✦ Waqia 4: Musabbir-Bin-Umair (R.A) ke iman lane ka waqia
Aayiye Ek aur Waqie par gour karte hai Musabbir-Bin-Umair (R.A) jo Muballig-e-Rasool they jab Ansar ne Aap (ﷺ) se Gujarish ki “Ke Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Kuch Logon ko Aap Humare Paas bheje taaki Hume Islam sikhaye. “
*Rasool’Allah (ﷺ) ne “Musabbir-Bin-Umair (Razi’Allahu Anhu)” ko Madina bheja. ye jab Madina gaye aur waha Dawat-e-Islam dene lagey tou “Usaid Bin Hujair” Naam ka shakhs waha aaya jo apni Qoum ka sardaar tha!
Aur aa kar kaha ke “Tum (Musabbir Bin Umair)! Tum Madine me fitna macha rahe ho! Jaisa Tumhara sathi Makke me Fitna macha raha hai. Lihaja agar Tumne meri Qoum se baat ki tou mai bohot bura Anzam karunga tumhara.”
*Tou Musabbir bin Umar (RaziAllahu Anhu) ye Allah ke Rasool ke Shageerd (Student) they. Aap hikmat jantey they.
*Aap ne kaha ke “Acha Usaid bin Hujair! Ek Kaam karo, Aap meri baat tou Sun lo pehle, Agar Sahih lagey tou Man’na. na lagey tou inkar kar dena.”
*Usaid ne kaha ke “Baat tou Bilkul sahi bol rahe ho tum, pasand aayi tou Maan lunga aur na aayi tou bohot bura haal karunga.’
♥ Musabbir Bin Umair ne Unke Samne Quraan Tilawat karna shuru kiya Jab thoda hi Quran padha tha tou Usaid-Bin-Hujair Intney mutaseer hue aur kaha “Subhan’Allah! Itna pyara Qalaam ! Itni Jabardast baat, Yakinan ye Insani Qalaam nahi ho sakta, Is Qalaam par mai bhi Imaan lata hu, Iss Qalam ko mai bhi Qabool karta hu aur Sirf qabool hi nahi karta balki apni Qoum ko Dawat dunga,”
*Usaid-bin-Hujair (R.A.) waha se Uthkar apni Qoum ki taraf gaye aur Apni Qoum se Ailan kiya ke “Kya Mai tumhara Sardar nahi hu?”
Logo ne kaha ke “Ha! Aap Humare Sardar ho.”
Aap ne Kaha ke “Jis Cheez ko Mai yakin karu, Jis par Mai Imaan lau kya Tum Imaan nahi laoge? Itni Jasarat karoge? “
Qoum ne kaha ke “Haa ! Jis Cheez par Aap Imaan laoge Uspar Hum sab bhi Imaan layenge!”
Tou Usaid-Bin-Hujair (RaziAllahu Anhu) ne kaha ke “Fir Mai Imaan laya Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) par tou tum Sab bhi Imaan la lo.” aur puri Qoum ek Sath basharfe Islam hui, ek Saath pura Qabila Musalman ban gaya.
• Sawaal tou ye hai ke Ye Sabse Jaahil log they. Itni buri buri rusumaat karte ke Jiski koi Inteha nahi, yaha Faras tha au waha Roomi hukumat thi.. dono hi Inpar Hukumrani nahi karna chahti thi inki jahalat ki wajah se.
• Lekin wohi Qoum dekhiye Iss Qalam ko samajh rahi hai phir Unn logon ke Qoul ka kya Jo kehte hai ke Quraan Padhne se gumraahi aati (MazAllah!)
*Jabki yaha tou log hidayat ki taraf aa rahe hai Iss Qalam ko Sun-Sun kar, phir chahe baat gujre hue kal ki ho ya aaj ki.
♥ Iss Qalaam me ye Khususiyat hai yaad rakhiye, ye Haq Qalaam hai Isiliye tou Log Iss se Mutaseer ho rahe hai.
Lekin Haa! Jinke Mafadat Adtey hai Humari hidayat se unko tou Iss se Chot lagti hai ke kaise padh letey hai log Quraan ko.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Ta’ala Hume Quraan-e-Kareem ko padhne aur uspar Amal ki taufiq dey.
To Be Continue ….