Fazail-e-Quran: Part 6

Fazaile Quran 6 image

Waqia 3: Hazrat Umar Bin Khattab (R.A) ka waqia

Hazrat Umar Bin Khattab (R.A) ke talluk se riwayto me Aata hai ke, Aap Khud Imaan Laaney ke baad farmatey hai –

“Pahli Baar Jo Imaan ki kuch Ronak ya chamak Mere Jehan me Aayi thi Wo Uss Wakt ki baat hai jab mai Khamoshi se Ek Martba Raat ke Andhere me Gaya aur Nabi-e-Karam (ﷺ) ko Dekha ke Kaabe ke Paas Khadey they aur Namaz padh rahe they aur Namaz me Surah(69) Hakka Tilawat kar rahe they. “

*Jab Maine wo Qalaam Suna tou Maine Apne Aap se kaha ke “Shayad ye koi Shayar hai

Surah Hakka ki Nabi-e-Kareem ﷺ ne wo Ayat tilawat ki Jisme Allah ne Kaha ke ye Shayar ka Qalam nahi hai ! Bohot kum Tum Allah ka Darr rakhtey ho.

Umar Bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Hairan ho gaye aur Dil hi Dil me kahne lagey ke “Ye baat tou Maine Socha aur Inhone tou Apne Muuh se ada kar diya Qalaam…”

Phir aage Maine Socha ke “Ho Sakta hai ke Ye Qaahin ho!. Jabhi tou Mere Dil ki baat jaan li.”

Fouran Uske Baad ki Dusri Aayat Aap (ﷺ) ne Tilawat ki ke “Ye Qaahin Ka Qalam Nahi Hai ! Bohot kum tum Nasihat Haasil karte ho.”

Aur Umar bin Khattab (R.A) farmatey hai ke –

“Wo Pahla waqt tha Jab Islam ki kuch Roshni mere Jehan me Aa gayi thi. Kuch na Kuch ek Dhakka laga tha Mujhe wo Baat sunkar ke na ye tou Qaahin ka Qalam hai aur Naa hi Shayar ka aur tab Mai pahli Martba Nabi-e-Kareem (ﷺ) se thoda Mutaseer hua.”

Phir Hum Jantey hai ke Umar Bin Khataab (RaziAllahu Anhu) ko Allah Ta’ala ne Basharf-e-Islam kiya Rasool’Allah (ﷺ) ki Dua aur apni behan aur Behanoyi ke Zarye.

Tou Yaad rakhiye iss Qalaam me ye Khususiyat hai ke Sakht se Sakht Kism ke Dushman bhi Iss Qalam se Mutaseer ho gaye.

# Afsos!! ki Aaj Khud Humne Iss Qalaam ki Ahmiyat ko nahi Samjha aur kuch Mafad Parsto ne hume Samajhne nahi diya.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Ta’ala Tamam Kism ke Fitnagaro ke Fitno se Humare Iman ki Salamti ata farmaye,..
*Aur Apne Qalaam (Qurane Majid) ko Baqasarat Tilawat ki Hume Taufiq ata farmaye !!

To Be Continue ….


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *