Islamic Sawal Jawab Quiz 3

 

#1. Allah Ta’ala ne Quraan me Shohar aur Biwi ke Rishtey ki Misaal kis Cheez ki tarha bayaan Ki hai?

Allah Rabbul Izzat Quraan me Shohar aur Biwi ke Rishtey ki Misaal Bayan karte hue farmata hai –

“Wo (Biwi) Tumhari Libaas hai aur Tum Unkey Libaas.”

– Al-Quran 2:187

Wajahat: Libaas Insan ki Zeenat Badhata hai aur Uske Aib Chupata hai, Isi Tarah Shohar aur Biwi ko bhi Ek Dusre ke Aib Poshida rakhne chahiye Dusro ke Saamne Zaahir nahi karna chahiye.
– Aur koi Galti ho jaaye tou Narmi ke saath usey sahi baat Samjhani chahiye aur galat fehmiyo ki wajah se paida hone wale ikhtelaaf aur fitne asaad se humesha bachna chahiye.

– Aur Ek Dusre ki Izzat ki Hifazat karni chahiye, Ek Dusre ki khubiya zaahir karni chahiye aur khud bhi humesha aise amal karna chahiye ke Ek-Dusre ki izzat badhe.

#2. in me se Kounsi Cheez Iman ke Aitbar se Momino ko Kaamil Banaati hai ?

Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –

“Momino me Iman ke Aitbar se Sabse Kamil Shakhs wo hai jiske Akhlaaq Sabse Acche hai.”

– Abu Dawood #4682

#3. Wo Kounsa Gunaah tha Jiski Wajah se Allah Rabbul Izzat ne Looth (Alaihi Salam) ki Qoum ko Halaaq kiya?

Tafseeli Wakaye Ke liye is link par click kare – https://ummat-e-nabi.com/history-of-dead-sea-by-holy-quraan/

#4. Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon Momin ye Dua kab padhta hai?

۞ Allah Ta’ala Qurane Kareem me momino ki sifat ke bare me bayan karte hue farmata hai –

“Wo Log ki jab unhey Koi Museebat aati hai tou kahte hai Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon (hum tou Allah ke hain aur Hum Usi ki taraf Laut kar jaane waale hai.) ye hi wo log hai jin par unke Rab ki taraf se Meharbaniyan hai aur Rehmat hai aur yahi log Hidayat paane wale hai.”

– Quran 2:155-157

#5. Fizool Kharchi Karnewalo ko Allah Ta’ala Ne Quraan me kya kaha hai?

Allah Ta’ala Qurane Kareem me farmata hai –

“Aur Rishtedaro aur Mohtajo aur Musafiro ko Unka Haq ada karo aur Fizul Kharchi se Maal naa udaao. ki Fizool Kharchi karne waale tou Shaitan ke Bhai hain aur Shaitan Apne Parwardigaar ki Neyamato ka Nashukri Karnewala hai.”

– Quran 17:26-27




Previous
Finish

Results

Pre Quiz All Next Quiz