Jahez ki Haqeeqat aur Uske Nuqsanat (Reality of Dowry)

Ye wo mouju hai jis par agar tafseel se likha jaye tou rukna mushkil hai, beharhaal fir bhi hum is topic par Jehaz ke talluk se kuch aham tazkira karne ki koshish karenge.

• Sabse Pehli baat Allah Rabbul Izzat ne Quraan me farmaya:

❝ Mard Aurato par Qawaam hai isiliye ke Allah Ta’ala ne unme se ek ko doosre par fazilat di hai aur Isiliye ke mard apna maal kharch karte hai. ❞ [Al-Quran; Surah Nisa 4:34]

Tou kamane ka jimma Allah Rabbul Izzat ne Mard ko diya. Lekin aaj fir bhi dekha jata hai ke humare Mard hazraat apni mardangi daaw par lagakar sasural walo se Jahaz(Dahej) talab karte hai. Masha’Allah !!!

Tajjub ki baat hai Aise logo ko wo walidain apni beti kaise de detey hai jo jehaz talab karke apne bhikaari hone ka Eilaan karta hai, ho sakta hai ke meri baat kadwi lagey, lekin jab hum iski tabahkariyo par gour karenge tou in sha Allah Ul Azeez is Jahez jaisi lanat se parhez karenge.

✦ Jahaz ke Nuqsanat :

Nikah ka Sunnat tareeka ikhtiyar na karne ki wajah se aaj mu’ashre me nikah bohot mushkil ho gaye hai aur iske nuksanat tou anginat hai. Itna Mumkin nahi ke tamam ka hum tazkira kar paye. bus kuch hi aham points rakhne ki koshish karte hai.

1). Zinaa aur Baddkariya aam ho gayi

Gairsharayi Rusumat ki wajah se Nikah mehnge ho gaye jiski vajah se Gareeb ghar ki bacchiya ghar baithi hai, sirf isliye ke unke Walidain ke paas utney paise nahi ke wo rusumat karey aur jahez dey, Natijatan Affairs aam ho gaye. Zinaa aur Baddkariya bilkul aam ho gayi. jabki Shariyat ka hukm tou ye hai ke “Nikah itna Aasan karo ke Zinaa mushkil ho jaye.”

Aaj Ummat ki Jitni Noujawan betiya Ghar baithi hai, Affairs kar rahi hai, wo kahi na kahi iss Jehaz ke Nizam ki Shikar hai aur isme wo log bhi barabari ke jimmedar hai jinhone Zehaj ki lanat ko shariyate islamiya ka hissa bana liya. Allah reham kare.

2). Haram kamayi ke liye Baap majboor ho jata hai –

Baap apni Betiyo ke Nikah ke liye Zindagi bhar mehnat karta hai, apna Zameer daaw par lagakar apne Rab ki Nafarmaani karta hai, Rishwatkhori, Hatta ke Sood par Qarz lekar Jehaz ada karta hai, sirf isi liye kyunki usey Apne Beti ka Nikah karna hai, Apne Begairat Damad ki Jholi bharna hai.

3). Bhai ka Nikaah mushkil ho jata hai –

Beti ke Nikah ke khatir Baap apni saari jama-punji laga deta hai, Hatta ke kabhi-kabar bete ka Nikah karna mushkil ho jata hai aur fir Majburan wo Beta apne Sasuraal walo se Jahaz talab karta hai.

4). Khudkhushiya(Suicide) Aam ho rahi hai –

Jahaz ada na karne ki wajah se khawatin par aaye din Zulmo Sitam ki khabre aam ho rahi hai, natijatan baat Khudkhushi (suicide) tak bhi jaa rahi hai.

5). Bacchiyo ko kokh me hi maar diya jata hai (Abortion/Female Infanticide)

Maa ki kokh me Ladka hai ya Ladki ye aksar log Sonography ke jarye pata lagakar usey kokh me hi maar detey hai, mehaj isliye ke badi hone par uski Shadi aur Dajeh ka kharcha wo Walidain nahi bardasht kar payenge. Lihaja Duniya me aane se phele hi uska mu’mla khatm kar do. Nauzubillah.

Jabki hum bhul rahe hai ke Allah Rabbul Izzat aisi bacchi se Roze Qayamat sawal karega ke:

❝ Biayyi Zambi Qutilat (kis Gunaah par maari gayi).❞

Yaani aise Walidain par Roze-Qayamat Allah Ta’ala Nazar-e-Rehmat tou door unsey baat karna bhi pasand nahi karega.

Kitne Afosos ki Baat Hai Mere azeez bhaiyo! Aakhir Zehej ki demand karke kya Ailaan karte hai hum log ke “Mujhe Apne Rab par Tawakkul nahi, Apni Mardangi par yakin nahi ke mai Mehnat karke Apne Biwi baccho ko khila saku! lijaha mujhe Apne Sausral walo se Jehaz ki shaql me bheek lene ki jarurat padi hai.”(Subhan’Allah)

Aur wo Walidain kya soch kar Jehaz detey hai ke “Meri Bacchi mujhpar boz hai lihaja uska ghar basane ke liye mujhe rishwat deni pad rahi hai.”

Allah reham kare! kis Deen par chal rahe hai hum ?.. Kyu hum shariyat ka pakiza huqm bhul gaye ke islam me mehar ada karne ka hukm hai jo ki ladki ka haq hai ke usey mehar miley.


✦ Kya Sasuraal waley tohfey dey sakte hai ?

Ab sawal ye aata hai ke agar Susuraal Maaldar ho aur wo Apne Damad ko kuch tohfa dena chahte ho tou kya lena durust hai ?.

Beharhaal isme koi harz nahi! lekin koshish karey ki na hi le,. isiliye ke ye Jehaz ka alternate solution ban jayega, ek culture ban jayega aur itni Aqal tou hum sab me hai ke tohfe mang kar nahi liye jaatey. aaj jarurat hai ke humey uth khada hona hai Jehaz jaisi lanat ke khilaf.

isiliye ke Aaj ye Ummat me Nasur ki taraf lag gayi hai, jiski wajah se Nikaah Mushkil ho gaye aur humare Noujawan Baddkariyo ki taraf Ruju kar gaye. hatta ke walidain ki izzat bhi daaw par laga li.

Mere Azeezo! maksad mera kisi ki burayi karna nahi, koshish hai ke ye post humare Gairatmand Musalmaan Mardo ke Zameer ko jinjhod dey aur Rab par Tawakkul Majbut kar le. Nikah ko aasan karey fir in’sha’Allah-ul-Azeez! Allah Rabbul Izzat aise logon ko ruswa nahi karega. Jo Zindagi ke tamam mu’amle me Deen-o-Shariyat ki paakiza Sunnato ko tarji detey hai.

✦ Gairatmand Mardo ki Zimmedari:

Aaj agar sirf Humare Naujawan Mardo ne thaan li ke kuch bhi ho jaye mai Jehaz nahi lunga, tou In’sha’Allah-ul-Azeez ! Ek inqlaab aayega. Aur mai unn tamam Walidain se bhi darkhwast karna chahta hu ke “Wo apni bacchiyo ko deeni aur duniyawi taalim se arasta karey unhe itna deendar banaye ke in’sha’Allah-ul-Azeez! mard hazraat jyada se jyada mehar ada karke unse nikah karna chahe.”

Tou beharhaal hume jarurat hai Sunnat Nikaah ki Ahmiyat ko samjhey, Isey khub aam karey aur Jitna ho sakey Jehaz jaisi lanat se apne aur apne mu’ashre ko bachaney ki koshish karey.

» Sunnat Nikah kaisa ho iske talluk se tafseeli jankari ke liye ye bayan jarur Suney
Sunnat Nikah ki Ahmiyat aur tareeka

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat hume Nikaaho Ko Aasan Aur Sadgi Se karne Ki Taufik Dey ,..
# Hume Tamam Gairsharayi Rusumaat Se Ahtiyaat Karne Ki Taufik Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

मोहम्मद सलीम

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: