♥ Mafhoom-e-Hadees: Yahiya Ibn Say’eed (RaziAllahu Anhu) Se Rewayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Ek Shakhs Ki Maut Par Dusra Ek Shakhs Ne Kaha, Woh Bara Naseebwala Tha, Kisi Beemari Ya Taqleef Ke Bagair Hi Mar Gaya,
Ye Baat Sunkar RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Tum Mein Se Kisne Kaha Ki Woh Bahut Nassebwala Tha ?
Agar Allah Usey Kisi Beemari Mein Mubtilah Karta !
Tou (Uske Badle) Uske Gunaho Ko Maaf (Kaffara) Kar Deta.,..”
– Muatta Imaam Malik, Hadees 1478
– Mishkatul Masabeeh, Hadees 1578 (Tehqeeq By Albani Rh.)
– Shaikh Nasiruddin Albani Rh. Ne Kaha Ye Murshal Hadees Hai Lekin Sahih Sanad Ke Sath
Jab Allah Kisi Musalmaan ko Beemari Me Mubtilah Karta hai
Leave a comment
Leave a comment