzar kar

  • Hasan. Mustadrak Haakim (1:359, lafz is ke hain), al Aahaad
  • wal Mathaani by ibn Abu ‘Aasim (444), Albani aur Haakim ne ise
  • Sahih kaha hai aur Dhahabi ne ittefaq kiya hai; Dekhiye Shaikh
  • Albani ki Ahkaamul Janaa-iz (page 125).

Bacchey ki Namaz e Janaza ki duayen

اللَّهُمَّ أَعِذْهُ مِنْ عَذَابِ القَبْرِ

Allaahumma a’idh hu min ‘adhaabil qabri

Ae Allah! isay qabr ke azaab se bacha

  • Sahih Mawqoof (Sahabi ka qaul, Nabi ka nahi). Mu’atta
  • Maalik, Tahqeeq by Abdul Baaqi (1:228, lafz is ke hain),
  • Musannaf Ibn Abi Shayba, Tahqeeq Ash Shathari (1689).

Is riwayat mein hai ke Sa’eed bin Musayyib farmatay hain ke, mein
ne Abu Hurayra ke peechay aik aisay bacchay ki namaz e
janaza parhi, jis ne abhi koi khataa na ki thi to Abu Hurayra ne
dua mein yeh kalmaat parhay. Yeh dua baday logon ke janazay
mein bhi aik taweel dua ke sath parhna saabit hai


Mayyat ke Taaziyat ke waqt yeh kalimaat kahein

((إِنَّ للَّهِ مَا أَخَذَ، وَلَهُ مَا أَعْطَى، وَكُلُّ شَيْءٍ عِنْدَهُ بِأَجَلٍ مُسَمَّى… فَلْتَصْبِرْ وَلْتَحْتَسِبْ)). وَإِنْ قَالَ: ((أَعْظَمَ اللَّهُ أَجْرَكَ، وَأَحْسَنَ عَزَاءَكَ، وَغَفَرَ لِمَيِّتِكَ)) فَحَسَنٌ.

Inna lillahi ma akhath, walahu ma aAAta,
wakullu shayin AAindahu bi-ajalin musamma

Yaqeenan Allah hi ka hai jo us ne le liya aur usi ka hai
jo us ne diya. Aur us ke paas har cheez waqt e
muqarrara ke sath hai.

Yeh kehnay ke baad lawahiqeen ko sabr karne aur
sawab ki umeed rakhnay ki talqeen karni chahiye

  • Sahih Bukhari (7377),
  • Sahih Muslim (923) lafz dono ke hain;
  • Abu Dawud (3125),
  • Nasai (1868), Ibn Majah (1588).

Mayyat Qabr mein utaartey waqt ki Dua

 بِسْمِ اللَّهِ وَعَلَى سُنَّةِ رَسُولِ اللَّهِ

Bismil laahi wa ‘alaa sunnati Rasoolil laahi

Allah ke naam ke sath aur Rasool Allah ki sunnat
ke mutabiq (tumhen dafn karte hain)

  • Sahih. Abu Dawud (3213, lafz is ke hain), Tirmidhi (1046),
  • Ibn Majah (1550), Sahih Ibn Hibban (3109), Sunan Kubra by Nasai
  • (10861), Albani ne ise Sahih kaha hai: Irwaa’ (3:197, no. 747).

Mayyat dafn karne ke baad ki dua

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لَهُ، اللَّهُمَّ ثَبِّتْهُ

Allaahum-maghfir lahu Allaahumma thabbithu

Ae Allah! isay maaf farma, Ae Allah isay saabit
qadam rakh.

  • Yeh hadees ke alfaaz nahi hain balkay ek hadees ke mafhoom
  • ke mutabiq muallif ne yeh alfaaz darj kiye hain

Qabar ki Ziyarat ki Dua

 السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الدِّيَارِ، مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُسْلِمِينَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لاَحِقُونَ، [وَيَرْحَمُ اللَّهُ الْمُسْتَقدِمِينَ مِنَّا وَالْمُسْتأْخِرِينَ] أَسْاَلُ اللَّهَ لَنَا وَلَكُمُ الْعَافِيَةَ

Assalamu AAalaykum ahlad-diyari minal-mu/mineena walmuslimeen, wa-inna in shaal-lahu bikum lahiqoon, nas-alul-laha lana walakumul-AAafiyah.

  • Sahih Muslim (975, , siyaq is ka hai);
  • Sahih Muslim (974a, pehle brackets mein izafa is ka hai);
  • Sahih Muslim (974b, dusre brackets mein izafa is ka hai);
  • Nasai (2040); Ibn Majah (1547)

0 thoughts on “Janaze ki Duayein | Janazah ki Dua Quran wa Sunnat ki Roshni mein

  1. Arman ansari says:

    Janaze ki dua 2 me English Transliteration me Allahuma man ahyaytahu mina fa’ahyay alal islam wala section chor diye h by mistake syad please correct soon…..

    Janaze ki Dua 2
    اللهُـمِّ اغْفِـرْ لِحَيِّـنا وَمَيِّتِـنا وَشـاهِدِنا ، وَغائِبِـنا ، وَصَغيـرِنا وَكَبيـرِنا ، وَذَكَـرِنا وَأُنْثـانا . اللهُـمِّ مَنْ أَحْيَيْـتَهُ مِنّا فَأَحْيِـهِ عَلى الإِسْلام ،وَمَنْ تَوَفَّـيْتََهُ مِنّا فَتَوَفَّـهُ عَلى الإِيـمان ، اللهُـمِّ لا تَحْـرِمْنـا أَجْـرَه ، وَلا تُضِـلَّنا بَعْـدَهُ

    Allaahum maghfir li hayyinaa wa mayyitinaa, wa
    shaahidinaa wa ghaa-ibina, wa sagheerinaa wa
    kabeerinaa, wa dhakarinaa wa unthaanaa,
    Allaahumma laa tahrimnaa ajrahu wa laa
    tudhillanaa ba’dahu

  2. Arman ansari says:

    Janaze ki dua 2 mein English Transliteration me Allahuma man ahyaytahu mina f’ahyihi alal islam wala section likhna chor diye by mistake please correct soon…..

    Janaze ki Dua 2 اللهُـمِّ اغْفِـرْ لِحَيِّـنا وَمَيِّتِـنا وَشـاهِدِنا ، وَغائِبِـنا ، وَصَغيـرِنا وَكَبيـرِنا ، وَذَكَـرِنا وَأُنْثـانا . اللهُـمِّ مَنْ أَحْيَيْـتَهُ مِنّا فَأَحْيِـهِ عَلى الإِسْلام ،وَمَنْ تَوَفَّـيْتََهُ مِنّا فَتَوَفَّـهُ عَلى الإِيـمان ، اللهُـمِّ لا تَحْـرِمْنـا أَجْـرَه ، وَلا تُضِـلَّنا بَعْـدَهُ
    Allaahum maghfir li hayyinaa wa mayyitinaa, wa shaahidinaa wa ghaa-ibina, wa sagheerinaa wa kabeerinaa, wa dhakarinaa wa unthaanaa, Allaahumma laa tahrimnaa ajrahu wa laa tudhillanaa ba’dahu

    ✅ Allaahum-maghfir lihayyinaa, wa mayyitinaa, wa shaahidinaa, wa ghaa’ibinaa, wa sagheerinaa wa kabeerinaa, wa thakarinaa wa ‘unthaanaa. Allaahumma man ‘ahyaytahu minnaa fa’ahyihi ‘alal-‘Islaami, wa man tawaffaytahu minnaa fatawaffahu ‘alal-‘eemaani, Allaahumma laa tahrimnaa ‘ajrahu wa laa tudhillanaa ba’dahu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *