Dar-haqikat 786 ke kayi maaney hotey hai. Dour-e-Jahalat me Arbo me ek tareeka hua karta tha jisey “Abjad” kehte hai. Ismey Arbi ke Alfazo me kuch Numbers lagatey they, jaise ke Alif = 1, Ba = 2 … in gintiyon ko milakar yeh log faal khola karte they.
Jaise misal ke tour par aapka naam hai Faiz, Ismey ‘Fa’, ‘Ye’, ‘Jwad‘ tou inki Value of numbering ki calculation karke total number nikaltey aur Chittiyo ko mod detey aur kehte likho koi ek number, agar yeh dono mil gaye tou tumhara kaam ho jayega. isey kehte hai Faal Kholna. jo ke Dour-e-Jahalat ka Abjad tareeka aur Shariyat ne iss cheez ko Haraam karar diya.
Ab logo ne Abjad ke aitbaar se ye matlab nikala ke 786 ka meaning ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim‘ hota hai, lekin 786 ka matlab sirf ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim’ nahi hota yeh baat tou tay hai. kyu ke bohot se majahib me bhi 786 ka bada aqida hai. usko bhi bada respect diya jata hai.
• Shariyat-e-Islamiya me 786 ka Istemal Kaisa ?
Sabse pahli baat Shariyat me aisi Shortcuts ka matlab Biddat(Sharayi Biddat) hai aur Sharariyat me naya Akida ijad karne ke talluk se hum sab jante hai hai ke “Qullu Biddatun Zalala“ yaani deen me Ijad kiya hua har naya akida gumrahi hai aur har gumarhi ka thikana jahannum ki aag hai.
• Biddat ke Taklluk Se Tafseeli Jankari ke liye is Link Par Jaye
Beharhaal ! Ab Andaza Lagayiye ke 786 Ki Aisi Biddat Shariyat Me Jayaj Hoti Tou Subhan’Allah Hum Ek-Ek Raat Me 1000 Rakat Nawafeel Aasani se Padh Letey ,.. Masha’Allah …
– Jaise Ke > 786 = Bismillah, 1000 = Surah Fatiha, 2000 = Surah Baqraah ,.. Subhan’Allah !!!!
– Andaza Lagayiye Kitni Aasan Hojayegi Humari Namaze.
Ekdum Shortcut Numerical Namaz ,… Masha’Allah !!!
*Kya Allah Ke Nazdeek Humari Aisi Ibadate Kabil-e-Kabul Hogi ?
Nahi Na .. Tou Fir Kyu Kar Hum 786 Ke Aadi Ho Gaye Hai Mere Azeezo ?
Kyu Hum Deen Aur Shariyat Ko Chorrkar Jahilana Aqaiyid Par Jyada Aitmaad Rakhtey Hai ..
# Allah Rabbul Izzat Humey Tamam Kism Ki Gumraahiyo Se Bachaye …
# Humey Kitabo Sunnat ka Muttabey Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Recent Posts
Hadees ke mu’amle me chaan-bin aur Ahtiyaat
807,463
Hasad kya hai aur Hasad se Bachne ki Dua
809,602
Apne Amal Ke Charcha Se Parhez Kiya Kare
807,234
Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal
808,143
Qatil Aur Maqtool Dono Dojakhi ….
807,265
Dozakh Ki Aag Haraam Hai Har Aise Shakhs Par Jo…
807,895
Asal Bujurgi Tou Rooh Ki Bujurgi Hai
807,214
Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe …
807,385
Islam hi Insaniyat ki bhalayi ka Sabse Jayda Sandesh deta hai: (Police Commissioner of Navi Mumbai)
इस्लाम ही इंसानियत की भलाई का सबसे ज्यादा सन्देश देता है: पुलिस कमिश्नर ऑफ़ नवी मुंबई
807,421
Islamic Quiz 43 : Islam me In me se Sabse Afzal Martaba kin Logon ka hai ?
809,527
Allah Ke Siwa Tumhara Koi Bhi Himayati Aur Madad Karne Wala Nahi Hai
अल्लाह के सिवा तुम्हारा कोई भी हिमायती और मदद करने वाला नहीं है
807,574
Ilm-e-Hadees aur Hadees ki Kisme
Sahih hadees kya hai hasan hadith kya hai zaeef hadith kise kehte hai ?
5,303
28. शव्वाल | सिर्फ पाँच मिनट का मदरसा (कुरआन व हदीस की रौशनी में)
591
Gareebi ki wajah se Hajj na karne walo ke liye Hajj ka Sawab
807,756
औ़रतों का इल्म की त़लब के लिए जमा होना।
1,481
2
3
…
173
Next