Burayi Ka Badla Bhi Ehtram Se Diya Karo ….

» Hiqayat: Ek Din Hazrate Imaam Zain-ul-Aabidin (RaziAllahu Anhu) Ghar Se Kahin Tashrif Le Ja Rahe They Ki Raaste Me Kisi Gustaakh Ne Aapko Bura Bhala Kehna Shuru Ker Diya!
Hazrate Imaam Ne Uss Se Farmaya Ki – ‘Bhai Jo Kuch Tumne Mujhse Kaha Agar Mai Wakayi Aisa Hoon Tou Allah Mujhe Muaf Farmaye!’
Yeh Sunker Wo Shakhs Badaa Sharminda Hua Aur Badker Aapki Peshaani Chumker Kehne Laga, ‘Huzoor! Jo Kuch Maine Kaha Aap Hargiz Aise Nahi Hain! Mai Hi Jhoota Hoon! Aap Meri Magfirat Ki Dua Farmayen!’
Aapne Farmaya – ‘Accha Jao Allah Tumhe Muaf Farmaye!’
(Rauzur-Riyaheen Pg-56)

# Sabak : Allah Ke Nek Bandey Burayi Ka Badla Kuch Aise Tarike Se Dete Hain Ki Khatakaar Sharminda Hoker Apni Khata Se Kinara Kar Neki Ko Ikhtiyar Ker Leta Hain! Lihaja Hum Sab Par Lazim Hai Ke Apne Ghusse Ko Kaabu Me RakhKar Burayi Ka Badla Sabr Ke Sath Bhalayi Se Diya Kare ..
Insha Allah !!! Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq De !!!

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: