Contents
Islamic Quiz 381
Rasool-Allah ﷺ ka mubarak naam Muhammad (مُحَمَّدٌ) Quran mein kitni baar aaya hai?
A. 10 baar
B. 7 baar
C. 5 baar
D. 4 baar
Islamic Quiz 381 : Rasool-Allah ﷺ ka mubarak naam Muhammad (مُحَمَّدٌ) Quran mein kitni baar aaya hai?
Sahih jawab hai : Option ( D )
✅ 4 baar
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
1. “Muhammad ﷺ ek Rasool hi hain. Unse pehle bhi kai Rasool guzar chuke.”
📖 Surah Aal-e-Imran (3:144)
2. “Muhammad ﷺ tumhare mardon mein se kisi ke baap nahi, balke Allah ke Rasool aur aakhri Nabi hain.”
📖 Surah Al-Ahzaab (33:40)
3. “Aur jo log imaan laaye aur neik amal kiya aur us par imaan laye jo Muhammad ﷺ par nazil hua – jo unke Rab ki taraf se haq hai – Allah unke gunah mitaa dega aur unka haal durust karega.”
📖 Surah Muhammad (47:2)
4. “Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain. Aur jo log unke saath hain wo kuffar par sakht aur aapas mein rehamdil hain.”
📖 Surah Al-Fath (48:29)