♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai –
“Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare,
Logon Ne Kaha – ‘Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?’
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Matlab Ki, ‘Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De,
Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De’.”
–@[156344474474186:] (Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Adab, Hadees No#5973)
# SABAQ: Kisi Ke Maa-Baap Ko Gaali Dena Goya Apne Maa Baap Ko Gaali Dene Ke Barabar Hai, Lihaja Hume Chahiye Ke Is Se Har Haal Me Ahtiyat …
Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Kism Ki Akhlakhi Buraiyo Se Bachaye ,..
(Ameen ! Allahumma Ameen !!!)
Related Posts: