Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo shaks Allah se milne ko pasand karta hai, Allah bhi us se milne ko pasand karta hain aur jo shaks Allah se milne ko pasand nahi karta, Allah bhi us se milne ko pasand nahi karta.”
Hazrate Aisha, ya Aap (ﷺ) ki kisi biwi ne kaha:
“Lekin maut ko to hum bhi pasand nahi karte.”
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Allah ke milne se mout muraad nahi hai balke baat ye hai ke jab kisi Momin ki maut ka waqt Qareeb aata hai to usey Allah ki raza ki khushkhabri milti hai aur Allah ki rehmat ki bhi.
Us waqt Momin ko koi cheez us se zyada azeez nahi hoti jo us ke saamne hai (Allah se mulakat aur Uss ki raza aur Jannat ka husool).
Lihaza wo Allah se mulakat ka khawahish-mand hojata hai aur Allah bhi us se mulakat ko pasand karta hain.
Lekin jab Kafir ki maut ka waqt Qareeb aata hai to usey Allah ke Azaab aur Uss ki saza ki boori khabar milti hai. Uss waqt usey us se zyada koi cheez nagawaar nahi hoti jo us ke saamne hai.
Lihaza wo Allah se mulakat ko napasand karne lagta hai aur Allah bhi us se milna napasand karta hain.”