Islamic Quiz 380 : RasoolAllah ﷺ ne kinke liye farmaya ki unko kabhi maaf nahi kiya jayega?

islamic quiz 380 image

RasoolAllah ﷺ ne apni ummat ke liye Allah ki rehmat aur maghfirat ka zikr kiya, lekin ek aise logon ke bare mein bhi farmaya jinko kabhi maaf nahi kiya jayega.

Islamic Quiz 380

Rasool-Allah ﷺ ne kinke liye farmaya ki unko kabhi maaf nahi kiya jayega?

A. Zina karne walo ko

B. Bid‘at karne walo ko

C. Gunaho ko khule aam karne walo ko

D. Namaz jaanbujh kar chorhne walo ko

Islamic Quiz 380 : RasoolAllah ﷺ ne kinke liye farmaya ki unko kabhi maaf nahi kiya jayega?

Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ Gunaho ko khule aam karne walo ko

Daleel :

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Hadees: Abu Hurairah (RA) se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya:

“Meri poori ummat ko maaf kiya jayega siwa gunaaho ko khule aam karne walo ke. Aur ismein yeh bhi shamil hai ki ek shakhs raat mein koi gunaah kare, phir ALLAH usko chhupa de, lekin wo subah uth kar kehta hai: ‘Kal raat maine yeh gunaah kiya tha.’ Raat uske Rab ne uska gunaah chhupaye rakha, lekin wo khud ALLAH ke parde ko khol deta hai.”

📖 Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith 6069

WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply