Aksar logo ka Bahana | Aksar log Humari Aayato se… Aksar logo ka Bahana "Arey Bhasahab! hum Maantey hai ke Mazarparsti (Qabrparsti) ki Talim Islam me nahi milti! lekin aaj Aksar Log kayi zamane se karte aa rahe hai tou kya wo galat ho sakte hai ? .." Masha'Allah ! Isi Tarha ke Jawabat Hume Logon se Miltey hai jab unse pucha jata hai ke falah-falah amal jo Qurano Sunnat se sabit nahi jisey aap Deen samjh ke karte ho tou "Aksar Logo ka Bahana" batakar humare kayi hazrat apne…
Ummat ke Behatreen aur Badtareen log ✦ Abu Malik Ashari (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya: "iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain" Al-Silsila-tus-Sahiha-3412 ---------- رسول اللہ صلی اللہ علیہ…
Bina soche samjhe kuch bhi bolne se bachiye Hadith: Bina soche samjhe kuch bhibolne se bachiye RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Allah Subhanahu Nafrat karta hai tad-tad bolne waleaise Mardo se jo apni Zuban ko harkat dete rahte hainjaise Gaay (Ghas khane mein) apni zuban koharkat karti rahti hai (yani bina soche samjhejo jee mein aata hai bak jate hain)." 📚 Sunan Abu Dawud, Jild 3,1568-Sahih
Hadees: Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone… Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai." 📕 Abu Dawood, Hadees 3597
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Munafiq ~ Jahannum ke sabse Nichley Gadhey me Rehne wale log Munafiq Ye Baat Hum sab Jantey hai ke, Jannatiyo ka Maqaam Bulandiyo par hai, Usi tarha Gunahgaro ke Azab ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion me hai. Lihaja jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab ki Shiddat bhi Utni Sakht,... Munafiqat kya hai aur Unhe Itni Sangeen Saza kyu? Allah ke Nazdeeq Shirk aur Kufr se bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat) hai. Yaani koi Shakhs Jo Andar se Kafir-wa-Mushrik hai aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan ka Dawa Karey Ta'aki…
Rizq me Barkat ki Dua | ilm mein izafa ki Dua Rizq me Barkat ki Dua aur ilm mein izafa ki Dua in Arabic, Roman, Tarjumah & Hindi Quran wa Sunnat ki roshni mein. Rizq me Barkat ki Dua in Arabic اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، وَرِزْقًا طَيِّبًا، وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا Rizq me Barkat ki Dua in Roman "Allahumma inni Asaluka ilman Nafiaa, Wa Rizqan Tayyiba Wa Amalan Mutaqabbala" Rizq me Barkat ki Dua in Tarjumah Aye Allah! main tujhse nafa dene wale Ilm aur pakeeza Rizq aur qubool hone wale amal…
Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai .... ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Bhala Jis Insan Ka Sina Allah Ne Islam Ke Liye Khol Diya Hai Bas Wo Apne Rab Ki Taraf Se Aaye Hue Noor Ki Roshni Me Hai,. Ab Jin Logon Ke Dil Allah Ke Zikr Se Bhi Asar Nahi Karte, Un Ke Liye Badi Kharabi hai, Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai ,.." - [Surah(39) Zumar; Aayat(22)]
Log Chahte hai ke Musalman Jaahil Rahe Hadees: Abdullah-Bin-Umro-Bin-Aas (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke,Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hajjatul Wida Ke Din Khutba Diya Aur Farmaya – Pohcha Do Logon Tak ! Agar Ek Aayat Bhi Maloom Ho Tou”📚 SAHIH BUKHARI, JAMI` AT-TIRMIDHI 2669 Subhan’Allah!! Jaahir si baat hai ke Pohchaane ki baat kahi jaa rahi hai tou jab Maloom hoga ya maloom karenge tabhi tou Pohchaya jayega. lekin jab Maloom hi na ho tou kya pohchayenge hum ?. Aur Aaj Hum Dekhtey hai ke log Chahtey hai…
Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Zinakari, Resham ka Pahenna, Sharab Pina aur Gaane bajane ko halal bana lenge..." - Sahih Bukhari: Hadees 5590 Related Post Sharab se bacho kyunki wo har burayi ki chabi hai Imaan aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakte इस्लाम में शराब पीने की क्यों मनाही है – Why Alcohol prohibited in Islam ? Sona (Gold) Aur Resham Mardo Par Haraam Jab bohot jyada Zina hone lagega tou
ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo Hadees: Abu Umamah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: ❝Logo! Ilm ke wapas liye jaane aur utha liye jane se pehle ilm hasil kar lo.❞ 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 228
Ilm Ki Ahmiyat: Part-15 Ek Mashoor Aur Maruf Shakhsiyat "Ms. Carleton Fiorina" Jo Ke H.P. Ki CEO Thi, aur Iss Khatun Ne Ek Speech Di Thi Jo HP ki All Worldwide Company Managers Ki Meeting Thi, Usmey Yeh Khatun CEO Thi Uss Zamane me. Yeh Speech Unhone di Hai 26 September 2001 Ko ,.. Yaani 11 Sept 2001 Ko World Trade Center Ka Wakiya Hua Tha Jispar Musalmano Par Ilzam Par Lagaye Ja Rahe They ,.. Unki Speech English Me Thi Hum Uska Tarjuma…
Ilm-e-Hadees aur Hadees ki Kisme ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ • Hadees ka ilm sahih aur khalis niyyat ke sath sirf Allah Ta'ala ki raza ke liye haasil kare. • Hadees ka ilm naam kamaane aur duniya ke maqsado ke liye hargiz haasil naa kare warna kuch faydah na hoga. • Allah Ta'ala se dua karte rahe ki iss mubarak ilm ke haasil hone me Allah Ta'ala ki taufeeq haasil rahe, halaat durust rahe, koi rukaawat aur mushkil pesh na aaye aur Allah Rabbul Izzat hadees ke…
Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur jo log iman laaye, aur Unhone Neik kaam kiye yakinan hum unse unki Buraiyan door kar denge." 📕 Surah Ankabut 29:7
Baaz log Kinare par khade ho kar Allah ki ibadat karte hai Baaz log Kinare par khade ho kar Allah ki ibadat karte hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Aur Baaz Log Aise hai Jo Allah ki Ibaadat Kinare par Khade ho kar karte hai, Agar Unhe Faida Pahuncha tou Mut’mayin honge, aur Agar Musibat Aa Padi tou Usi Waqt Mooh Ferlia,Ye Dunia Wa Aaqirat Dono me Nuksaan Utaane Wale hai, Aur Yahi Khula Nuksaan hai” 📕 Al-Quran, Surah Hajj 22:11 Lihaja Allah ki taraf se aane waali har Aazmaish me poora Utarna aur Allah…