Contents
Islamic Quiz 372
Inmein se Quran ki kaunsi Surah mein Yajuj Majuj ka qissa bayan kiya gaya hai?
A. Surah Yaseen
B. Surah Al-Baqarah
C. Surah Al-Qasas
D. Surah Al-Kahf
Islamic Quiz 372 : Inmein se Quran ki kaunsi Surah mein Yajuj Majuj ka qissa bayan kiya gaya hai?
Sahih jawab hai : Option ( D )
✅ Surah Al-Kahf
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Al Quran: “Un logon ne kaha: Zulqarnain! Yajuj aur Majuj zameen mein fasad karte rehte hain. Kya hum aapke liye kharch ka intezam kar dein ke aap hamare aur unke darmiyan ek deewar khinch dein? (Zulqarnain ne) kaha: Kharch ka jo maqdoor Allah ne mujhe diya hai woh kafi hai, tum apni taaqat se meri madad karo, main tumhare aur unke darmiyan ek mazboot rokaawat bana dunga…”
📖 Surah Al-Kahf (18), Ayat 94-96