Contents
Islamic Quiz 302
Agar koi khane ke shuru mein Bismillah kahna bhul jaye toh usko beech mein yaad aane par kya padhna chahiye ?
Options Are 👇
A. Bismillah wa ala barakatillah
B. Bismillah fi Awwalihi wa Aakhirihi
C. Aawuzubillahi Min As-shaitan Ar-rajim
D. Alhamdulillah Ala Aakhirihi
Sahih jawab hai : Option ( B )
✅ Bismillah fi Awwalihi wa Aakhirihi
Hadees: Hazrate Aisha (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllahu ﷺ ne farmaya:
“Agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Aakhirihi.”
📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih
Tarjuma: Iss (Khane) ka Awwal aur Aakhir Allah hi ke Naam se hai.
और देखे :
Related Posts: