Devar / Jeth to Mout ki tarah hai: Hadees
Uqba (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Tum log ajnabi aurto ke paas jaane se bacho! Ek Ansari Sahabi ne sawal kiya ke Aye Allah ke Rasool ! Dewar ke baare me Aap ka kya khayal hai?”
Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Dewar to mout hai (is liye aurto ko unse parda karna zaruri hai).”
NASIHAT :
Ulmao ka kahna hai ki Aurat ko aise kisi bhi rishtedar ke saath akele nahi jana chahiye jo gair mahram ho chahe wo kitni bhi kareebi rishtedar kyu na ho.
Aur haan humare yahan yahi dekha ja raha hai ki Aurat apne Shohar ke bhai ke sath aise rehti hai jaise ki koi dost ho aur gande mazak sath me aana jana aur yahi burai ka darwaza khol raha hai ziyadatar log Gunnah me doob jate hai.
Jabki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki ‘Dewar mout hai‘ barbadi aa jati hai jab log Gunaah ki raah me chal padte hai aur Gunnah ki raah se bacho phir chahe kisi ke bhi saath ho aur kahin bhi ho.
Allah Subhanhu Taala hume kehne sunne se ziyada amal karne ki taufiq de aameen.