• Hazrate Musa (Alaihay Salam) Aur Haroon (Alaihay Salam) Ki Parwarish Ka Jimma Firoun Ke Hi Shahi Khajane Se.
Aziz Dosto ,……… Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Jab Unki Waalda Ne Dariya-e-Neel Me Bahaa Diya, Aur Woh Bachcha Baheta Huwa Firoun Ke Mahal Me Pahoocha, Jahaa Firoun Ki Biwi Hazrat Aashiya Ne Unhe Apni God Me Le Liya Aur Use Lekar Firoun Ke Paas Pahoochi, Firoun Ne Us Khoobsurat Haseen Aur Zameel Bachche Ko Dekha To Usne Bhi Unhe Apni God Me Le Liya Lekin Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Ke Dushman Firoun Ki Daadhee (Beard) Kheech Li Ya Noch Li, Is Par Firoun Gusse Se Aag Baboola Ho Gaya Aur Us Bachche Ko Qatal Karne Ka Faislaa Kiya. Lekin Hazrat Bibi Aashiya Ne Firoun Se Kahaa, “Is Bachche Ko Qatal Na Karo, Ye Kisi Achchi Khaandaan Ka Maaloom Hota Hai, Kyon Na Ham Is Bachche Ko Apna Le, Taaki Ye Hamaare Aankho Ki Thandak Aur Dil Ka Sukoon Bane, Waise Bhi Hamari Koi Aulaad Nahi Hai, Isi Liye Muqaddar Se Ye Bachcha Hamaare Paas Pahoocha Hai”.
*Firoun Jo Ki La-Aulaad Tha (Uski Koi Aulaad Na Thi) Woh Hazrat Bibi Aashiya Ki Baat Maan Gaya. Dosto Ye Allah Ta’ala Ki Mashlihat Hai Ki Jis Bachche Ko Firoun Aur Uski Huqumqt Ko Khatam Karne Ke Liye Paida Kiya Woh Hi Firoun Khud Us Bachche Ki Parwarish Karne Ke Liye Raazi (Tayyar) Ho Gayaa.
Ab Firoun Ne Hazrat Musa Ke Parwarish Ka Intezaam Kiya Aur Us Bachche Ko Doodh Pilaane Ke Liye Doodh Pilaane Wali Aurato Ko Bulaaya. Lekin Hazrat Musa (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Ke Huqm Se Kisi Bhi Aurat Ka Doodh Na Pite Yahaa Tak Ki Muhh Bhi Na Lagaate Aur Bas Roye Jaate.
*Apne Bhai Ka Pichaa Karte Huve Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Badi Bahen Bhi Firoun Ke Mahal Tak Pahooch Gayee Thi. Unhone Dekha Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Kisi Bhi Aurat Ka Doodh Nahi Pi Rahe Hai Aur Bas Roye (Craying) Ja Rahe Hai To Unhone Firoun Se Kahaa, “Main Ek Aisi Aurat Ko Jaanti Hoon Jo Achche Gharaane Se Hai Aur Woh Is Bachche Ko Doodh Bhi Pilaa Sakti Hai Aur Is Bachche Ki Khairkkawaah Bhi Hogi”.
*Firoun Ne Unhe Us Aurat Yaani Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Haqiqi Maa Ko Bulaane Ka Huqm Diya. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Bahen Doudti Huyee Apne Maa Ke Paas Pahoochi Aur Unhe Saari Baate Bataayee Aur Unhe Lekar Firoun Ke Darbaar Me Pahoochi. Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Waalda Ne Apne Bachce Ko Rote Huve Dekha To Unki Mamta Jaag Uthi, Lekin Is Ke Pahele Ki Woh Apne Bachche Ke Liye Kuch Aisa Bartaav (Behaviar) Karti Jis Se Unka Us Bachche Ki Haqiqi Maa Hone Ka Raaj (Bhed) Khul Jaata, Allah Ta’ala Ne Unke Dil Me Sabr Aur Sukoon Naazil Kar Diya.
*Aur Unhone Aisa Bartaav (Behave) Kiya Jai Se Ki Us Bachche Ko Jaanti Na Ho. Aur Jis Kaam Ke Liye Unhe Bulaaya Gayaa Hai Bas Wo Hi Kaam Karne Aayee Ho. Fir Unhone Apne Bachche Ko Doodh Pilaaya, Aur Bachce Ne Bhi Apni Maa Ka Doodh Sukoon Se Piya Aue Rona Bhi Band Kar Diya. Is Tarhaa Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Waaldaa Se Jo Waadaa Kiya Tha Ki Tumhaare Bachche Ko Sahi Salaamat Tumhaare Paas Pahoocha Dooga Wo Waada Bhi Pura Kar Diya. Aur Allah Ta’ala Apne Bando Se Jo Bhi Waadaa Karta Hai Use Zaroor Pura Karta Hai.
*Ab Firoun Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Waaldaa Ko Mahal Me Hi Rahekar Unki Parwarish Karne Ke Liye Kahaa. Lekin Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Waaldaa Ne Kahaa, “Mere Aur Bhi Bachche Hai Aur Mere Shouhar (Husband) Bhi Hai, Aur Mujhe Unka Bhi Khayaal (Dekhbhaal) Rakhna Hota Hai Aur Mujh Par Unki Bhi Zimmedari Hai, Isiliye Aap Agar Huqm De To Main Is Bachche Ko Apne Saath Apne Ghar Le Jawoo Jahaa Main Is Ki Achchi Tarhaa Parwarish Kar Sakoo”.
Firoun Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Waalda Ki Ye Baate Maan Li Aur Shaahi Khazaane Se Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Parwarish Ke Liye Ek Raqam (Uzrat Ya Mazdoori) Muqarrar Kar Di. Dosto Ye Saari Duniya Ka Ek Akela Hi Waqeya (Kissa, Story) Hai Ki Ek Maa Apne Hi Bachche Ko Doodh Pilaaye Aur Uski Parwarish Kare Aur Uski Uzrat Ya Mazdoori Use Shaahi Khazaane Se Mile.
Aziz Dosto ,….. Firoun Aur Haamaan Aur Uske Lashkar Ne Jis Bachche Ki Paidayeesh Ke Darr Se Bani Israaayeel Ke Kitne Hi Maasoom Aur Begunaah Bachcho Ka Qatal Kiya Aur Allah Ta’ala Ne Apni Qudrat Se Usi Bachche Ko Bacha Liya Aur Yahaa Tak Ki Woh Hi Log Jo Us Bachche Ki Jaan Ke Dushman The Unhi Logo Ne Us Bachche Ki Parwarish Ki Zimmedari Utha Li . Lekin Un Badbakhto Ne Bani Israyeel Ke Masoom Begunaaho Ka Qatal Karna Band Nahi Kiya. Jab Isi Tarhaa Bachche Qatal Kiye Jaane Lage To Firoun Ke Hi Qoum Ke Logo Ko Is Baat Ki Fiqar Huyee Ke Isi Tarhaa Agar Bani Israayeel Ke Ladko Ko Qatal Kiya Jaata Rahega To Bani Israayeel Ki To Nasal Hi Khatam Ho Jaayegi Aur Fir Ham Logo Ko Mazdoor Aur Gulaam Kaha Se Milege Aur Saari Mehnat Aur Masaqqat Ke Kaam Ham Logo Ko Hi Karne Padege. Is Masle Ka Hal (Solution) Un Logo Ne Ye Nikala Ki Ek Saal Bachcho Ko Qatal Kiya Jaaye Aur Ek Saal Qatal Na Kiya Jaaye,
*Aur Gaalban Jis Saal (Year) Bani Israyeel Ke Bachcho Ka Qatal Nahi Kiya Gaya Usi Saal Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Paida Huve. Aur Is Tarhaa Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Apne Hi Aabaayee (Baap-Dada) Ki Qoum Me Rahekar Parwarish Aur Tarbiyat Haasil Karne Lage. Aur Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Apni Jawaani Ki Umar Ko Pahooche To Allah Ta’ala Ne Unhe Hiqmat Aur Ilm Se Nawaaza. Apne Hi Qoum Ya Khandaan Ke Saath Rahte Huve Unhe Haq Baat Ka Bhi Ilm Ho Gayaaa Ki Unke Haqiqi Maa-Baap Koun Hai Aur Woh Kis Qoum Se Ta-Alluq Rakhte Hai. Apni Qoum Ki Haalat Woh Dekh Rahe The Ki Firoun Aur Uski Qoum Jinhe Qabti Kaha Jata Tha Kis Tarhaa Bani Israayeel Par Zulm Aur Tashaddud Ka Bazaar Garam Kar Rakha Hai.
*Ek Din Hazrat Musa (Alaihay Salam) Shaam Ke Waqt Baazaar Me Gaye. Riwaayato Me Hai Ki Wo Waqt Asar Aur Magreeb Ke Darmiyan Ka Waqt Tha Ya Magreeb Aur Isha Ke Darmiyan Ka Waqt Tha. Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Bazaar Pahooche To Unhone Dekha Ek Firoun Ki Qoum Ka Qabti Shakhsh (Aadmi) Un Hi Ki Qoum Bani Israayeel Ke Shaksh Par Zulm Kar Raha Hai Use Maar Raha Hai. Unki Qoum Ka Skakhas (Aadmi) Unke Paas Aa Kar Unhe Us Qabti Se Bachane Ki Guhaar (Fariyaad) Karne Laga. Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Us Qabti Ko Samjhana Chaha To Wo Qabti Na Mana, Is Par Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Gusaa Aa Gaya Aur Unhone Us Qabti Ko Ek Zordaar Ghusa (Mukka) Maar Diya. Us Mukke Ki Taab Wo Qabti Bardast Na Kar Saka Aur Wahi Par Mar Gaya (Uski Death Ho Gayee).
*Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Dekha Ki Woh Qabti Mar Chuka Hai To Unhe Afsos Huwa Aur Unhone Kahaa, “Ye To Shaitaani Kaam Ho Gayaa”. Aur Usi Waqt Allah Ta’ala Se Apne Gunaaho Ki Maafi Mangi, Kyonki Qatal Kisi Bhi Nabi (Alaihay Salam) Ki Shariyat Me Kabeera (Bada) Gunaah Hai. Lekin Ye Qatal Jaan Bujhkar Ya Iraadatan Nahi Kiya Gaya Tha, Ye To Bas Ittefaqan Ho Gayaa Tha. Isiliye Allah Ta’ala Ne Unhe Maaf Kar Diya Aur Un Par Rahem Kiya.
Ab Kyonki Qatal To Ho Chuka Tha Aur Wo Bhi Firoun Ki Qoum Qabat Ke Aadmi Ka. Isiliye Firoun Ke Sipaahi Us Qatil Ki Talaash Me Ghum Rahe The.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Bhi Socha Ki Bazaar Ja Ke Dekha Jaaye Ki Kya Surat-e-Haal Hai. Isi Liye Woh Chipte Chipaate Bazaar Tak Ja Pahooche. Aaj Fir Wo Hi Aadmi Jise Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Bachya Tha Wo Kisi Dusre Aadmi Se Jhagad Raha Tha Wo Bhi Qabti Tha. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Qoum Ke Aadmi Ne Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Dekha To Doudkar Fir Unke Paas Aa Gaya. Aur Unse Fir Bachane Ki Fariyaad Karne Laga. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apni Hi Qoum Ke Us Aadmi Se Kahaa, “Mujhe To Tu Hi Fasaad (Fitna) Karne Wala Lagta Hai, Tu Kal Bhi Jhagad Raha Tha Aur Aaj Bhi Jhagad Rahaa Hai”.
Fir Bhi Unhone Uss Qabti Ko Rokna Chaha Jo Un Ki Qoum Ke Aadmi Par Zulm Kar Rahaa Tha. Hazrat Musa Ne Chaha Ke Aage Baadh Kar Us Qabti Ko Pakad Le Aur Jhagda Kahtam Kara De. Jaise Hi Woh Aage Badhe To Unki Hi Qoum Ko Woh Aadmi Jise Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Bachaya Tha Ye Samjha Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Use Hi Maarne Aa Rahe Hai, Woh Ek Dam Se Chilla Utha, “Aye Musa Kya Karte Ho, Kya Tum Mujhe Bhi Qatal Kar Dena Chahete Ho Jis Tarhaa Tumne Kal Ek Aadmi Ko Qatal Kiya Tha”.
*Uss Aadmi Ki Ye Baat Wahaa Moujood Firoun Ke Sipaahiyo Ne Sun Li. Is Se Pahele Ki Woh Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Pakad Paate Ya Kuch Kar Paate Hazrat Musa (Alaihay Salam) Tezi Se Wahaa Se Chale Gaye. Firoun Ke Sipaahiyo Ne Ja Kar Firoun Se Saari Baate Batlaayee ….
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …