Aulaad ki Tarbiyat – Part 6

Aulaad ki Tarbiyat - Part 6

Aulaad ki Tarbiyat – Part 6

G). Tarbiyat ka 7th marhala:

Aulaad ke bich Adal (Insaf) karey:

Aaj aksar dekha jata hai ke Aulaad me Nainsafi bohot aam hai , Baap ek Bacche ko humesha Godd leta hai, koi puche ke isko kyu lete ho tou kehta hai: “Ye Baccha bohot Gora hai mujhe Pasand hai, baaki wale thodey rang me kum hai” Subhan’Allah! kya Ajib baat hai, Aap sirf Rangat ki buniyad par Baccho me Nainsafi karte ho.

“Mujhe Pehle Ladkiya hui 2-3 isiliye mujhe inse Mohabbat nahi jitni is ladke se Mohabbat hai” Subhan’Allah ! aap is tarha se Nainsafi karte ho Baccho me.

Tou is tarha se agar nainsafi karoge, yaai Adal nahi karoge tou wo bhi badey hokar Nainsafi karne lag jayenge, aur Aaj nainsafi ka kya muamla hai beharhaal bataney ki jarurat nahi , Maalo-Doulat ki taqseem me Adal (insaf) nahi karte aajkal hum, Aulaad se Mohabbat me adal nahi karte.

Jab ki “Humara Deen tou hume har haal me Adal yaani Insaf karne ka hukm deta hai.” 

Allah ke Rasool (Sallllahu Alaihay Wasallam) ke zamane me Noman bin Basheer(R.A.) farmatey hai ke “Mere walid ne ye irada kiya mujhe kuch tohfey me dey , tou meri Walida ne kaha ke jabtak tum Rasool’Allah ﷺ ko is muamle par Gawah na banao, mai is cheez ko Qabool nahi karungi.”

Dono Rasool’Allah (Sallllahu Alaihay Wasallam) ke paas gaye aur uss khatoon ne kaha ke: “ya Rasool’Allah ﷺ! Basheer apne Bete Noman ko kuch dena chahtey hai Aap is par gawah ho jaiye.”

Aap (ﷺ) ne pucha: “Basheer! kitne Bacche hai tumhare, sirf Noman hi hai ya aur bhi hai ?”
kaha ke: “aur bhi hai.” ,… pucha gaya ke : “kya Sabko dey rahe ho?”
kaha ke “Nahi! sirf Noman ko de raha hu.”

Tou Aap (Sallllahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke: “Mai Zulm ke muamle me Gawah nahi ban sakta”

Lihaja “Aulaad me nainsafi karna Zulm hai.” is se Ahtiyat karey warna badey hokar unka baagi ban jana lazmi hai.


H). Tarbiyat ka 8th marhala:

Aqeeda aur Acche Akhlaaq sikhaye

Aulaad ki tarbiyat me sabse aham marhala ye hai ke unhe Aqeeda aur Akhlaaq sikhaye. khud Rasool’Allah (Sallllahu Alaihay Wasallam) ka ye mamool tha ke Aap ﷺ Baccho ko Aqeeda sikhatey they.

Ek Riwayat me aata hai ke: Abdullah ibn Abbas (R.A.) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) mai ek martaba Aap (Sallllahu Alaihay Wasallam) ke sath unth ke pichey baitha tha, tab Rasool’Allah (Sallllahu Alaihay Wasallam) ne mujhe kuch Taqeede ki aur farmaya :
“Aye Abdullah! tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna, wo tumhari hifazat karega , Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karo tou tum usey apne samne paoge, jab tum koi sawal karna(mangna) tou sirf Allah se karna, hatta ke ek riwayat me Aap ﷺ ne farmaya: ke tumhe Namaq bhi chahiye Abdullah tou Allah se mangna aur jutey Ka tasma (shoe laces) bhi chahiye tou Allah se hi talab karna , jab tumhe Madad talab karna hai tou sirf Allah hi se karna.

Fir Aagey Aap (Sallllahu Alaihay Wasallam) farmatey hai

Yaad Rakh! agar puri Duniya bhi tumhare haq me Aajaye aur chahe ke tumhe koi fayda dey tou wo fayda nahi pohcha sakti siway wo jo Allah ne likh rakha hai aur agar puri dunia bhi tumhare khilaf khadey ho jaye aur chahe ke tumhe nuqsaan pohchaye tou wo nuqsaan nahi pohcha sakti siway Allah ne jo likh diya hai ,.. isiliye ke Qalam rakha ja chukha hai aur syahi sukh chuki hai.

Tirmizi Sharif

Aagey Aap (Sallllahu Alaihay Wasallam) farmatey hai:

“Khush hali me Allah ki taraf ruju karo tou pareshan haal me wo tumhe faramosh nahi karega , yaad rakho! jo cheez tumhe nahi mili wo tumhe kabhi nahi milni thi , aur jo cheez tumhe mili wo tumse nahi cheen sakti , yaad rahe ke Allah ki madad Sabr se wabasta hai, koshish takleef ke sath hai aur aasani tangi ke sath.

Mafhoom-e-Hadees: Ahmed

♥ SubhanAllah! Tou dekhiye Adullah ibn Masood (R.A) ko Allah ke Rasool (Sallllahu Alaihay Wasallam) ne kya pyari nasihate ki , lihaja hume bhi chahiye ke hum bhi apne Baccho ko Aqeeda Sikhaye.

Aayiye ek aur Akhlaq ke wakiye par gour karte hai.

Aap (ﷺ) ek martba apne Ghulaam Zaid bin Haris (R.A.) ko lekar Ek Dawat me jatey hai , Zaid bacche they isiliye wo Adab-e-Dawat se anjaan they, ek thali me khana surf kiya tha ke Zaid apne ultey hath se aur dusri taraf ke hisse ki janib badhkar khane lagey. Tou Aap (ﷺ) ne ye majra dekha aur Apne Ghulaam Zaid bin Haris ke Akhlaq ki islah dekhiye kitne Pyare Andaz se karte hai.

Aap (ﷺ) ne kaha Aye mere pyare bete! jab khana Shuru karo tou Allah ka naam lo (yaani Bismillah kaho) , Sidhey hath se khao, aur jo samne ho pehle wo khao.”

Zaid bin Haris (R.A.) kehtey hai ke –
“Rasool’Allah ﷺ ne jis andaz se meri Islah aur tarbiyat ki ke tamam Zindagi mera yahi usool raha aur mai khane se pehle Bismillah kehta , sidhey hath se khata aur samne wali janib se shuru karta.” (Subhan’Allah)

Tou ye nasihat hai jo hume karna hai Apne Baccho ko , kyunki Bacche tou masoom hotey hai , wo anjan hotey hai aise taur tareeko se, lihaja unke kafeel hone ke naatey hume unki islah karni hai Sunnat-e-Rasool ke mutabik aur agar baccha baar-baar samjhaane ke bawajud bhi aisi galatiya dohrata hai tou thodasa Zarb laga saktey hai taaki Aayinda wo us se Sabaq hasil karey.

♥ In sha Allah ul Azeez! Allah hume Sunnat-e-Rasool ke mutaik tarbiyat ki taufik dey.

To Be Continue …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *